Maa ke hath ka khana

3 0 0
                                    

Duniya kehti hai, heera sabse anmol hai,
Mei kehta hu, "us badnaseeb se pucho, jise maa k hath khana naseeb nahi hai."

Khane mei abhi swad hai, par Maa k hath ki jadoo nhi...

Khane mei abhi mithas hai, par Maa ki mamta nhi hai..

Khana to abhi pet bhara deta hai, par sukoon to kewal maa ke hatho mei milta hai..

Aaj bhi bahar ka khana ata hai, par kimat to maa ki us lauki aur karele ki sabji ki jyada hai..

Bhalay karela kadwa tha, par Maa k hatho se bana us karele, mei mamta ki mithas thi..

Aaj mithai khata hu, par sach batau to us mithai ki mithas, mere maa ke banae hue khane k samne phiki hai

Khana ki kami to aaj bhi nhi hai, par vo maa k jaan bujhkar do roti jyada banana.. taki hum bina bole humari pasand ki sabji k sath kha paar...

Maa hai to ghar mei annapurna hai,
Maa nhi to ghar ka rashan bhara hua bhi adhura hai..

Bhukh muje khane ki nahi hai sahab, bhukh muje apne maa ki hatho k banae us ek roti ki niwale ki hai..

Shukriya MAA ❤️

Rahul Pant

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 28, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Short Stories by Rahul pantWhere stories live. Discover now