( 2 )

1 0 0
                                    

Badar behad hairat se uska muh tak rahi thi jaise  qais industry ki nahii jahannum ki baat kardi ho afaf nai uske taasiraat dekh kar kofat se sar hawa mai maara.

" dekh to aise rahi ho jaise khudkushi ki baat karrhi hu " kehte sath hi usne juice ka glass muh se lgaya..

" meri najar mai ye khudkushi hi hai .... nhi matlab kya tumhe nhi pta ? Qais arslaan shah kitna pur israar aur khofnaak bnda hai ?" Badar uske samne wali kursi par bethi ..

" kaha khofnaak kitna handsome to hai "
Wo laprwahi se purse se phone nikaalte huye boli.

" uski aadato ko bhi to dekho ek galti hone par uski company se beizzat karke nikaal diya jata hai " badar usko darana chah rhi thi.

" qatal to nhi kiyaa jaata naa ?"
Usne bina uski baat ko tawajja diya mjahiya andaz mai kaha.

" kyu fizool ka sar dard le rhi ho zulaikha amma ne hume itna paisa de diya hai ke 10 - 12 saal aaram se khaa lege " badar khafgi se boli jo ke sahi tha...

" to kya paise sirf khane ko hi chahiye hote hai ?"
Afaf ab puri trah uski traf mutawajja thi...

" koi aur job dhoond lo "
Badr uski baat smjhte huye boli.

" yaha kya masla hai ?"
Bajahir aaram se puchha gya...

" maine suna hai waha ka boss matlab qais shah bahot sard mizaaj hai "
Badar dheere se boli thi.

" to ?? Tum dar gyi ? Pagal ho kya yarr dekhe nhi hai tumne kitne ishtehaar aur interviews har roz qais arslan ke aate hai itna bhayanak hai kya wo ?" Afaf sar jhatak kar uth khadi hui..

" matlab tum wahi dogi interview? "
Badar khafgi liye andaz puchhne lagi..

" ji haa "
Afaaf itraa kar bolti apna pure uthane lagi

" adventure karna hai ?"
Badar ne muh bna kar usey dekha..

Wo dil khol kar muskuraii..
" meri soche padhna jaanti ho tum ... chalo bye Allah hafiz khyal rakhna "
Wo kehte sath nikal gyiii jab ke badar badbdate huye bartan uthane lagi..

Bahar nikalte hii uski ankho ka rang gehra jamuni hua... wo muskuraii pur israar si muskurahat...

" tum sirf wahi soche padh sakti ho badr jo mai tumhe btana chahti hu " badr ko tasawwaur mai mukhatib kark wo ajeeb se andaz mai boli aur apni scooty ki janib badh gyi... kuchh hi dair mai scoorty hawa se baate karne lagi uska rukh uski manzil ki taraf hi tha.......
 
                          " qais industry ki traf "

_________________________________________________

    Apne aalishaan company ke apne aalishaan cabin mai maiz ke pichhe badi si aaram dah kursi par apni tamam tar wajahat liye baitha tha ...  uske cabin mai 3 a.c shuru they kyu bahar aaj kal behad garmi thi ....
Cabin mai uske alawa sirf ek guard tha jo uske left side par hath bandhe adad se khada tha..
Sard mehri aur ek ajeeb se wehshat uski aankho mai saaf jhalak rahi thi ...
Aaj wo sab ke aaj khud interview le rha tha.
Jo bhi interview ke liye aata chache kitna bhi puraitmaad bnda ho uska aitmaad pal bhar ke liye hi sahi magar dagmagata jarur....

          " Wo qais thaa qais arslaan shah "
Pure india mai jaana jane wala Wo buissness man akela hi rehta tha. Koi nhi jaanta tha uske maa - baap kaha hai uska parivar kaha hai janta tha to sirf itna ke wo qais hai apne bal boote par jisne itna bada buisness bnaya tha.. usko kisi ki pehchan ki jarurat naa thi..

Usmi industry mai sirf kaamyaab aur pur aitamaad logo ko jagah thi.. kamjoro aur dar mar pichhe hatne walo ko kabhi bhi pasnd naa karta tha... uski industry mai salary thi bhi itni jo pure india mai kisi job mai nhi milti thi

Magar saal mai ek baar wo har ek insan ko maouka deta tha ke wo uski industry mai kam kar sake .. wese uske paas rahem aur taras ya hamdardi jesi cheeze koi mayne na rakhti thi magar wo har saal kisi ek ko chunta jarur aur is qabil kar deta ke wo apna khud ka buisness bhi akele sambhaal pata ..

Aur aaj bhi wahi din thaa wo khud interview le rha tha beshumaar log pure india se jagah jagah se aaye they... subah 9 baje se interviews ki line lagi thi ab 12 baj chuke they...

_____________________________________________

Vah Pichhle do ghante se waiting room mein main Baithi thi Magar interview ke number the ke khatm hone Mein Nahin a rahe the Dhai ghante ke Sabar ajma Intezar ke bad aakhirkar uska naam Pukara Gaya Thodi ghabrahat usse Shuru mein Main Hui Jarur Magar vah gehre Sans Leti use cabin ki taraf badh Gai Jahan interview liye ja rahe the

Darvaja andar ki taraf Kiska kar Hua salam karte hue dakhil Hui Samne wale Ne Chauk kar use Dekha pahle aur Waheed Bandi thi Jisne Salam kiya tha wo najre jhukaye aage badhi....

" bathiye miss " usko ek hi jagah jame dekh kar usne kaha... afaf ne najar utha kar samne wale ki traf dekha... wo wahi tha jisse sab khof khate they aaj hi to badr ne  kitna daraya tha usey achanak hi usey behad thandi ka aihsas hua
Wo mutthiya bhench kar kursi ghaseet mar uske samne beth gyi...

Bich ki Maiz par uski hi file aur c.v rakhi hui thi jo shyd kuchh dair pehle reception girl de gyi thi... wo ain qais ke samne rakhi thi..

" jii to miss ... ?" Qais ne ek behad gehri najar uske chehre par daali to uski aankho ko dekh kar reh gya jo pal mai hari aur pal mai jamuni rang badal rahi thi wo hairan hua magar bina jahir kiye usse sawaliya andaz mai puchha...

" afaaf " usne uska sawal smjhte huye apna naam btaya..  aur thand se neele padte hatho ko apni god mai dhara mubada wo ya uska guard dekh na le thand utni nhi thi blkl perfect mahol tha magar usey behad lag rahi thi...

" sirf afaaf ?" Qais ne masnooii hairat se eyebrow uchkaii lehja wahi sarf aur gehra

" jii sirf afaaf " wo smjh gyi k wo surname ya baap ka nam puchh rha hai. Uske lehje mai kuchh thaa...

" father ka name kya hai apke ?"
Wo ab uske bhenche qudrati surkh honto ko dekh rha tha..

" nhi hai kuchh "
Usne apne purse ki strip hatho ke bich pakad rakhi thi jis par ab barf jamna shuru ho chuki thi wo ghabra gyi wo jald aj jald yaha se bhaag jaana chahti thi....
Ye barf uske haatho se nikal rhi thi...
Ab uske kaan bhi neele hona shuru hogye they..

_________________________________________________

Vote karna naa bhoole...
Taa ke mai jald se jald agli epi lekar hajir hojau❤✒

tilismaati ishq Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang