PART 26 ( Guilty Manorama...)

1.2K 134 35
                                    

You guys are not even commenting now a days..... But today I really wants all of yours comments...atleast just comment down how u were feeling about the chapter only....

--------------------------------------------------------------

Bondita- toh kaisa hai.. Jawaab dijiye kyu nhi dhundha koi or raasta..... Kyu kar liya dusri shaadi or bana diya mujhe pehli patni...batayi...

Anirudh - main... Mujhe.... Main...

Bondita- kyu nhi hai na jawab jaanti thi main... Or hoga bhi kaise kyuki aapne ye shaadi sirf or sirf apne pyaar ke liye kiya tha naa ki mere bhalai ke liye.... Warna aap koyi or raasta aapnate.... Or nhi uthate ye kadam...apne sirf apne fayde ke....
(But stops at middle when she heard a voice from behind)

Meri wajah se usne ye kadam uthaya tha... Said the person...

Both anirudh and bondita turn to see manorma standing there...

Manorma entered the study and said - main hu iski wajah bondita..

Bondita - aap kaise didi aap toh jaante bhi nhi the jab aapki shaadi ho rahi thi...

Manorma - nhi bondita galti meri hi thi... Haan mujhe nhi pta tha ki anirudh mujhse meri shaadi ke din aise aa kar mujhse shaadi kar lega lekin... Ye shaadi ka prastao bhi maine hi rakha tha uske saamne... ( said with a guilt..)

Bondita gets shocked hearing this and asked - aapne...?? Matlab kya hai iska...??

Anirudh - nhi manorma tumhari koi galti nhi hai.

Manorma - nhi sabse pehli galati toh meri hi hai anirudh or mujhe batane do bondita ko.. ye sab suru bhi mujhse hi hua... Na main anirudh ke saamne shaadi ka prastao rakhti tum dono ke vivah ki pehli varsgath ke din... Or na anirudh ye kadam uthata...

Again a shocker for bondita...

Bondita - aa... Aapne humare..

Manorma while crying - haan main ek krantikari hu or uss samay mujhe vyasrao general ke baare me jaana tha apni muhim ke liye or jab mujhe pata chala tum dono ke shaadi ka sachh tab mujhe ye laga ki anirudh se achha meri muhim me koi meri madat nhi kar sakta... Isiliye maine usi din uske saamne shaadi ka prashtao rakha lekin nakli shaadi ka kyuki main ye shaadi sirf bade ghar ki bahu ban kar apni muhim puri karne ke liye kar rahi thi or fir mera kaam hote hi main chali jaati...or isiliye jab tum iski baat bilkul bhi nhi sun rahi thi tab ise aakhiri nirnay mera prastao hi laga or isne iske baare me socha or sabse pehle tumhari maa se jaa kar aagya liya or mujhse shaadi ki bondita.... Toh isme iski galti se pehle meri galti hai..saari tumhari pareshaniya hi mujhse suru huyi thi..... Naa main aisa kuchh prastao rakhti or naa hi wo ye kadam uthata.... Or agar tum mujhe maaf kar sakti ho toh isse toh maaf karna hi hoga tumhe bondita....

Bondita- bas..... Bas naa main aapko maaf kar sakti hu ab......or naahi kisi ko.... Ek taraf aap kehti ho ki aapne apne liye inke saamne prashtao rkha...dusri taraf ye kehte hai ki inhone meri bhalai ke liye aapke prastao ko swikaar kiya.... Lekin kisi ne ye socha ki aap dono ke iss shaadi se, bichh me toh main hi fasi na....ek taraf manorama ji apne desh ke liye shaadi kar rahi thi lekin kbhi ye socha ki aap apne muhim ko pura karne ke liye mujhe bali ka bakra bana rahi thi.....dusri taraf barrister babu kehte hai ki wo mere bhalai ke liye shaadi ki.....lekin kbhi ye socha......ki wo bhalai nhi barbaadi ka rop le sakta hai..... Uss samay aap dono ne kbhi ye socha ki aapke karan pehli patni toh main bani na....or taane toh mujhe sunne pade pehli patni hone ke......dekhiye main ye nhi keh rahi hu manorama ji ki aap jo apne desh ke liye karna chahti thi wo galat tha lekin aapne uss kaam ko pura karne ke liye jo raasta chuna wo galat tha...( took a pause)...
Are krantikari toh desh or samaaj ke hiith me kaam karte hai lekin aapne ( looking at manorama)....aapne toh usi samaaj me rehne waali ek bachhi ke saath anyaay kiya, mujhe hi dao pe laga diya ....or barrister babu, wo mujhe nikalna chahta the unn samaaj ke galat sochh ke prabhao se lekin unhone mujhe usi samaaj ke baato ke daldal me dhakel diya.... Are dono ne sirf apna apna hi socha mere liye toh socha hi nhi tha kbhi... Sirf apna fayda dekha.... Mera toh kisi ne socha hi nhi....ek ne desh ka naam par or dusre ne apne pyaar ke liye mujhe istemaal kiya....

Bondita- Anirudh's Lost HeartbeatWhere stories live. Discover now