Episode 32 ~Party ki tayari

92 8 11
                                    

"Chal bata ye Kaal kon hai " Asked dev

"Aap veerlok chaliye, wahan bata dunga " Said viv and both teleported to Veerlok

VEERLOK

Vivaan started -"Bhaiya, after your fake death, aapke humshakals ki entry huyi aur hum sabki tragic story mei confusion bhara twist aa gya, Bahot se raaz khule, kayi chizein pata karni padi, aur unn sabhi ko maarna pada kyunki aapka ek humshakal burai ka tha jiska naam 'KAAL' tha, bas ek prithvi lok wale duplicate ko bacha paye humsab aur unki memory ke saath saath face bhi jara badal diya, kyunki unhe dekhke mujhe aapki yaad aati thi aur yhi wajah hai ki hum kaal ka ant permamently nahi kar paye baaki baatein pari maa se puch lijiye bhaiya mai nahi bata paunga "

"Tu emotional kyun hota hai, kar di naa galti?! Chal rehne de pehle dharti par sab sambhal lenge uske baad aur kuch " Dev said

IN HALL

Khushi was studying ;Karuna ji was doing hisaab kitaab ; devaan came slowly from stairs

Karuna (without seeing them) -"Kahan se aa rahe hain aap donon? "

Devaan stopped
"Aapko kaise pata chala maa ki... Ki hum dono aa rahe hain?! "

Karuna seeing them -"Mujhe toh ye bhi pata hai kahan se aa rahe ho "

Dev shocked -"K..kahan se?!"

"Aurr... Aur kaise? " Asked Vivan

"Bacche ki aahat maa ko dur se bhi ho jati hai " Said karuna ji

"Mummy phir se ye filmy dialogue?! " Said khushi

"Matlab bas Vivaan ke baare mei pata chala naa " Dev said while laughing

"Chup! Tu nahi hai kya mera beta? Tu bhale mujhe maa nahi maanta ho, par mera beta hi hai tu, aur agar nhi maanta toh jaa bhawna jii ke paas " Said KJ emotionally

"Arehh maa sorryy, I am really sorryy, mai bas majak kar raha tha " Said dev and hugged her

"Bas bas, ab batao teeno ki party kis din rakhe? " Asked KJ breaking hug

All sits on sofa, Khushi closes her books

Vivaan excitedly answered-"Mummy, 10th April ko! Mera birthday bhi hai naa kharcha bach jayega "

"Birthday ke din bhookha reh lega naa? Kyunki jis din party usi din puja bhi hogi " Explained KJ

"Thik hai, shaam ko toh khaane milega hi " Said vivaan

"Haan mummy, 10th ko thik hi rahega par Vivaan party bhaiya ke liye hogi tab tujhko aur bhauv nahi dene wala koi " Teased Khushi

"Main dunga naa, Bhauv bhi aur pauv bhi " Laughed dev

"Bro mere paas hai pauv (showing his legs" Said Vivaan

"Main toh bhaaji wale pauv ki baat kar raha tha " Said dev

"Aur tu apna dimaag kyun dikha raha hai Vivaan " Replied khushi

"Arey mai toh aapke brain ki jagah dikha raha tha naa, kyunki ladkiyon ka dimaag ghutne mei hota hai " Said Vivaan

The trio kept on teasing each other

Karuna smiled seeing them finally being happyyy for real

"Thankyou so much debu humari zindagi mei aane ke liye, tujhe pata nahi jis din tune bharat nagar mei kadam rakha uss din maine tujhe yunhi support nahi kiya tha, mujhe pata nahi kyun bas lagta tha ke jaise ye ladka jo bhi hai wo har kisi mei ek accha badlaav layega, har kisi ke jeevan ko aur rangeen banayega, pata nahi kaise kyun lekin jarur ; aur aaj dekh sach mei teri kami se pura bharatnagar udaas rehta tha, aur jab tu aaya toh dekh kitni umang hai, mere khud ke hi ghar mei " Said kj

"I know maa, Bharat nagar ka Centre of attraction hi hun main " Said dev casually in swag

"Uhhuuhuu " Vivaan did fake cough

"Arey Vivaan tu jal mat abh " Said khushi

"Main kyun jalunga didi, wo toh mai bhaiya ko yaad dila raha hun ke wo asli wale Dev joshi nahi hai jo khud ko hero samajh rahe hain 😂" Replied Vivaan

And in the same way the family went on laughing and talking

NEXT DAY

Vishi were ready to go to school

"Maa aaj maine leave li hai, so No work todayy " Said dev

Vivaan in shock -"Whattt?!! "

"Kya ho gaya Vivaan" Asked KJ

"Why broo?! Aaj mera game period tha! Aur senior classes ke PT teacher toh aap hi ho , aaj hi lena tha leave " Replied Vivaan being pathetic in the same manner when maths teacher takes the game period

"Ohho sorryy bhaii, waise accha hai Shukla sir se goemetry ke saare doubta clear kar hi lena " Said dev and grinned

Khushi -"Haan haan waise bhi Shukla sir ka favorite subject bhale maths ho lekin period toh favorite game hi hai " And gave him a high-five

"Aaplogon ko ek aur mauka mil gaya huhh " Said vivaan while tying the shoes

"Beta main soch rahi thi ki hum ek food centre khol le, kyunki ye tiffin service waale kaam se mujhe bahot thakaan hoti hai, aur baithe baithe kaam toh chalne nahi wala " Said KJ

"Khol lo mummy, bahot accha hoga " Said khushi

"Maa aap ek misaal ho women empowerment ki, aap jarur start karo apna business, I am with youu " Encouraged dev

"Wo toh hai hi meri mummy best " Said Vivaan

Paltan and chintu chinti we're listening from door

"Kya mast idea hai aunty, waise hm bacchon ke liye toh discount hoga hi naa " Asked chintu

"Hmm Live example of 'Gaun basa nahi lutere aa gaye ' " Said Vivaan

Paltan and devshi laughed silently

"Areyy beta abhi pehle shuru toh karne do, Chalo jao tum sab acche se byee " Replied KJ

They left

KAAL LOK

Vinashika -"kya karun ab main, naa koi saathi, naa koi yojna, kaise yuddh karun inn donon baalveeron se? Aur wo acchai ki gupy sadasya , wo bhi kuch nahi bata rahi , uske baare mei bhi agar jaan jaun toh bataungi ki Vinashika se dushmani mol lena kitna khatarnaak hai "

Suddenly she was teleported to a blue area

"Ahh.. Areyy ye ye kon sa vichitra sthaan hai? Har taraf ye nila vayu?! Kahan aa gayi main... tum... Tumne kiya hai ye pata hai mujhe " Vinashika said while turning

"Piche hun main " A lady's sweet voice came

Vini turned back but couldn't find anyone

"Arey tumhare ye bure netra mujhe nahi dekh sakte , bhul gayi? " Lady said

"Tum ye kahan le aayi mujhe, aur aue apne bandhan se tum kisi aur sthal tak kaise kaise aa jati ho?! " Asked Vi ni

"Tumhari jo koshish thi naa mujhe bandi banane ki wo toh kabhi puri ho nahi sakti, aur bhale main bhaylok se bahar naa jaa paun lekin iske bheetar ka har gupt sthaan gyaat hai mujhe " Lady replied, She continued
"Khair mujhe batana tha ki ab apni zid chorr do kyunki tumhare aakhri din aa chuke hain " And teleported vina back

Epi ended

----

BAALVEER RETURNS AGAIN Where stories live. Discover now