PART#13 LAST PART

853 73 15
                                    

AS: sorry roshini hum Tum say toh kiyà kisi say bhi vivah nahi Karna chahtay hain.

Roshini: kiyà wajah Jan sakti hun?

AS: roshini wajah buhat hi simple hai, hum desh bhakti humari khoon mei gardish karti hai, hum chah Kay bhi kisi bhi larki ko uska haq nahi day paen gay, ek sukhi vivahit jevan mei sirf vivah k bandhan mei bandhna nahi hota balkay buhat say farz or hotay hain jinhain ap nay poora Karna hota hai, ek aurat ko sirf naam ka rishtay say matlab nahi hota, usay apnay pati say maan saman pyar, waqt, izzat, tareef aulad sab chaheay hoti hai, ek aurat ki yeh khawahish hoti hai uska pati us kay Sath waqt guzaray usay dosray patiyun ki tarha shopping dinner par lay jaey, us kay uski family function attend karay, par humaray pass kisi ko daynay k liey kuch bhi nahi hai na hi kabhi hoga, isliay aaj tak hum nay apnay dil ko dimagh k qabo mei rakha hai, kyun say dimagh ka faisala kabhi ghalat nahi hota.

Roshini: or Haseena Kay baray mei tumhari kiyà soch hai Anubhav?

AS: tum kehna kiya chahti ho.

Roshini: tum itnay na samjh toh nahi ho Jo Meri baat tumhain samjh nahi aaey, pyar kartay ho na us say, tum toh kehtay thy tumhara banjar hai jahan pyar ka peirh nahi lag sakta, phir kyun mujhe aaisa lag rha hai k haseena nay tumharay dil ki banjar zameen par apnay pyar ka beech boo diya hai tum apna dil us par har baithay ho....

AS: humaray dil mei us k liay aaisa kuch nahi hai.

Roshini: Kam say kam.apni dost say toh sach bol do, tumhain bachpan say janti hun woh Anubhav jis ki aankh say aaj tak aansoo ka ek qatra bhi kisi ki takleef deekh k nahi nikla toh phir aaj kyun usay haseena ki zakham say takleef pohnchi phir, apna sab kuch desh par qurban karnay wala Anubhav aaj kyun haseena ki Jan bachanay k liay dushman k aagay guthnay taiknay ko tyar tha, kyun Anubhav?

AS: ha humain takleef hui uski takleef deekh k, ha haseena nay humaray dimagh ko shikast day k humaray dil mei dakhil ho gae hai, par usay hum nahi rok paey, dil ko hamesha dimagh say control kar k hum nay har Jang jeeti thi par jab humara dimagh jab machinon k control mei aaya toh dil ko apni maan Mani karnay ki ijazat mil gae, or yeh khud ko haseena ko dekhay bina hi us par haar baitha. Par yeh ghalti toh hum nay kar di hai par hum haseena ko ya kisi ko yeh batanay ki ghalti nahi Kar saktay, kyun k ghalti jab tak sirf ap tak sehmit rhy woh ghalti nahi hoti.

Roshini: kyun Anubhav kyun nahi bata saktay usay? Woh bhi tum say pyar karti hai mei nay uski ankhon mei tumharay liey pyar dekha hai warna Kaun kisi ki khushi k liey apni khushiyan qurban karta hai.

AS: hum sab jantay hain roshini, us nay humain sab bataya tha buhat pyar karti hai woh hum say, par hum usay pyar Kay badly woh pyar nahi day saktay hain, uski muskan buhat khubsorat hai bilkul uski tarha, or dil sheeshay ki tarha saaf hai, or sari masomiyat us par khatam hoti hai, hum hamesha usay is tarha dekhna chahtay hain. Pata hai roshini tum zindagi mei aagay kyun barhi tum bhi toh humain chahti thi na phir sorab say shadi ka faisala kyun liya, isliay Kay kahen na kahen tum yeh janti thi Kay humaray dil mei tumharay liey woh pyar nahi hai na hi hum kabhi tum say woh pyar kar paen gay, na hi hum nay kabhi tum say izhar kiyà tha, bilkul isi tarha shaid kabhi haseena kisi din apni zindagi mei humain pyar ka khubsorat sa ehsaas liey apni zindagi mei aagay barh jaey, ha jitna hum say pyar karti hai utna toh kabhi kisi say nahi Kar paey gi ha magar koshish zaroor karay gi, agar usay humaray dil ki baat pata chal gae toh uski zindagi wahen tehar k reh jaey gi ek intezar uska muqadar ban jaey ga, agar hum kabhi kisi mission say loat k na aaen toh ? Nahi humain koi haq nahi hai uski zindagi bay rang karnay ka, usay us kay bharam mei jeenay do, pyar toh dono ko hi hai or hamesha rahay ga, bus farq itna hai k hum uski ankhon ko intezar Kay lamhay nahi dayna chahtay. Uski aankhain hansti hui buhat achi lagti hai usay Anson k samandar say hum seerab nahi Karna chahtay. Yeh raaz yahen dafan kar do roshini kyun k agar yeh raaz khula toh dono ki zindagi mei tofan aa jaey ga. Or hum bhi koshish karen gay Kay yeh raaz humari zindagi k Sath hi khatam ho jaey, kyun k agar zindagi nay is raaz ka khulasa bar bar humaray janay k bad us kay samnay kiyà toh har bar uska zakham taza hoga, isliay hum chahtay hain k humari yaad usay Kay Honton par muskan laen na k aansoo...

Silent Love 💕💕 (Anuseena):Where stories live. Discover now