Everyone's POV...

685 51 20
                                    

HM pov:

Aaj humare paas sab kuch hain. Saari khushi humare pairo ke niche hain. Par ek waqt aisa bhi tha jab taras the in sab cheezon ke liye. Kaise kaise mod se guzri hain humari zindagi. Hum ek aisi ladki hua karte the jisko pyar wyar se sakt chidh thi. Phir humare zindagi mein Anu aaye. Kab unse pyar ho gaya hume pata hi nahi chala. Pata hi nahi chala ki kab humne unhe apna dil de diya. Sab kuch toh tha humare zindagi mein. Sabse jyada pyar karne wala humsafar, ek saath dene wali dost, teen teen pyari maaye, pyare bhai aur pyari behne. Lekin humari khushiyon ko nazar lag gayi. Ek haadse ne humse humara sab kuch chhin liya. Kisi ne hum par vishwas nahi kiya. Yanha tak ke humari apni Ammi ne bhi nahi. Jis din hum apne pyar ki nishaani ke baare mein apne Anu ke batane wale the ussi din hum apne Anu se alag ho gaye. Humne kitna samjhane ki koshish ki sabko par koi humari baat nahi sun-na chahta tha. Siway Cheetah aur billu ke sabne hume gunehgaar samajh liya. Sirf woh hi tha jisne hum par yakeen kiya tha. Humne apne bachchi ko akele hi paala posa. Jab bhi woh humse apne papa ke baare mein puchhti toh humare paas koi jawab nahi rehta tha. Kayi saal baad jab wapas yanha aaye toh hume achchha nahi lag raha tha. Phir kuch din baad unhe asal baat pata chali phir woh sab humse maafi maangne lage. Humne than li thi ki ab hum kisi ko bhi maaf nahi karenge. Par kya karte, yeh dil hain ki maanta hi nahi. Unko bahut pachhtawa tha aur hum unko iss pachhtawe ke aag mein jalta hua nahi dekh paa rahe the...jab sab humare dil jeetne mein lage toh hume khushi hui. Ek ek karke sabne humara dil jeet liya. Aur humne unhe maaf kar diya. Sach kahe toh jab tak hum unse naara the tab tak hum khud bhi bechain the. Jab unn sabko humne apne zindagi mein wapas paa liya toh hume chain mila. Sach kehte hain log, dukh ke baad sukh ko aana hi padta hain. Gum ke baad Khushi milti hi milti hain. Hume bhi mili. Aur hume sab kuch mil gaya. Humara pariwaar, humari dost, humara pyar aur humare do pyare pyare shaitan. (chuckles). Sukh dukh milkar hi toh zindagi banti hain. Hume samajh aa gayi yeh baat.


AS pov:

Zindagi hume kitne saare roop dijhati hain. Kabhi socha nahi tha ki humari zindagi aise badal jaayegi. Hume toh kabhi prem ki pehchaan hi nahi thi. Lekin jab humare jeevan mein humari jaan, humari Haseena aayi toh hume prem ka kya hota hain pata chala. Woh humare keval humare zindagi mein hi nahi aayi balki humari zindagi hi ban gayi. Unke saath humare jeevan ka har ek pal swarg se bhi jyada sundar hain. Parantu, humari ek galati ne humse humara sab kuch chhin liya. Hum ek galat fahmi ke shikar ho gaye aur apni jaan se door ho gaye. Aur itna hi nahi, hum toh apni dil ki dhadkan, Muskaan ko pita ka pyar nahi de paaye. Shayad, uss baat ke liye hum aaj bhi khudko maaf nahi kar sakte. Jab sachchai ka pata hume laga toh hum bahut gussa the khud se. Haseena kao wapas apne jeevan mein laane ke liye humne bahut koshish ki. Phir jab woh humare jeevan mein wapas aayi toh phir se hum is duniya ke sabse khushkismat insaan ban gaye. Hume humara pyar wapas mil gaya.Aur jab hume humare raajkumar ke aane ki suchana mili toh hum khushi se phoole nahi samaye. Humne than liya ki hum iss baar Jaana ko woh saari khushiya denge jo pichhli baar humne unhe nahi di thi. Ab hum bahut khush hain ek dusre ke saath. Zindagi ne hume bahut bada sabak diya hain. Kabhi kisi baat ko puri tarah se jaane bagair hume faisala nahi lena chahiye. Warna aadha sach, galar fahmi humara jeevan bigad sakta hain. Hum apni galati phir se kabhi nahi karenge. Ab humara keval aur keval ek hi lakshya hain, apne desh ki seva karna aur apne pariwaar ko sab khushiyan dena.


KS pov:

Dukh toh sabhi ke zindagi mein aate hain. Alag alag log alag alag kism ke dukh jhelte hain. Par sabse bada dukh hota hain apne dost se bichhadne ka. Aur hume dukh mila. Lekin kanhi na kanhi iss dukh ke liye hum khud hi zimmedar the. Humne apne dost par yakeen na karke shak kiya. Issi ka khamiyaza hume bhugatna pada. Hume yeh samajhna chahiye tha ki humari noor kabhi aisa kaam nahi kar sakti jiske wajah se hume ya humare pariwaar walo ko koi nuksaan pahunche. Par hum samajh nahi paaye unhe galat samajh liya. Woh humse door chali gayi. Hum unse nafrat karne lage. Lekin humesha se ek khalipan humare andar raha. Jab woh wapis humare samne aayi toh hum khush nahi hue. Lekin jis din hume pura sach pata chala toh uss din hum pachtawe se mein doob gaye. Ek chhoti si chingari kitni badi aag laga sakti hain woh humne dekh liya. Humne unse maafi maangi par woh gussa thi humse. Aur unko gussa hona bhi chahiye tha. Hum ek dost hokar apni dost par vishwas nahi kar paaye toh saza toh milna hi chahiye thi naa. Magar kehte hain naa ki ek dost apne dost se jyada der tak naaraz nahi reh sakta. Woh bhi maan gayi aur hume maaf kar diya. Tab jaake hume sukoon aaya. Aur humne yeh jaan liya ki hume saamne wale ki bhi baat ek baar sun leni chahiye. Agar hum tab Noor ki baat sun lete toh itne saal tak hum alag nahi reh paate. Lekin ab hum aisa koi mauka nahi aane denge janha humare bich galatfahmi ho. Hum kabhi ab Noor ko ya baaki pariwaar walon ko apne se door nahi jaane denge.

No one is Mine...(Season 1) ✔Where stories live. Discover now