Bondita Agrees

3.2K 158 1
                                    

With heavy voice he said "Bondita mujhe maaf krdo plss... par mera irada tumhe dukh pohochane ka ya rulane ka nahi tha.."

Bondita realized that Anirudh is crying too.

Bondita : Pati babu..(lowly) aapko pehle se bata dena chaiye tha.

Ani - Haan Bondita , maaf krdo mujhe, tumhare jeevan ke faisle mujhe tum se pooche bina nhi krna chaiye tha. Par Bondita yeh humara sapna tha na ki tum badi hokr Biristra Babu bano.. Haa Bondita

Bon- Pati Babu mere jeevan pe sirf aapka adheekar hai.. mujhe uska bura nhi laga... par yeh sochke ghabrahat hui ki me tulsipur se door vilayat me kese rhungi... par Pati Babu aap mere saath rhenge to mujhe kisi aur cheez ki zaroorat ho skti hai kya bhala?Nhi na!? with a blissful smile.

Ani - Bondita wo ...

Bon- Kya hua?

Ani- Mishti wo.. Me tumhe sirf udhr chhodne aaunga tumhe waha meri pishi ke saath rehna hoga .

Bon- Kya!! (shockingly)

Ani- Tum ghabrao mt me tumhe chhodne bhi aaunga aur tum se patr ke dwaara baat bhi krta rhunga..vishwaas kro mera tumhe koi dikkat koi pareshaani hogi..

Bon - Par me apne ghar se , Apno se door kese rhungi??! nhi! nhi pati babu.. me nhi kr paungi..

Ani- Mishti.. dekho humare sapno ko pura krna haina hume?! aur kaunsa tumhe saare jeevan ke liye akele rehna sirf kuch 3 4 saal ki baat hai.

Bon- 3 4 saal??!!! pati babu me aapke aur kaka sasurji ke bina 1 din bhi reh paungi kya?! innocently crying like kid

Ani- Mishti udhr tum jaogi to tumhe apne umar ke log,tumhare tarah ki khuli soch rkhne waale log milenge aur Sunaina meri pishi ki beti wo tumhare umar ki hai ... tumhari usse dosti ho jayegi to koi pareshani nhi hogi.. Mishti zara shaant dimaag se socho humare sapne ke baare me, Un sabhi ladkiyo ke baare me jinke liye tum ek zariya bn skti ho unke shasaktikaran me.. tum barrister sirf apne nhi bn rhi ho.. Un sabh ladkiyo ke liye misaal bn rhi ho jo sapne to dekhti hain par unko poore nhi kr paati..Soch ke aaram se uttar do.. thik hai?! smiled at her

Anirudh leaves

Bondita thought about it throughout the day

At Night Bondita walks in Anirudh's room and keeps milk at the table.

Bon- Pati Babu... London ke liye kab niklna hai?

Anirudh gave her a big wide smile...

Ani- Tumse yahi umeed thi mujhse.. said very happily

Bon- Mere jaane se bohot khush lg rhe hai aap? (annoyingly ) (to tease)

Ani- Mishti... and laughed

Bon- Waha rossogulle to honge na?!

Ani- Kya bol rhi mishti.. vilayat me thodi milta hai yeh sab

Bon- yeh kesi jagah bhej rhe hai jaha na aap honge na kaka sasurji na maa aur na rossogulle .. (Annoyed at Anirudh) Dugga ma hi bachaye ese jagah se mujhe..

Anirudh laughed at her innocence.. and said "jao abhi so jao"

Bon- Pati babu kab niklna hai uska uttar to de dijiye

Ani- Aree haa 4 din me nikalna hai..

Bon- Pati babu! aap aur kitne jhatke dene waale hain pehle hi bata dijiye..4 din me nikalna hai aur mene saaman bhi nhi baandha hai , wo chhodiye humne kaka ko abhi tak nhi manaya hai...aur me apni maa se mile bina kese jaa skti hu, uski yaad nhi aayegi mujhe waha?!

Ani- Sumati Ma kal savere aa rhi hai , unko mene bula liye hai

Bondita was very happy and jumped with happiness and said "sach!?"

Anirudh smiled

Ani- Ha par... Kaka ke baare me kuch socho

Bon- Aap chinta mt kijiye pati babu

To all the Barrister Babu lover If You Enjoyed reading please do vote and share with your friends . Also please leave a comment it really encourages me to bring up an amazing Anidita story.

ANIDITA - THE BARRISTER COUPLEWhere stories live. Discover now