Bondita Convinces Trilochan

2.9K 151 2
                                    

Bondita went without waiting for anyy reply from Anirudh

Anirudh followed her but did not come in front of his Kaka. Bondita too is unaware of his presence.

Bondita goes to Kaka sasurji's room and knocks

Bon- Kaka sasurji??!

Trilochan- Ha bahu aao na.

Bon - Kuch soch rhe the aap?

Trilochan- wahi ki Anirudh kya bol rha hai.. kese bhej de hum apni bahu ko apne se door.. aree parampara aur rivaaz apni jagah hai par tum hi socho bahu Roy Chaudhary haveli ka kya hoga.. aree humara kya hoga apni bahu ke bina??( crying )

Bon- Me konsa humesha ke liye jaungi Kaka sasurji sirf 3 4 saal..

Trilochan(interrupted)- Hey Dugga ma! 3 4 saal humari bahu aur beta vilayat me rhenge.

Bon - Sirf bahu kaka sasurji, aur 3 4 saal to yun beet jayenge aur me aapse baat bhi krti rhungi patr ke zariye

Trilochan- Kya kaha tumne bahu ?! tum akele rhogi waha anjaan desh me?!

Bon- Nhi ksj sunaina hogi na waha..

Trilochan - To tum Sagnik Babu ke saath rhogi?

Bon- Haa

Trilochan- Par bahu mt jao.. humari ghar ke auratein ese bahar padhne nhi jaati...

Bon- Kyu pati babu bhi to gye the? to me kyu nhi jaa skti? Saraswati Ma ki pooja krte haina hum to apne ghar ki Saraswati ko Vidya se door kyu rkhna chahte hai aap?

Trilochan- Bs tark krwa le koi tumse... Arreey bahu Samaj ki yeh pratha nhi hai. kya kahenge log?!Badnaam ho jaogi tum... aur tumhe badnaam hone de skte hai kya hum?bilkul nhi.

Bon- Ksj aap jis samaj ki baat kr rhe hai us hi samaj ne Mata Sita ko bhi badnaam kiya.. Ab jis samaj ne laksmi swaroopa Mata Sita ko nhi chhoda to me to bahut mamooli si ek ladki hu.. Samaj ke dar se kab tak hum apne sapno ko kaid kar pinjare me rkhenge.. Samaj kal bhi wahi tha aaj bhi wahi hai aur kal bhi wahi rhega.. chahe jo ho jaye khud kitne hi ghatiya ho par auraton ki aazadi aurton ke sapne aur aurton ke karmo par hi prashn krega.. to hum kya kre? unke wajah se khudki khushi ko kurbaan krna kaha tak sahi hai...( very politely and sweetly)

Trilochan- Par bahu..

Bon(interrupting)- Ksj.. aap sochiye aadmi der raat tak kaha hai kisi ko padi nhi hoti par aurat sanjh dhalne ke ek shan bhi deri se aaye to wo chareetraheen kehlaati hai ... yeh wahi samaj hai jo Ramyan ke liye ravan ko nhi Sita aur Mahabharat ke liye Duryodan ko nhi Draupadi ko doshi thehraata hai.. Ksj Mahabharat padhi haina aapne.. Draupadi ke apmaan ke baad kya uska chup bethna sahi hota? nhi na... to kyu hum chup bethe .... ksj hum kitna bhi chah le koshish krle par koi na koi tab bhi nakhush hoga unki khushi humari zimmedari nhi hai par jo humre haath me hai wo hai khudko khush rkhna..(explaining him peacefully and calmly)

Trilochan - Ha bahu tum ekdum sahi keh rahi ho.. Jao bahu tum tod to prathaon ki zanjeer aur udd jao aasman me hum tumhare saath hai.

Bondita is overjoyed with her ksj's words and her eyes have become mosit

Bon- Aapko pata nhi kaka sasurji par aaj aapne mera saath deke mujhpe hi nhi iss samaj ki har aurat har ladki pe kitna bada upkaar kiya hai... aapki manzoori ke bina me padhne kabhi nhi jaati... dhanyavaad kaka sasurji

Bondita immediately touches his feet. Trilochan's eyes too are filled with happy tears. Anirudh is proud of how calmly she made his kaka understand rights of a woman..

Tri- chalo bahu raat ho gyi hai ab tum bhi so jao jaake...

Bon- Ji..


To all the Barrister Babu lover If You Enjoyed reading please do vote and share with your friends . Also please leave a comment it really encourages me to bring up an amazing Anidita story.

ANIDITA - THE BARRISTER COUPLEWhere stories live. Discover now