KS's freedom

548 71 29
                                    

Toh aap sab ke concerns dekhe maine, regarding Santu's entry. Since many of you want ki uska kaafi part rahe, and many want minimal parts... I'll make a balance of it, don't worry... Santu jyada nahi, toh kam bhi nahi... Aur kam nahi toh jyada bhi nahi... Sab balanced rahega, KarEena, AnuShma aur AnuSeena scenes kam nahi honge... So chill outtt ❤️

Also one more thing, Pushpee ko Santu ki mummy bana de kya? I know maine pehle Rekha ji bola tha, abhi change kar dungi... Agar aaplog ki permission ho toh... Jaisa aaplog bolo... Comment karke batana...

Chalo ab Bina bakaiti ke... Vapas story pe chalte hai...

So here's your BONUSSS!


Enjoyyy Readinggg ❤️

#Episode 27

HM (shouted): bassss! Bas kariye aaplog... Subah subah shuru ho gye hai

KS: Bhabhs vo toh bhaiya...

AS (interrupted): par pillow toh Karu....

HM (interrupted): ekdum chup dono... Kya haal bana diya hai subah subah Ghar ka... Pata hai kal Jana hai... Aur aaj packing karni hogi, already late hai... Ekdum buddhi nahi hai aap dono mein ..

AnuShma: areh par...

HM (sternly): chup rehne kaha na...ab Anu aap ab ye sab jaldi saaf kariye

AS: hum kyu priye?

HM: kyuki aap hi ye sab shuru kiye hai

KS gave AS a winning look and smiled while HM noticed it.

HM (to KS): aur aap jyada hehe mat kariye... Brush karke aaiye aur fir ye table saaf kariye... pura kabada kar diya...

AnuShma: par Bhabhs/Hasuu yaarrr

HM: kam hai kya kaam?

AnuShma: nhi nhi...

HM: good... 5min mein humko ekdum saaf chahiye hall aur dining table fir hi nashta milega...

KS: hume na Bhabhs...

AS: bhook nahi hai utni...

HM: chup ekdum... Sirf bachne ke bahane banwa lo.... Ye 5min mein saaf nahi hua... Toh Anu hum aapko HQ nhi jaane denge... Aur Karu Aaj tv ka remote aur aapka phn hum apne saath le jayenge...

AnuShma: nahiii

HM: toh lag jaiye kaam pe... Choice is all yours

AnuShma give a helpless look to each other and then get back to work. HM returns to the kitchen smiling inwardly and as she enters

AnuShma: khadus

HM (from kitchen): sun rahe hai hum

KS: bhaiya the

AS: jhooti

KS: bhaiya

AS: behna

HM came out from the kitchen and stood in front of them folding her hands infront of her chest and she passed a glare to them... Because of which both the bhai-behen duo completed the work hurriedly in fast motion and then finally the trio sat to have breakfast. While having the breakfast:

KS: bhabhs... aap kab tak aaoge?

HM: dekhte hai, aaj jaldi aane ki koshish karenge... 6 baje tak... Packing bhi toh karni hai na...

KS: hmm acha... Hum madat kar denge... Aur hum soch rhe the Santu ke liye gifts le lete hai na kuch toh

HM: hmm... Acha idea hai mera bacha... Hum shaam ko aate hai... Fir hum dono aapke liye bhi new dresses le lenge... Aur Santu ke liye bhi kuch... Masi ke liye unke pasand ke achar rakh lenge...

KS: ha ha...

AS: behna aapne humare vishay mein nahi pucha?

KS: kya?

AS: aapne humse nahi pucha ki kitne der Tak aayenge...

KS: aap konsa kaam karte hai😂

AS: ha ha... Kaam toh akeli aap aur aapki bhabhs karti hai na...

KarEena (shared an eyelock): ofc! (A hi-fi)

HM: acha abhi ab nikalte hai hum dono... Karu... Aap time se naha lijiyega, fridge mein khana rakha hai, garam krke kha lena aurr...

KS: aur apna khayal rakhna? Haina

HM: ha vo toh karna hi... Aur...

AS: aur jyada shaitani mat karna... Haina?

HM: haa vo bhi... Aur

AnuShma: Aur

HM: areh hume bolne de😒

AnuShma: haha... Bolo bolo

HM: aur maths ka agla exercise khatam krke rakhna hum aake check karenge...

KS: haw... Nahi Bhabhs .... Aaj chutti hai na

HM: kya chutti... Ek exercise toh karni hai... Vaise bhi kalse vacation pe rahenge...

KS: Parr...

HM: kar lena complete Varna humse bura koi nhi hoga

KS: Huh

HM: chalo ab nikalte hai...

AnuSeena got up. While leaving AS side hugged KS.

AS (to KS): khayal rakhiyega... Kuch zarurat ho toh hume ya apni Bhabhs ko call kar lena...

KS: ha bhaiya, rakhenge na hum apna khayal

AS: areh hum apne ghar ki baat kr rhe the... Tod fod mat machana😂🤣

KS: bhaiya! (Hits on AS's arm playfully)

HM arrives. She cups KS's face and kisses her on her cheeks.

HM: hum jaldi aa jayenge... Dhyan rakhna apna... Aur phone paas mein rakhna... Hum phn karenge toh utha lena...

KS: jii Bhabhs (hugs HM)

And then AnuSeena leave for HQ and thana respectively. KS closed the door and jumped on the sofaaa

KS : yeahhhh!!! Ab hum akele hai gharpee!!! Wohooo!! Freedom

As soon as AnuSeena leave the house, KS adjusts herself on the sofa and switches on the tv, and then she realises that there are no Netflix or prime, etc etc subscriptions.

KS (to herself): ama ab kya kare... Humko toh normal tv dekhne ka aadat hi nahi hai... Ha, humare phn mein ho sakta hai
(After checking her phone): ohooo... Humne toh delete kar diya tha sab Bhabhs ke kehne par... Ab kya karee...Bhabhs ko bole kya subscription ke liye? Nhi Karishma, pagal hai kya... Pitna thodi hai... Haa... Bhaiya ko patate hai... Aakhir bachpan se yahi toh kiya hai (smiles mischievously🤭)

KS calls AS

On call conversation:

AS: haa behna, kahiye

KS: vo bhaiya, hume na ek help chahiye thi

AS: ji kahiye, kis karya hetu durbhash kiya aapne?

KS: vo hum na bore ho rhe hai

AS: toh behna, Haseena Ji ne jo karya diya tha, vo kar lijiye na

KS: kya bhaiya... Abhi uthe hue 1 hi hour hua hoga... Abhi se padhai... Ama bhak, aap toh aisa na bole

AS: toh aapko humse kya chahiye?




Aajke liye bas itna hi... Kaafi likh liya, ab aap bhi thoda vote aur comment karke pyaar barsa do❤️🤝

Kya lagta hai? Karu ko subscription milegi?
Sochte rahiye...

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)Where stories live. Discover now