Haweli

167 9 0
                                    

Naya shehar, naye log, nayi-nayi baatein hoti hai,
Sukoon dhoond lenge yaha, sukoon ki baatein hoti hai.
...................








Peshawar se Islamabad tak ka wo safar Inaya ne kaafi mixed emotions ke saath kra tha. Apni pasand ki university main admission milne ki kushi aur excitment thi, to ghar aur gharwalon se dur jaane ki wajah se thodi upset bhi thi, and to top all of it kisi doosre ke ghar jake rehne ke khyaal se kaafi nervousness mehsoos kar rahi thi wo. Magar ab jo bhi ho apni manzil tak to wo pohach chuki thi aur aage ka safar isi haweli se teh karna tha usne. Gadi se utarke usne haweli ko dekha aur ek gehri saas li aur fir jaise apne is naye thikane ke liye khud ko mentally prepare kar ke apne abba ke saath darwaaze ki taraf badh gyi.
Haweli ke andar qadam rakhte hi ek aadmi unki taraf aya aur bohot achhi tarah se un dono ko salaam kara aur unhein lawn ki taraf chalne ko kaha jaha pe unhone btaya ki agha jee aur begum sahiba baithe hai.
Haweli ke daro deewar ko ghor se dekhte hue wo lawn tak phuch gye, no doubt Inaya ko us haweli ka har kona bohot khoobsurat laga tha, waha ki ek ek deewar, ek ek corner ko sajaya hi itne graceful tareeke se gaya tha.
"Aiye aiye Yousuf sahab agha jee idhar lawn main hi hai."
Wo admi jo ke shayad waha ka koi mulazim tha unse baatein karta unko lawn main le aya jaha Inaya ko wo dono baithe dikayi diye. Wo dono bhi ab use ata dekh chuke the, aur saima begum usse milne ke liye uth khari hui.

"Assalamualikum."

"Walaikumassalam beta aaiyen."

Uske abba agha jee ko salam krte unke saath baith gye aur wo bhi Saima begum ke saath wali kursi pe baith gyi.
"Agha jee yeh meri beti hai Inaya, aur Inaya yeh agha jee aur begum sahiba hai."

"Mashallah Yousuf bhai bohot pyaari hai apki beti aur bohot pyaara naam hai inka."
Inaya jo ke Saima begum aur agha jee dono ko muskurake dekh rahi thi, jaisa usne socha tha usse kahi zyada achhe lage the usko wo dono.

"Ap dono ka shukriyaan apne Inaya ko yaha rehne ka keh kr mujhe iske hawale se befikar kar diya."

"Aree Yusuf ab itni bhi koi formality ki baat nahi hai iske apne ghar jaisa hai yeh ghar bhi, aur mana ki tumse bade time baad mulaqaat ho rahi magar usse jaan pehchaan to kam nahi hogyi na."

"Agha jee yeh to apka barappan hai warna purane mulazimon ko kon yaad rakhta hai ajkl."

"Mere bete ke dost jaise the tum mulazim wali koi baat hi nahi thi kabhi. Aur agar tum thoda jaldi aate to tumhe Shereyaar se milwata, bilkul apne baap pe gaya hai wo bhi."

"Agha jaan ap log baatein kare itne main Inaya ko unka kamra dikhati hu aur unka samaan bhi rakh wa deti hu kamre main. Aaiyein Inaya!"

"Ji aunty."

Saima begum ke peeche peeche chalti wo haweli ke main portion main agyi saath saath wo use ghar ke saare hisse dikha rahi thi. Living room se hote hue wo log main stairs tak aye aur fir waha se upar charh ke pehle floor pe jaha right side ke corner main ek darwaze ke saamne aake ruk gye.

"Yeh beta apka kamra hai, mera aur agha jaan ham dono ke kamre neeche hi hai, is floor pe ek guestroom yaani ki yeh wala room jo ki ajse apka hai aur baaki ek studyroom hai, aur yeh jo side wala darwaaza dekh rahi ho yeh meri beti Seher ka kamra hota tha uski shaadi se phle , aur wo saamne wala jo kamra hai wo Shereyaar ka hai. Ajao andar apka samaan maine rakh wa diya hai ap sab kch set krle araam se make yourself at home okay."

"Thank you so much aunty. And the room is very pretty."
Usne kamre ko dekhte hue kaha joke wakai bohot cozy aur comfortable lag rha tha. Aur jis tarah Saima begum uske saath baat kr rahi thi aur jaise unhone usko puri haweli ka chota sa tour diya she had already started to like her.

"Ab ap fresh hoke neeche ajaiye Gul bano khaana lga rahi hai fir shayad apke abba ko nikalna hai na wapisi ke liye."

