The Reason👀

162 11 41
                                    

Without having any second thoughts, Abhyudaya at once left his workplace and drove his car at a very fast pace to reach his home quickly out of fear and tension while also hoping for Gautami to be safe and sound in the meantime.

When he reached his apartment complex, he noticed quite a huge troop of policemen standing outside along with a dispatched ambulance. He thought of asking about any updates and headed towards one of the policemen when someone pulled him aside by his arm.

"Yeh kya badtameezi hai? Aap kaun ho aur yahan kya kar rahe ho?"

"Mera naam Mithilesh Patankar hai aur main iss case ka in charge hoon. Assistant Commissioner of Mumbai Police. Mr. Mohan, aap zyada tension mat lijiye, hum aapki aur aapki Mrs. ki madat karne ki poori koshish karenge."

"Oh, I apologize sir. Kuch updates mili aapko?"

"It's alright Mr. Mohan, par humein pata chala hai ke jisne aapki wife ko hostage bana rakha hai, usse ransom se zyada kuch chahiye jo filhaal humein pata lagana baaki hai. Main aapse bas itna chahunga ke aap humare saath cooperate kare aur aapko jo bhi Gautami ji ke baare mein pata hai, sab mujhe abhi bata dijiye for protocol purposes."

Abhyudaya was about to say something when Mithilesh suddenly caught hold of his arm and took him somewhere, in a corner near the apartment.

"Ab kya hua sir? Aap mujhe yahan kyun le aaye? Meri wife ka kya?"

"Dekhiye Mr. Mohan, aapke ghar ke paas media wale aagaye hai. Agar unhone hum dono ko dekh liya hota, toh bohot badi dikkat ho jaati isiliye main aapko yahan le aaya."

"Accha, thik hai. Pehli cheez yeh hai ke meri wife ko paranoia hai jiske wajah se Gautami kayi tarah ke illusions se almost har waqt gheeri rehti hai aur agar usse waqt pe apne pills nahi mile, toh woh bohot dikkat ki baat hojayegi."

"Magar kyun? Aisi kya baat hai unn pills mein?"

"Agar Gautami ko apne pills waqt par nahi mile, toh woh uss hostager se bhi dangerous ho jaa sakti hai. It might be a possibility. Waise, uss hostager ka naam kya hai? Aapko pata laga?"

"Haa, uska naam Nischay hai."

Meanwhile, inside the apartment complex, Gautami starts feeling off and gets immersed in her own thoughts of illusions, clearly hinting about paranoia catching upto her. The hostager Nischay was sitting in front of her with his knife on his hand and looking straight at her.

He was not saying anything nor was she but after sometime, she broke the silence by saying,

"Mera husband mujhe maarna chahta hai. Woh mujhse chutkara paana chahta hai. Woh mujhse nahi, kisi aur se pyaar karta hai aur uske saath rehna chahta hai mujhe apne raaste se hatake."

"Kya? Yeh tum kya keh rahi ho? Apni bakwaas bandh karo aur chup raho."

"Yehi sach hai, Nischay. Mera husband bas mere paiso se matlab rakhta hai isiliye toh woh mujhe galat medications deke mujhe paagal karna chahta hai."

"Tum kuch bhi mat bolo. Thodi der pehle toh usse hi call karke apni madat karwaane tum bula rahi thi aur ab usse hi tum bura dikha rahi ho mere saamne? Tumne kya mujhe bewakoof samajh rakha hai jo main tumhari baat par believe karunga?"

"Aisi baat nahi hai Nischay. Mere husband ka mere hi psychiatrist Priyanka se chakkar chal raha hai aur yeh baat sach hai. Woh dono conspire karke mere saath aisa kar rahe hai."

Furious and annoyed about the situation, Nischay says,

"Bas bohot hogaya tumhara. Chup karo abhi issi waqt warna agar mujhe gussa aagaya, toh mujhse bura koi nahi hoga." He says coming close to her and placing the knife slightly on her neck.

On the other hand, Mithilesh tries to get in contact with Nischay and on getting him on line, he along with Abhyudaya pleads him to give Gautami her medication otherwise, she will soon have a relapse which possibly will not end well for him.

Gautami overhears the conversation and whispers to Nischay not to administer and listen to their advice seriously and cuts the call.

This made both Mithilesh and Abhyudaya even more tense than before.

"Nischay ne aakhir iss tarah sudden call kyun cut kardi?"

"Woh usne nahi balki Gautami ne kiya."

"Matlab kya hai aapka?"

"Meri wife ko paranoia hona shuru hogaya hai aur ab woh kayi tarah ke illusions and negative thoughts ke baare mein sochne lagegi. Most probably about me as well for sure."

Meanwhile, Gautami was in no state of talking as many loads of negative things and thoughts were roaming around in her mind as guessed by Abhyudaya. By this time, Nischay followed the advice given by Mithilesh and Abhyudaya, giving the pills to the former.

He came near her and made her look at him who had held her legs with her head looking at the floor. On looking up, Gautami noticed tears on Nischay's face and wiped them off with her hands. He smiled slightly at her and said,

"Inn sab mein meri koi galti nahi hai. Mujhe yeh sab meri majboori ke chalte karni pad rahi hai. 2 saal pehle main apne ek close dost ke papa ke factory mein kaam karta tha jahan mera kaam ghar ghar tak courier deliver karna hota tha. Sab kuch normal tha par ek din, mujhe yeh pata nahi tha ke mere ussi dost ne ek courier mein 4 bomb ek saath fit kar rakhe hai, I really did not know that. Woh courier mujhe ek boys hostel mein deliver karna tha aur jaise hi maine woh courier deliver kiya, tabhi ek bohot dangerous bomb blast hua jisme 13 boys ki on the spot death hogayi aur 16 severely injured hogaye. Since uss din main hi eyewitness tha, sabko including the judiciary ko yehi laga ke maine hi woh sab kiya par aisa nahi tha. Main nirdosh tha par uske bawajood mujhe sazaa mili jabki asli gunegaar ab bhi apni azaadi mast jee raha hai."

"Tumhare saath jo hua, woh waakai mein bohot galat hua par tum mere saath aisa kyun rahe ho Nischay? Main toh tumhe jaanti bhi nahi."

"Woh baat yeh hai ki--"

[To be continued]

{Stay tuned for more upcoming chapters and thank you for reading}

-Moonlight

Sach Kya, Jhooth KyaWhere stories live. Discover now