Chapter 19

270 39 80
                                    

Shivnath : Mujhe kuch samajh nahi aa raha, Jagannath

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Shivnath : Mujhe kuch samajh nahi aa raha, Jagannath. Main kya karu? Y/n pe har vakt khatra mandra raha hai aur main kuch bhi nahi kar sakta. Manjulika ko meri hi beti mili thi?

Shivnath Jagannath se akele mein baat kar raha hai. Kyuki Jagannath hi uska sabse jigri dost hai.

Jagannath : Shivnath, mujhe nahi lagta hai ki Manjulika yaha se aise jani wali hai. Tumhe toh yaad hai na, jab Manjulika bahar thi tabh kitne saal lage the use band karne mein. Agar vo phirse sau saal ke liye bahar aa gayi ho toh? Mere hisaab se ek hi hal hai. Y/n ki shadi kara do. Aur use yaha se bohot dur bhej do, jaha Manjulika ka saya bhi uspe na pade. Vaise bhi uski shadi ki umar toh ho hi chuki hai.

(Me in bg : Haan haan! Duniya mein har samasya ka hal bas shadi hi toh hai!😡)

Jagannath ki baat sunke Shivnath khada ho jata hai. Aur piche mudke khada hota hai.

Shivnath : Haan, Jagannath. Tum sahi keh rahe ho. Vahi uske liye thik hoga.

Shivnath ki baat sunke Jagannath smirk karta hai. Lekin uski agli baat sunke uski khushi utar jati hai.

Shivnath : Main soch raha tha Y/n ke liye Rajkumar Nishant ka hath mang lu. Unka khandan bhi accha hai-

(Me again in bg : except JYP!)

Shivnath : *turns to Jagannath* Mujhe unse baat karni chahiye, haina?

Jagannath : Uhhm...

Shivnath : Ya phir mujhe rajkumar Yohan ya phir Suraj ke parivar ke sath baat karna chahiye? In tino mein se kisike sath hi main Y/n ki shadi karaunga.

Harshad options mein nahi hai kyuki vo raj gaddi pe nahi baithne wala hai aur Shivnath ko raj gaddi pe baithne wala chahiye. Sushant bhi options mein nahi hai kyuki uska khandan utna shaktishali nahi hai.

Jagannath in mind be like : Saala, mere bete ko option mein hi nahi rakha!

Jagannath sirf chup chap khada rehta hai ek zabardasti muskaan ke sath. Jise Shivnath haan samajh leta hai.

Shivnath : Main un sabhi se baat karke dekhta hoon. Jo bhi Y/n ko apnayega, main uss hi se Y/n ki shadi karaunga.

Jagannath : *in mind* Mera dao toh ulta pad gaya.

Y/n apni aankhon se Jai aur Javin ka bromance dekhne ka sadma leke chalte chalte pohochti hai Veer ke kamre ke samne. Tabhi uski nazar padti hai kamre ke andar.

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Yuvrani Ke Saat Dewane || Completedजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें