Pyaar Ho Gaya Mujhe

6.6K 153 7
                                    

Naira's POV

Naira: Yeh mere Kartik ne mujhe diya hai.

Mujhe abhi ehsaas hua, ki mein usse pyaar karti hoon. He is a mendak, my frog prince. Main apni hi dil ki baath nahi samajh payi. Kya Naira? Mujhe abhi jaakar usse ye baath kehni hai.

Use bhi to pata hona chahiye ki main usse kitna pyaar karti hoon.

Mujhe bahuth khushi hi rahi hai.

(Naira runs home, in a very happy mood.)

End of POV.

----------------------------

At home:

Bhabhi Maa: Are Naira, tu kahan chali gayi thi? Hum kitna pareshan ho gaye.

Naira: Vo mein kuch Dance Academy ke kaam se gayi thi.

Akshara: Kisi ko to bataana chahiya tha na. Accha, ye baath chodo, ab jaake taiyyar ho jao, sab log aate hi honge.

Naira: Haan, main chalti hoon.

Naira was going to go up, but everyone from Nani's house came.

Naira: Nani!! Nanu!

Nani: Are, meri rani bitiya, kaisi hai tu.

Naira: Thik hoon Nani.

----------------------------

Naira POV

Sab log dikh rahe hain, sevaye is Mendak ke. Kahan hai ye ladka. Pehle tumhe intezaar karvaaya, to tum mujhe intezaar karva rahe ho? This is not fair.

Mishti: Nani, BFF kahan hai?

Are, yeh rahi na meri ladli. Thank you so much, meri pyaari si behen, poonchne ke liye.

Nani: Vo use office me koyi kaam tha.
Just then, Papa came.

Naitik: Mujhe office jaana hoga, vo mujhe Kartik se kuch kaam tha.

Yahi tho mera chance hai. Ise nahi gavaungi. Aaj rath bata doongi ki mai usse kitna pyaar karti hoon.

Naira: Papa, aapko jisse kaam hai, aap usko yahin bulaiye na.

Naitik: Haan theek hai, Mai Kartik Ko yahi bula doonga.

Main apne room tak bhaagi, thaki Mai taiyyar ho sakun. Par mein pehnoon kya.
Sab log laal rang ke kapde pehen rahe hain, to mujhe bhi laal rang hi pehenna padega.
Mai voh dress pehen loon, jo Kartik ne diya tha? Nahi, ye to traditional function hai, aur sab ya to Saree ya Lehenga pehen rahe hain. Ek kaam karti hoon, main vo saree pehen leti hoon, jo mamma ne mujhe diya tha jab vo apni almaari saaf kat rahi thi.

 Ek kaam karti hoon, main vo saree pehen leti hoon, jo mamma ne mujhe diya tha jab vo apni almaari saaf kat rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Main saree pehenke neeche gayi. Pehle mujhe mamma ne dekha tha, aur unhone kaha ki main us saree mein bahuth acchi lag rahi thi. Aasha hai ki Kartik ko bhi aisa hi lage.
Phir sab logon ne meri Saree ki tareef ki.

Gayu: Naira, tu bahuth khoobsurat lag rahi hai. Kisi ko impress karna chahti hai kya? Jise bhi patana chahti ho, vo tumhe dekhkar hi ghayal ho jayega.

Naira: Are Gayu Di, aisa kuch bhi nahi hai, mere paas yahi dress thi ho lal bhi thi aur traditional bhi. Vaise aap to baath hi mat karna, aap itni khoobsurat lag rahi hain.

Aur tab hi, vo ghar ke andar aaya.
My Mendak.

----------------------------

Author's Note
This is just the beginning, I hope you all liked it. Please vote if you liked the story and please give me your suggestions.
I'm sorry if it's not great, this is my first fanfic.

Kaira: We Will Always Find Each OtherWhere stories live. Discover now