authorgouri
GEN Z CAN BE INTROVERTS TOO
Hello...
I'm the author of this story.
Aur honestly, shayad main is story ko kisi ek person ko dedicate karna chahti hoon...
Mere best friend ko. 🫶
Wahi best friend jo meri overthinking sun-sun kar kabhi bolti hai-
"Pagal hai kya? Itna kaun sochta hai?"
Aur main har baar bas hasti hoon.
Kyuki kya karun?
Main thodi zyada sochti hoon.
Chhoti-chhoti baaton ko baar-baar yaad karti hoon.
Kabhi ek message ke reply ka meaning nikalti hoon,
kabhi bina kisi reason ke future ke 100 scenarios bana leti hoon.
Aur shayad isi liye...
Maine un baaton ko bolne ke bajaye
likhna shuru kar diya.
Ye story kisi perfect Gen Z ki story nahi hai.
Ye un logon ki story hai
jo online hote hue bhi
apni hi little world mein rehte hain.
Jo parties se zyada
apna quiet corner pasand karte hain.
Jo har baat ka reply nahi dete,
lekin har baat ko feel zaroor karte hain.
Aur jo kabhi-kabhi bas itna chahte hain-
"Please, mujhe thodi der akela rehne do.
Main tumse naraz nahi hoon."
Toh...
Dear best friend,
agar tum ye padh rahi ho,
haan, ye tumhare liye hai. 😂💙
Aur baaki sab ke liye-
Maybe tumhe is story mein
mera thoda sa overthinking mile...
Meri thodi si awkwardness...
Meri thodi si silence...
Aur shayad...
tum khud ka bhi ek chhota sa piece paa jao.
So, welcome to my little world.
Read it slowly.
Feel it honestly.
And most importantly-
enjoy the story. ✨
- authorgouri...