30

6.8K 290 14
                                    

Arsam's pov

"Ye ladki hai kaun jisse haadi shadi kar raha hai?" Nanajaan asked in the car, on the way to home.

"Haadi bhai shadi kar rahe hai? Mujhe toh nahi pata iss baare me naanu" i acted innocent.

"tumhe nahi pata?,accha,sab pata hai tumhe, batao mujhe "

"Arey naanu,aap kasam le le, bhai abhi shadi hi nahi kar rahe, mom toh khud iss baat se pareshan rehti hai" i said

"Arsam, mai tumhare maa ka bhi baap hu, mere baap na bano, maine internet pe dekhi hai wo saari tasveere haadi aur us ladki ki" As soon as he said, I gulped."ye tumhare maa baap samjhte kya hai, hum logo ki raae ki koi ehmiyat hi nahi hai, haadi ka rishta bhi kar diya, hmse mashwara toh dur, humko batana bhi zaroori nahi samjha" naanu was full on in mood.


"Ab aapse toh mai jhoot bol nahi sakta na naanu...Mai toh bas batane hi wala tha aapko" He looked at me.." actually wo arisha hai, mera matlab arisha bhabhi..haadi bhai pasand karte hai unhe."

"tumhara kehne ka matlab hai ki haadi ne khud ladki pasand ki hai? nahi, haadi aesa nahi hai, ye sab kaam toh tumhare hai, wo toh bohot hi saada tabiyat aur  layak hai"

"Toh kya mai nalayak hu? Kya naanu, mai hi aapke paas aata hu sabse zyada.. Aur mai toh aapko airport pick karne bhi aaya, phir bhi aap haadi bhai ki hi tareef karte hai"

"Tum baate na banao zyada aur mujhe batao ke aakhir, ye mila kaha us ladki se? Kaisi family se ta-luk rakhti hai..? Maa baap kaise hai uske?"

"Arey naanu,aap pareshan na ho.. wo dad ke friend ki beti hai..Kaafi acchi family hai unki"

"Mujhe toh ye samajh nahi aa raha ki haadi toh aesa bilkul bhi nahi, ladkiyo se baat karna toh dur, wo toh dekhta bhi nahi tha"

"Haan Bhai toh pehle ekdum pasand nahi karte the arisha ko, har waqt ladai hi hoti rehti thi un dono ki pehle..."

"Ladai ??"

"Haan.. Ye dono toh itna ladhte rehte the... Lekin pata hai naanu, haadi bhai toh uski kisi baat ka bura hi nahi maante.. Jitne gusse wale bante hai na hum logo se.. Arisha ke aage unki ek na chalti "
i laughed

"Acchaa.."

~~~~~~~~~
[At Malik's Mansion]

"Ye saari baate toh theek hai.. Ye haadi aur Usman kab tak aaenge"
Naanu asked mom..

"Abba,wo usman kisi meeting me busy the, aate hi hnge bas or Haadi bhi office me hi tha..rohaid ke sath bhi jaana tha usne...." mom replied.

"Waise nuzhat tum mujhe ek baat batao.. Ye jo ladki haadi ne pasand ki hai.. Iske waledain se baat ki tum logo ne?" Naanu asked

"Jee Abba.. Usman se kaha hai maine, hum log jald hi unki taraf jaenge haadi or arisha ki baat karne" mom said

"Arey nanajaan.. Assalam walekum.." Shiza came smiling and greeted naanu.

"Walekum assalam meri shehzaadi.. Kaha thi ab tak?" Naanu said lovingly.

I must tell you, shiza is naanu's  favourite one.. I think he loves her the most among all of us.

"Woh hum bas alizeh aapi ki taraf gae the.. unki mayun hai na aaj..toh bas hum.." She replied indicating towards the doorframe.

I turned to see arisha standing there.

"Or ye kaun hai?" Naanu asked looking at aru..

"Assalam walekum" she greeted nervously.

"Walekum assalam.. Aao bete.. Andar aao.." Naanu replied with a smile and then turned to shiza "tumhari dost hai?"

My One And OnlyWhere stories live. Discover now