PART 2 ( Realisation or Not?)

2.9K 181 28
                                    


Kaka - anirudh aaj tere or teri iss patni ke karan meri bahu, meri beti iss ghar ko chodd kar chali gyi hai sirf or sirf teri wajah se..

Binoy - haan da, bilkul sahi keh rahe hai.. Galti hamesha Tu karta hai or jana hamesha bondita ko parta hai..

Som- dada mujhe kehna toh nahi chahiye lekin mujhe aapse aisi ummid nahi thi or mein kabhi bhi inko( pointing towards manorama) apni baudi nahi manunga...

Batuk- or naa hi mein..

Som- chalo batuk... And both went away from there...

Kaka while crying- kaha gayi hogi wo bechaari. Ab toh wo apni maa ke pass bhi nahi jaa sakti hai or nahi hi yaha aayegi binoy kaha gayi hogi wo.. Kahi kuchh ulta sidha na ho jaye uske saath..

Binoy - da sambhaliye apne aap ko kuch nahi hoga usse mein dhundhunga usse or wapas aane ke liye manaunga..

Samporna- are jab wo apne mann se iss ghar ko chodd kar gyi hai toh fir usse kyu bulana or aise bhi yaha kis adhikaar se rahegi...

Binoy and kaka- meri beti ban kar....

Binoy - da mein dhundhane jaunga aap shant rahiye..

koi nahi jayega usse dhundhne usko aana hoga toh wo aa jayegi or waise bhi kaha jayegi baad me yahi hi aayegi kyuki mere alawa uska koi nahi hai... Said anirudh with a heavy heart and thought in mind that he will go and will bring her with him..

tum pagal ho gye ho anirudh apne iss pagalpanti me kahi aisa naa ho ki bondita kabhi tujhe mile hi nahi...said kaka and went away from there with binoy .

Samporna- chalo manorama bahu jaa kar aaram kar lo thak gyi hogi na uss bondita ne tumhari rasme bhi jo kharab kar di..

Manorama gets angry and irriteted hearing her words and went away from there..

Anirudh also went to the study and recalls all the incident that happened just a few mins ago..

Anirudh while crying - kyu bondita kyu ... Tum aise kaise jaa sakti ho mujhe chood kar Haan...humare sapne ko chodd kar. Iss ghar ko chodd, apno ko chod kar. Maine tumhari zimmedari li thi lekin tumne toh mere se meri zimmedaari hi chin li. Kaha gayi ho tum.... Kaha dhundhunga tumhe... Kaise rahunga mein tumhara bina... Tum mere liye kitni khaash thi, humara rishta kitna khaas tha lekin tumne kaha ki humara koi rishta hi nahi kyu kyu kyu....

Tabhi waha par manorama aa jati hai or anirudh ko rota hua dekhti hai ..

Manorama - anirudh ab toh jao usse laane kaha jaaegi wo bechaari aise akele... Or ab tumhe usse maafi maaang leni chahiye or humari shaadi ki bhi sachhai jaa kar bata do.. Aise rone se kuchh nahi hoga..

Anirudh- wo toh mein usse dhundhunga hi or launga bhi lekin agar mein turant gaya toh wo firse piche lag jeyegi ye pati patni kar karke or aise bhi baba gaye hai na usse dhundhne toh wo use le aayenge... Lekin abhi mein nahi jaunga..

Manoram- pagal ho gye ho tum ye kya laga kar rakha hai nhi jaunga kahi, aise naa ho ki baad me wo kabhi tumhe mile hi nahi anirudh isiliye abhi ke abhi apni galti mano or jao use dhundhne.... Or ek baat tum dikhao ya na dikhao lekin tum usse pyaar krte ho anirudh....

Anirudh - nhi manorama nhi mein koi pyaar nahi karta hu...wo sirf or sirf meri liye ek zimmedari thi, hai or rahegi or tum jao yaha se mujhe pareshan mat karo...

Manorama thought in her mind - chaahe aaj jitna bhi bhaag lo tum iss baat se lekin main tumhe ye saabit kar ke rahungi ki tumhare liye bondita zimmedari se bhi jyada bhadh kar thi anirudh.. Or ye mera wada hai tumse or apne aap se... Hey bhagwaan bas bondita jaha bhi ho use sahi salamat rakhna....

Bondita- Anirudh's Lost HeartbeatWhere stories live. Discover now