Chapter-3 (Prem-Heer Intro)

7 0 0
                                    

In maan villa

The clock stuck 11.00 A.M. The rays of the sun are coming from the window and shedding light in the room. In the room there is a big round bed. There is a study table, and the books are scattered on the bed. Family pictures are there on the walls.

(Just then Teji entered the room, and she smiled looking at her daughter who is sleeping peacefully)

Teji: Heer puttar'. Heer uthja beta dekh 11.00 baj rahe hain. 1.30 baje tera exam shuru ho jayega, tujhe 1.00 baje se pehle college pohochna hai. Chal uthja, uth ke fresh hoke nashta karle. Uthja''

(Then Heer slowly sat up. Stretching and yawning. Her long black hair fell to her waist. She had almond shaped eyes; luscious lips and she has fair skin)

Heer (yawningly): Good morning ma!

Teji: Good morning nahi, good afternoon hone wali hai. Chal jaldi se fresh hoke niche aja tab tak mae tere liye nashta lagati hun. Thik hai!

(Heer nodded her head. Teji smiled and she kissed her on her forehead and then she left)

Ring! Ring!

(Heer's phone rang)

Heer: Hello!

Balraj: Hello Heer. Uth gaya mera bacha!

Heer (smilingly): Han papa.

Balraj: Maine tumhe Best of luck kehne ke liye call kiya hai kyunki abhi meri ek bohot important meeting hai aur phir mae busy ho jaounga, to phir muje time nahi milega.

So best Of Luck!

Heer: Thank you papa, love you.

Balraj (smilingly): Love you too beta. Ok ab muje meeting ke liye jana hai. Apna exam che se karna ok beta.

Heer: Han papa. Ab ap apni meeting mein jao warna ap late ho jaoge, bye papa.

Balraj: Bye beta.

(Heer disconnected the cal and then she checked whether there a missed call or message or not, but there was no missed call or message)

Heer (sadly): Itna time ho gaya. Prem ne abhi tak phone kyun nahi kiya muje wish karne ke liye.

(Then she goes to bathroom)

'''''''''''''

In Juneja Office

(Lalit was sitting in his cabin checking some files suddenly his phone rang, and he picked the phone)

Lalit: Hello!

(On the other side)

Balraj: Hello lalit mae balraj bol raha hun.

Lalit: Arre han ballu bol kaisa ha tu aur ghar mein sab kaise hai?

Balraj: Mae thik hun aur ghar pe bhi sab thik hai. Tu bata tu kaisa or ghar pe sab kaise hain?

Lalit: Sab bilkul thik hai. Aj kaise yad kiya tune?

Balraj: Kyun mae tuje yad nahi kar sakta kya. Darasal baat yeh hai ki maine tuje or tere poore parivar ko aj humare ghar pe dinner le liye invite karne ke liye phone kiya hai.

Lalit: Arre wah! Kya baat hai, tu dinner pe invite kar raha hai, koi specail occasion hai kya?

Balraj: arre nahi yaar, bas aise hi kafi din ho gaye hain mile hue aur ajse to Heer ke final semesters bhi khatam ho rahe hain. Agar tum log aoge to Prem or Preet or baki sab logo se mil kar wo thorda relax bhi ho jayegi. Pichle ek mahine se uspe studies ka kafi pressure raha hai.

Lalit: Tu thik keh raha hai ballu. Isi bahane Heer ko bhi break mil jayega. Hum sab log zaror ayenge.

Balraj: Thik hai to phir aj sham ko milte hain.

Lalit: Han bilkul.

(Then they disconnect the phone)

Lalit (to himself): Gayarti ko phone karke keh deta hun ki aj sham hum sab log maan villa ja rahe hain dinner pe

(Then Lalit informed Gayatri about Balraj's invitation)

Just then

Knock! Knock!

Lalit: Come in!

(Manager entered)

Manager: Good morning, sir. Sir yeh kuch documents hai. Isme apke sign chahiye the.

(He gives file to Lalit. And Lalit starts reading the file. While reading)

Lalit: Mr.Sharma aj Prem ki Sehgal Group of industries ke MD ke sath meeting thi na?

Manager: Yes sir. Infact Prem Sir abhi bhi ussi meeting mein hai. Lagta hai ki yeh contract bhi hume hi milega.

Lalit (smilingly): Sahi kaha Mr.Sharma apne. Prem ne is contract ke liye bohot mehnat ki hain. To definetely yeh contract hume hi milega. Mera Prem Ram hai mere ghar ka aur agar Ram kissi cheez ko hasil karna chahate hai to wo apni mehnat, lagan aur imandari se uss cheez ko hasil karke hi rehte hai. Kyun Mr.Sharma sahi kaha na maine?

Manager (smilingly): yes sir!

On the same in the Conference Room.

One guy was sitting on MD's chair, his back was facing others.

Guy: Let me tell you Mr.Sehgal, hamari company humari factory mein advance technology use karti hai instead of manpower jiski waje se humari company 8 nahi balki 5 mahine mein apka project khatam karke apko handover karegi.

(Then that guy turned his chair, and now is facing others)

"Yeh Prem Juneja ka wada hai apse" he said.

(That guy is none other than our Prem. He was in his business black suit. He has chocolate brown eyes, strong muscles. Silky hair with shaggy cut. His shirt's two upper buttons are undone. Looking extremely handsome.)

Prem (smirked): Choice is yours Mr.Sehgal!

Mr.Sehgal: I am quite impressed Mr.Juneja. Hum Junejas ke sath hi yeh contract sign karenge.

(Then both Prem and Mr.Sehgal signed the contract and then they shake their hands)

(Lalit entered the conference room)

Mr.Sehgal:The deal is final Mr. Lalit Juneja.

(He also shook his hand with Lalit and after discussing some important things Mr.Sehgal left. Now only Lalit and Prem are there in the conference room)

Lalit: I am proud of you, my son.

Prem: Thank you bauji. Yeh sab apke aur ma ke ashirwad na natija hai.

(Lalit smiled)

Lalit: arre han ek aur baat, aj hum sab sham ko Maan villa ja rahe hai dinner pe, Balraj ka phone aya tha. To tu jaldi se apna kam khatam kar lena sham tak. Kyunki agar tu sham ko late pohocha to tu janta hai na Heer ka gussa. Tuje ghar ke andar nahi ane degi wo.

(Lalit laughed and Prem realized)

Prem: Oh no bauji aj to Heer ka last exam haina 1.30 baje. Aur abhi 12.45 baj rahe hain. Mae meri Jhansi Ki Rani ko Best of Luck wish karna hi bhul gaya, he said worriedly.

Lalit (smilingly): Arre tu chinta kyun kar raha hai abhi bhi der nahi hui hai. 1.30 bajne mein abhi kafi time hai. Tu abhi usse call karke wish karde warna uska moh gubare ki tarah phul jayega. Thik Hai.

Prem: Ji bauji, mae abhi usse call kar deta hun.

(Lalit left and Prem starts dialing Heer's number.)

[That was the 3rd chapter guys. I hope that you all like it. Please do read and give me your suggestions]

Pyar Ka AsarTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon