2🍂

2.5K 407 64
                                    

Gul e sana is currently sitting in a Royal room, to be specific, in her husband's room. After reaching the palace, her mother-in-law warmly welcomed her.

Ammi: sana beta, ye aap k shohar ka kamra hai.  Aur aaj se ye aap ka bhi kamra hai. Abhi wo naraj hai kyun ki unke saath dhoka kiya hai aap k puri parivaar ne. Issliye shayed wo aap k saath acche se baat nahi karenge. Par aap unki kahi hui baato ka bura maat manna! Thik hai?

Sana nodded a little.

Ammi: accha Sidharth hume ammi jaan kehte hai. Aap hume kya kahengi?

Sana: umm jo aap bolein.

Ammi: aap hume ammi kahengi toh hume accha laage gaa!

Sana's eyes were filled with tears. For the first time someone was wishing to hear ammi from her mouth. She slowly whispered..

Sana: aa ...ammi...

Zahanara begum hugged her and kissed her forehead!

Ammi: humara pyaara baccha! Kuch bhi chahiye hoga toh hume baata dijiyegaa! Aur kal se hum aap k liye ek khaas dasi ka intejaam kar denge. Aab aap aram kijiye! Hmm?

Sana; jee ammi!

After zahanara begum left, sana was looking at the moon through the window. Her face was still covered as ammi told her that her husband will see her face and give her a gift . But will he do that? Maybe not! Should she change?

She sighed and got up to take her clothes but before she could do that, she felt his presence. Her husband has entered in the room and glanched her once. He didn't know why his heart wanted to see his bride's face, for once! His mind scolded his heart and he took a simple kurta to change and was about to go to the bath area which is beside the royal bedroom.

But her soft voice stopped him.

Sana: Assalamualaikum.

He nodded and then said in his deep voice...


Sid:

Aap ko paata hai ki aap k baba sa aur behan ne humare saath dhoka kiya hai. Aur hume dhokebaaz bilkul nahi pasand.

Fir bhi hum ne humari ammi k khatir nikah ki hai. Aap iss mehel mein humari ammi ki bahu baan k , puri ijjat k saath reh saakti hai par aap humari begum banne ki ummed maat rakhna!

Sana: Jis waaqt se apne hume qabool ki hai, hum aap ki begum baan chuke hai. Aap k manne ya na manne se ye saach nahi badal jayega ki hum aap ki begum hai.

She replied softly. He was a little amazed as nobody ever replied him like this.

Sid: aap ko paata hai na aap kisse baat kar rahi hai? Humari baat ka aise jawaab koi nahi deta! Hum yaha k raja hai. Humari baat ka maan sab rakhte hai.  Fir apne jawaab dene ki gusthaki kaise ki?


Sana : hume paata hai ki aap raja hai, aap ki baat ka maan sab rakhte hai aur hum bhi aap ki baato ki ijjat hamesha karenge! Par iss waaqt hum apne shohar se baat kar rahe hai, kisi raja se nahi. Aur apne shohar k samne apni baat rakhna koi gusthaki nahi hota!


Sid: aap k khandan ne jo kiya hai uske baad aap itni jubaan kaise chala rahi hai! Aap ko toh sharam aani chahiye. Aap ek dhoka k waja se iss mehel mein hai. Yaad hai na aap ko?


Sana:

jee bilkul yaad hai ! Hume paata hai ki humara nikah ek dhoke ka sawada tha, jis khandan se hume kabhi mohabbat toh dur ki baat hai, ijjat naseeb nahi hua, uss khandan ki ijjat bachane k liye humne ye nikah ki hai. Aur apne bhi khud ki ijjat bachane k liye humse nikah ki hai. Aap raja hai , aap ki marji na hoti toh kisi ki himmat nahi thi ye nikah karwane ka! Humne aap pe jabardaasti nahi ki. Jab humara naam liya gya apne hume qabool kiya hai apne begum k roop mein. Fir hume sharam kyun aana chahiye? Humne aap k saath dhoka nahi kiya! Humara jubaan kyun nahi chalna chahiye? Humne koi gunah nahi Kiya!
Ye nikah apne apni ammi ki khushi k liye ki hai aur humne apne baba k ijjat k liye! Agar aap ne ek bete ka farz nibhaya hai toh humne ek beti ka nibhaya hai. Agar aap galat nahi hai toh hum kaise galat ho saakte hai ?


✨ALFAAZ E ISHQ✨✔️Where stories live. Discover now