Meri Priya Rukmini. . .

449 18 36
                                    

Rakhumai,

Meri param priye,

Aaj hamare vivaah ki prandrahvi varshikotsav hai. Iss samay mein kisi karya vashaat hastinapur mein hoon. Par ussey kayi adhik toh mein tumhare vichaaron mein hun.

Tumne toh samasth prem ki varsha ussi samay apne patra mein hi barsa diya tha. Par mujhe aisa avsar kabhi mila hi nahi, kyun ki tumse door kabhi mein raha hi nahi. Par aaj iss patra ke madhyam se mein tumse kehna chahta hoon ki tum mere liye vastav mein kya ho rukmini.

Tum wo ho jisne iss sansaar ko ye sikhaya hai ki - "kisi vyakti ko sakshaat dekhe bina bhi unse ananth prem karna sambhav hai". Tumhe meri kathaayein sunkar mujhse prem hua tha. Par rukmini, mujhe toh tumhare hasthalekh se hi prem hogaya tha. Tumhare shabdon se, unke gehrayiyon se, unhe vyakt karne ki saahas se, tumhare prem ki paribhasha se, vicharon ki shuddhta se, aantarik sundarta se.. satya kahu toh tumhare patra padhne ke paschaat toh mujhe swayam se hi prem hogaya tha!

Kadachit mera itna sundar varnan aaj tak sansaar mein kisi ne nahi kiya hoga rukmini. Tumhara "Bhuvan Sundar" ka sambodhan padhte hi mere gaalon par sahastra gudhal pushpon ki laali chaa gayi thi. Wo toh mere mukh ke bhaav se bal bhaiyya ne pehchaan liya tha, warna mujhe toh abhaas hi nahi hua kab mein patra padhte padhte tumhare prem mein padh gaya.

Tumhare patra mein likhe aakhri shabdhon ka adhyayan purn hote hi mein matashree aur pitashree ke ashirwaad praapt karke rath par chalaang maarke chala aaya tumse bhet karne. Jeeven mein itni teevra gati se meine kabhi rath nahi chalaya tha jitni ki uss din. Ashv toh maano daud nahi udd rahe the. Milan ki madhurta ka utsaah aur vilamb ke sambhavna se vyateet.. mera sampoorn yatra bas tumhare hi dhyan mein kat gaya.

Rath ke vidharbh pahunchte hi mere netra chaaro aur tumhare talaash mein jut gaye. Aur jab antataah girija mandir ke sopaan par tumhare darshan huye, toh rath ke pahiye aur meri saansein ek saath tham gayi. Vichitra si shaanti ka anubhav kiya meine. Vidarbh sena ke lalkaaron ke madhya bhi mujhe manohar sangeet sunayi de raha tha. Dharti se uthti dhool se adhik aakash se girte pushp dikhayi diye mujhe. Maano laga mere andar ke Shankar ko uski Gauri mil gayi.

Dugdh varn, kamal ke pankhudi jaise nayan, aur surya si kaanti dhaaran kar swayam Devi Lakshmi samaan prateet huyi tum.

Tumhare mathe par chinta ki rekhaayein aur netron mein bhay ke ashru dekhkar tumhare varshon ki peeda ka anubhav mujhe ek kshan mein hi hogaya tha. Tabhi nischit karliya meine apne mann mein, ki iske paschaat jeevan mein aisi pareeksha se tumhe kabhi guzarne nahi dunga. Ab se tumhare jeeven mein sirf kalyaan hoga, utsav hoga, aur ananth prem ki varsha hogi.

Tum sirf meri pratham patni hi nahi, meri praan priya ho rukmini. Tumne Dwarka ke praja ko apna santaan maana aur Dwarka nagri ko apni mata. Devki maiyya aur Vasudev baba ko putri samaan prem diya, tatha Arjun aur Uddhav ko putra samaan prem kiya. Satyabhama ke krodh ko, Jambavati ki jigyasaa ko, aur mere sola hazaar patniyon ko tumne haste haste sweekar liya. Tumne Dwarka ko Samriddh aur Dwarkadhish ko Sampoorn bana diya.

..

Door hun par bhali bhaanti dekh sakta hun ki iss waqt tum lajja se apne maathe par sajaye kumkum samaan laal hogayi hogi. Isiliye ab aur adhik nahi bolunga, phir bhi tum samajh jana.. sadaa ki bhaanti!

Yaha sab kushal mangal hai. Kunti bua tumhare bare mein baar baar pooch rahi thi. Agli baar tumhe dwarika mein chodkar akele aana hua toh kadachit hastinapur ke dwaar par hi rok dengi mujhe. Pitaamah aur pandav ne tumhe bahut prem diya hai.

Aata hun phir, apekshit samay se thoda adhik vilamb hua toh krodh mat karna.. tumhari prateeksha ka phal atyant meetha hoga. Arthaath, laut te samay maharani ke sarvadhik priya - 'gulaab ki chaashni mein doobe raseele rasgulle' avashya sath lekar aaunga.

Apna dhyan rakhna priye ❤️


Tumhara pati aur parmeshwar,

tumhara Krishna 💙😉






Radhey radhey!!

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 15, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Meri Priya Rukmini..Where stories live. Discover now