Shock for Samrat

344 31 16
                                    

HELLO GUYS

//////////////////////////////////////////////////////////

Next day Samrat went to office and on his way he went to meet the doctor.

S: hello doctor Apne bulaya mujhe Kuch discuss Karna tha

D: hello jee ayi Mr Samrat bethye

S: Kya hua doctor sab theek toh hai na Meri wife ki reports theek hai

D: jee nahi Kuch theek nahi hai Isley apko bulaya hai Maine apki wife ke health se related discuss Karna hai

S: Kya hua doctor please tell me

D: Mr Samrat Mai apse Kuch puchna Chahta ho

S: jee

D: Kya apko apki wife Mai Kuch change Laga hai Kuch weird unke behavior se kabhi ehsas hua ki Kuch theek nahi hai

S: doctor phele toh nahi hua tha but ha Kuch dino se Mai note kar Raha ho woh achanak hyper hojati hai bahut zyada itna ki khud ko aur as pas maujood logo ko anjane Mai nuqsan phancha deti hai infact Kal toh Usne hamari beti ko bhi almost phancha hi diya tha.....aur isi tarha phele bhi 2 bar hui thi magar tab itna nahi tha....mujhe samajh nahi araha hai ki use hua Kya hai.....mere friend ne mujhe Isley apka suggest Kiya as according to him use postpartum depression hai

D: chale apko itni Khabar toh hai warna logo ko toh pata bhi nahi hota hai Inka partner kis condition mai hai

S: Matlab

D: Apke dost ne Sahi kaha tha ki unhe postpartum depression hai....magar bat us se bhi bari hai.....unke reports ke according woh pichle almost 2 sal se depression Mai hai

S: kya 1 sal se

D: jee 1 sal se..... zaroor koi aisi bat hai hai jiski wajah se unhone bahut zyada stress le liya hai itna ki unke dimag par havi hogaya hai aur woh depression mai Jana shuru hogayi ...aur waqt ke sath yeh barhta gaya.....wajah koi aisi hai Jo shayad unko accept nahi thi is wajah se shayad zyada stress Liya hai unhone.....bahut early stage hai Isley Kisi ko bhi andaza nahi hua but ab condition kharab ho Rahi hai as Apne abhi kaha ki woh hyper hona shuru hogayi hai aur is me woh nuqsan bhi phancha sakti hai

S: toh ab

D: don't worry woh theek hojayengi lekin time lagega....unhe bahut zyada care time love ki zaroorat hai.....aram karengi stress nahi lengi dehan rakhe ge ap unka khas toh jald hi recover karengi....ab yaha se apki zimedari shuru hoti hai as AP unke husband hai aur apse behtar unhe koi nahi sambhal sakta

S: jee doctor magar woh kab tak theek Hogi

D: yeh toh ab unpar bhi depend karta hai woh Kitna jaldi theek hona chahti hai kitni jaldi yeh sab chorh kar age barhana chahti hai...as insan Mai jeene ki umeed hi use Zindagi ki taraf wapis lati hai.... medicine session wagera sath chalte rahege magar apko dehna rakhna hoga....unhe subha yoga exercise keliye Bahar taxi Hawa Mai le jaye koshish kare ki unki Marzi ke mutabiq sab ho...Kisi bat ka pressure na Dala jaye unpar

S: jee doctor Mai pura dehan rakhu ga

D: ek aur Kam Karna hoga apko

S: kya

D: as Apne kaha ki woh hyper ho Rahi hai bahut zyada aur Apne sense Mai nahi hoti hai......Isley I would suggest ki ......AP apni beti ko alag karde

S(shocked): Kya

D: jee jabtak unki health theek nahi hojati apki beti ka unke sath rehna theek nahi hai.....Jan kar toh kabhi ma Apne Bache ko nuqsan nahi phanchaye gi magar anjane Mai galti se bhi unki wajah Halka sa bhi use Kuch hogaya unki wajah se toh woh yeh bat jane ne ke bad bardasht nahi kar payegi aur shayad mazeed depression Mai Chali jaye aur unki mental health aur kharab hojaye Isley better yahi Hoga ki usko alag karde

S: magar doctor hari beti premature hai aur weak hone ki wajah se doctor ne use motherfeed par rakhne ko bola hai aise kaise use alag kardu

D: dekhe Mai janta asan nahi hai mahine bhar keep bachi ko uski maa se alag Karna bahut mushkil hai magar apko yeh Karna hoga unki Zindagi ka sawal hai....agar AP chahte hai ki ane wali sari zindagi apki family hasi khushi guzare toh uske liye Kuch waqt ki takleef toh uthani paregi....ab ap par hai ki AP Kuch waqt ki takleef chahte hai ya sari zindagi ki khushi

S: theek hai doctor jaisa AP kahe

D: ok then yeh medicine hai AP unhe time par Dena shuru karde AJ se

S: yes doctor...thank u

D: it's work

Samrat left from hospital for his office but he was only thinking about one thing that how he is going to separate samyukta from pakhi. He call her doctor and tell him all the condition

D: ok Mai samajh gaya sari bate aur I think Mai bhi yahi suggest karunga ki AP Apne baby alag karde Kuch waqt keliye

S: magar doctor Apne toh mana Kiya hai

D: yes I know but situation critical hai Isley Karna parega....Mai apko formula suggest kardeta ho ho Sirf wahi diga use aur koi dusra doodh nahi diga use.... otherwise you know

S: yes doctor Mai samjh gaya

Samrat cut the call he start doing his work but his mind was still thinking about pakhi and yukku. When his phone rang

S: aai ki call... namaste aai kaisi hai AP aur baba kaise hai

V: Mai theek ho aur sailesh bhi theek hai Samrat beta Tum  kaise ho air pakhi aur hamari natin Kaisi hai

S: woh

V: Kya hua beta pareshan lag rahe ho

S: aai woh ( start crying)

V: Samrat Kya hua beta sab theek toh hai na batao mujhe Kya hua

S: aai woh (and he tells everything which doctor told him including sperating samyukta) AP bataye Mai Kya karo mujhe Kuch samjah nahi araha... samyukta bahut choti hai aai Mai kaise alag karo use

V: nahi beta himmat mat haro is waqt pakhi aur samyukta sab se zyada tumhari zaroorat hai.....Tum kamzor par jaoge toh unhe Kon sambhale ga....aur Tum akele nahi ho hum bhi hai tumhare sath....Tum samyukta ki chinta mat karo ek Kam karo use hamare pas ley aao....hum sambhal lenge use jab tak pakhi theek nahi hojati

S: aai ap

V: ha...akhir samyukta hamari bhi toh Kuch lagti hai na aur acha hai isi bahane hum uske Sath jee bhar ke waqt bita lenge hamara bhi man Laga rahega....aur ghar Mai ronaq Hogi woh alag

S: lekin aai

V: Kuch mat socho beta use le aao yaha....aur agar tumhe ziyada lag Raha hai toh Roz Milne ajaya karna

S: thank you aai ....thank u so much

V: aai ko thank your nahi bolte mujhe apni aai nahi mante

S: nahi aisa Kuch nahi hai AP mere liye Meri aai hi hai

V: bas phir le ana use...theek hai aur yad rakhna hum hai tunhare sath

S: jee aai bye

V: bye

//////////////////////////////////////////////////////////
THAT'S IT FOR TODAY. HOPE YOU LIKE IT

VOTE AND COMMENT

BYE

MajbooriWhere stories live. Discover now