"Ji main ap chaliye main bas ati hu."

Unke jaane ke baad Inaya ne pure kamra ka jayeza liya, khirki pe dale pardon ko hataya to ek bohot hi khubsurat view nazar aya, neeche dekho to pura lawn saaf dikhayi deta tha, aur saamne se Islamabaad ka haseen manzar. Wo un logon main se nahi thi jo ameer logon ke aalishaan ghar aur cheezein dekh ke impress ho jaye ya khud complex main ajaye, wo ek bohot hi confident ladki thi aur use apne middle class lifestyle par kabhi koi shikayat nahi thi. Usi tarah aj bhi wo is mehal jaise ghar main khud ko bilkul bhi chota ya kamtar mehsoos nahi kr rahi thi. Wo bas thoda relieved feel kar rahi thi agha jee aur Saima begum se milke, wo log usko achhe lage the.



Un logon ne saath main lunch kara aur uske baad ab Inaya ke abba ka wapis Peshwar ke liye nikalne ka time hogya tha. Unko khuda hafiz keh kar aur apna khyaal rakhne ke waade kar kr wo gate ke paas khadi unki gaadi ko jaata dekh rahi thi. Shayad thode aasu agye the uski aakohon main magar foran apneap ko compose karke wo andar chali gyi wo choti choti baaton pe roya nahi karti thi, aur fir uske abba na kaha tha ki har 15 din main wo Peshawar ka chakkar laga sakti hai. To bas ab use pura focus apni pdhaai pe karna tha akhir Msc. Mathematics karna koi bachhon ka khel to tha nahi. Andar ayi to Saima begum ne usko Gul bano se milwaya jo ki unki mulazima thi, unhone kaha ki use kabhi bhi kisi cheez ki zaroorat ho to wo bina kisi takalluf Gul bano se ya fir khud unse keh sakti hai. Wo dono ab lounge main sofe pe aake baith gyi thi.

"Inaya ab ap thoda rest krle thak gyi hongi, fir kal se apko university ki baaki formalities wghera bhi to puri karni hai."

"Ji aunty admission process to almost complete hogaya bs thode bohot kaam reh gye wo main kal jake kr dungi."

"Chlo very good, aur yeh btaiye ki ap apne room main comfortable to hogyi na koi cheez ki zaroorat ya koi masla to nahi na. Kuch bhi ho beta ap araam se mjhe bta dijega without being formal."

"Aree nahi aunty main bilkul comfortable hu room main, thank you once again really. Everyone here has been very welcoming. And I must say yeh haweli mashallah bohot khubsoorat hai, apne bohot achhe se design kra hua hai har corner ko."

"Thank you beta but I must tell you yeh jo saara kch dekh rahi ho tum yeh sab meri beti Seher ne design kra hai. She is an interior designer, ab to shaadi ke baad wo America chli gyi pr maine ghar bilkul waisa hi rakha hai jaise wo chor ke gyi thi."

"Ap miss karti hongi na unko?"

"Bohot zyada uske jaane ke baad to main aur agha jaan bilkul akele hogye hai. Sherry ko to kaam se fursat hi nahi milti to bs main aur agha jaan bore hote rehte hai. Aj tumse baat krke lag rha hai jaise Seher se baatein kar rahi hu, tum bilkul meri beti jaisi lag rahi ho mujhe."

"To bas fir roz ham log isi tarah baatein kiya krenge taaki aap bhi bore na ho aur main bhi. But main apko warn krdu aunty main bohot bolti hu preshaan na ho jaiyega mjhse."

"Not at all is haweli ko tumhare jaise bolne wale ki hi zaroorat thi, kuch to ronak ho hmare ghar bhi."

Apne kamre main ake araam se bed pe lait ke usne socha apni ammi se baat krli jaaye unko video call karle usne pura kamra dikhaya aur unhe sab kch batane lagi.

"Ammi apko pata hai Saima aunty bohot sweet hai mujhe bilkul aisa nahi laga ki main unse pehli dafa mil rahi hu. Itne achhe se baat karti hai wo aur agha jee bhi bohot achhe hai."

"Chlo bs Inaya ab tum bhi unke saath zara insaan banke rehna theek hai, aur mahraani ban kr padhi mat rehna thoda kch kaam waam bhi krlena smjh ayi hai!"

"Ammi yaha pe har kaam krne ke liye na hazaaron mulazim hai, ap to bs mjhe kaam pe lga diya karein, main yaha padhne ayi hu is haweli ki baakdor sambhalne nahi. Ab allah hafiz main thak gyi mjhe nap lena hai."

"Ek to tumhare in napon se badi pareshaan hu main."

"Byee ammi!!"

INAYATTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon