part 17 ❤

976 85 5
                                    

Shaurya Anokhi ko pattiyan karne lagta hai..

Pr Arbaz ki woh ik baat shaurya k dimagh mai chl rhi hoti hai...

Shaurya:( khud se batein karta hai).. Arbaz ne asa kiun kaha...zaror usko neelam ne bola hoga asa... Pr uski awaz mai sachai thi.... Kia mai waqae Anokhi k lie feelings rkhne laga hon???..... Nhi shaurya asa kese hoskta hai.... Pr kiun nhi hoskta.... Anokhi bohut masoom hai isile mai shayd attract horha hon.... Aur humari abb dosti bhi itni achi hai....

Shaurya anokhi ko dekhta hai.... Aur anokhi k cheeks pe knuckles caress karta hai...

Pr tum mere dil mai ghr karne lagi ho anokhi.....tumhe kohna nhi chahata mai...kiunky Tum mujhe achi bhi lagne lagi ho....Pr iska matlab ye to nhi hua na k mai :

Tumse pyaar karne laga hoon!!? 😧❤

Wait.... Yeh maine khud se sawal Kia hai??? K mai anokhi se pyaar.... No, No, No.... Asa kuch bhi nhi hai... Na hi asa kabhi kuch ho skta hai.... Apne Dil aur Dimagh pe control rkh shaurya....

Thori dair bad anokhi ka fever kam ho jata hai aur shaurya sukh ki sans leta...

Shaurya: thank god....fever km hogaya...schl shaurya soja bohut km karne hain subah...

Shaurya bed k dusre side pe jakr lait jata hai.... Aur anokhi ko dekhta h...

Shaurya: Good night anokhi...

Shaurya bhi anokhi ko dekhta dekhta sojata hai...

Next morning :

Shaurya pehle uth jata hai , aur anokhi ka fever check karta hai..abb anokhi thk hoti hai...

Thori dair bad

Shaurya aur anokhi breakfast karke free hoty hi hain k

Unki door bell bajti hai

Shaurya jakr dekhta hai to Arbaz aur neelam hoty hain

Dono andr aaty hain

Arbaz: hi shaurya kese ho, anokhi kesi hai..

Shaurya: thk hai anokhi kafi, phr bhi ik bar check karlo

Neelam: mujhe anokhi se milna hai shaurya kahan hai woh...

Shaurya: woh mere room mai hai,

Neelam : mai aati hon usse milkr..

Shaurya : neelam app meri ik help karengi???

Neelam : han shaurya bolo

Shaurya: Sorry pr ,Kia app anokhi ko dress change karwadengi??

Neelam: ary isme sorry kesa... Mai tumhari bari behno jesi hon....Koi baat nhi... Vese bhi mai anokhi k sath time spend karne aae hon..

Shaurya: thank you so much neelam...

Shaurya neelam ko anokhi ki dress lakr deta hai...neelam anokhi k pass chli jati hai aur shaurya arbaz k sath garden mai coffee pee rha hota hai...

Shaurya: vese arbaz , itni late shaadi kiun krhy ho.... Jabke tum dono ik dusre k sath 6 saal se relation mai ho???

Arbaz: bus yr.... Kehne ko 6 saal hain pr in 6 saal hum dono hr kisam ki musklon se guzre hain.....even humara breakup bhi hogya tha...pr ik din mujhe pata chla k neelam ka accident hogya hai..woh din mai ajj bhi imagine karta hon na shaurya to meri roh knap uthti hai usko koh dene ka dar hi mujhe andr tk hila deta hai....

Shaurya: phr Kia hua..

Arbaz: phr maine neelam se maafi mang humara patch up hua, maine hospital mai hi usko propose Kia aur ajj is baat ko ik saal pura hogya hai hum dono bohut khush hai aur abb finally humari shaadi horhi hai... Kisi ne shi kaha hai, pyaar kb kahan kis pal mai ik ajnabi se ho jata hai hume pata nhi chlta pr iska aehsas tab hota hai jab woh apki zindagi ban jae,app uske bina ik pal nhi reh pao aur woh apse dur hojae....

Shaurya: to Kia bohut takleef hoti hai??

Arbaz : takleef ,ary tadap jata hai banda, ik ik pal kanto pe chal kr guzarne jesa ho jata hai, jab tk app apne pyaar ko paa na lo dil ki bechaini ko sukun nhi ata hai..

Tum kabhi anokhi se dur nhi hue ho na isi lie tumhe andaza nhi hai... Pr mai tumse kehta hon shaurya usse kabhi mat dur.... Apne pyaar ko kabhi kam mat hone dena zindagi bhar...

Shaurya: pr Arbaz mai...

Itne mai neelam garden mai ajati hai...

Neelam : shaurya anokhi ko Change karwadia hai maine...

Shaurya: thank you so much neelam.. Ary... Dekho dopeher k khany ka time hogya...chlo mai lunch ki tyari karta hon

Neelam: ruko shaurya, ajj bari behan k hoty hue tum khana nhi banao gy... Tum dono anokhi k pass jao mai lunch ready karti hon..

Shaurya: Ary neelam rehne do... I'll manage

Arbaz : neelam thk keh rhi hai shaurya... Usko bnane do.... Trust me yeh itna bura khana nhi bnati hai😂

Neelam: very funny arbaz

Teeno hasty hain

Shaurya aur arbaz anokhi k pass jaty hain:

In shaurya's room

Arbaz: han bhae, kesi tabiyat hai abb

Arbaz anokhi ko check karta

Tum to ik dum thk hogae... Good.. Anokhi vese shaurya tumhara khyal to thk se rkh rha hai na..

Anokhi shaurya ki taraf dekhti hai

Anokhi: inho jitna Mera khyal rkha hai, itna ajj tk kisi ne nhi rkha....meri ik ik cheez ka dehan rkhty hain yeh...Shaurya sbse achy hain...

Shaurya blush karne lagta hai...pr woh khud ko sambhalta hai... Aur apne specs thk karta hua uthta hai..

Shaurya: app dono batein Karen... Mai neelam ki help karke aata hon..

Shaurya room se chla jata hai..

Arbaz: woh sb to thk hai anokhi pr Shaurya tumhe kitna pyaar karta hai na iska andaza hai mujhe ??

Anokhi: Pyaar😧

Arbaz: han bhae, maine dekha hai isko yeh kese tumhare lie roh rha tha jab tumhe yahan akr panic attack Aya tha... Tumhe kuch bhi hota hai na yeh ik dum bechain hone lagta hai....uska dar maine dekha hai.... Woh tumse bohut pyaar karta hai.... Use kabhi mat khona...

Anokhi arbaz ki batein sunkr shock hojati hai..

anokhi: pr woh mujhs....

Itne mai neelam aur shaurya lunch lekr aty hain room mai...

Sab lunch mai karne lagty hain pr shaurya aur anokhi dono k dimagh mai arbaz ki batein ghum rhi hoti hain... Dono ik dusre ko chori chori dekh rhy hoty hain...

Arbaz: bhae shaurya kiun na ajj movie night hojae..

Shaurya: sounds interesting... Yahi lounge mai setup karty hain phr... Pr Movie konsi

Neelam: Horror movie dekhengen, bohut maza aega...

Yeh sunkr ik dum anokhi ka khana uske galy mai hi phas jata hai...

End part 17 ❤

I hope sbko Acha lagyga...

Comment karke feedback zaror dena, tabhi new chapter milega😂❤

And guys do watch shauryaauranokhikikahani Monday to Saturday @ 7:00 pm onwards only on star plus...

And also watch previous episodes on Disney+hotstar

𝙎𝙝𝙖𝙪𝙧𝙮𝙖 𝙆 𝙋𝙮𝙖𝙖𝙧 𝙆𝙞 𝘼𝙣𝙤𝙠𝙝𝙞 𝙆𝙖𝙝𝙖𝙣𝙞 ❤Where stories live. Discover now