Orphanage 😊

163 26 41
                                    

Hello guys 😊
Here is chapter 6
Let's start..........
.
.
Countinue from last chapter........

(Next day.... In morning 🌄🌄 )

(Samrat ready hoke pakhi ke room mein jata hai vaha pakhi nhi hoti hai... To samrat neeche jata hai..... Samrat stairs se neeche aa raha hota hai tabhi pakhi upar ja rhi hoti hai..... Pakhi samrat ko nhi dekhti hai)

P- side hatiye bhaiya

(Samrat pakhi ki taraf shockingly dekhta hai then pakhi upar jati hai..
She stop)

P- ek min.... Vo kon tha fir jise maine bhaiya bola

(Samrat pakhi ki taraf dekh raha hota samrat ka ek haath rallying par hota hai..... Pakhi peeche mud kar samrat ki taraf dekhti hai.... Pakhi jaldi se dusri taraf face karti hai)

P- ye kya kiya maine (whisper)

(Then pakhi bina aage ki side mude hue stairs se neeche utarne lagti hai)

S- pehle to aage dekh kar ke chal rhi thi tab gir gayi ab to peeche muh kar ke utar rahi ho pakka hi girogi

(Pakhi jaldi se aage ki side face karti hai our bht jaldi se stairs se utarti hai... Samrat bhi stairs se neeche utarta hai.... Then pakhi samrat ke paas aati hai.... Our hasne lagti hai.. dheere.... Our pakhi ne apne haath mein apni saari ka pallu pakad rakha hota hai)

P- vo..... Mein.... Tumhe.... Hi.... Bulane aa rahi thi.... Breakfast ke liye (loughing)

S- hasi nhi aa rahi hai to hasna band karo...... Koi baat nhi ho jata hai.... Itna embarrass mat ho

P- sorry....

S- it's okk.... Breakfast nhi karna kya ab

P- karna hai na

S- to chalo ab

After Breakfast.....

S- patrlekha

P- nhi

S- kya matlab

P- yaar ye patrlekha name pasand nhi hai mujhe..... Tum mujhe pakhi hi bola karo

S- acha to baki log bhi to bolte hai

P- vo unki marzi hai jo karna hai kare lekin tum.... Tum sirf pakhi hi bologe

S- oh

P- hmm

S- ok to pakhi

P- ji boliye (blush)

S- isme kyu itna Sharma rahi ho

P- meri marzi.... Koi dikkat

S- nhi

P- kya bol rahe the tum vo bolo

S- bhr chalogi mere saath

(Pakhi floor par beth jati hai... Apke legs cross karke)

P- mein nhi ja rhi mere legs mein abhi bhi dard ho raha hai

S- koi baat nhi... Mein chla jata hu un pyare pyare baccho se milne orphanage mein

(Sam was about to go.... But pakhi jaldi se floor se uthti hai)

P- mein bhi chalungi (exited)

S- par tumhare to legs mein dard hai na

P- nhi to kisne failai ye afvah kon hai ye jhuta insan milne do use jaan se maar dungi use mein

S- to matlab tum ja rahi ho

P- yesss (shout)

S- bapre.... Chilla kyu rahi ho

P- yaar vo kitne pyare bache the mujhe milna hai unse

S- to chalo car mein jake betho mein keys lekar aata hu

P- ok

(Pakhi bht tez bhagke jati hai our jake car mein beth jati hai)

(After 2 min)

P- samrat..... Jaldi aao.... Hum late ho rahe hai (shout)

(Tabhi pakhi dekhti hai car ki window band hai)

P- arey use kaise sunai dega ese

(Pakhi windows open karti hai)

P- samrat..... Keys lene gaye ho ya bnane...... Tumhe sunai nhi de raha kya..... Ab loudspeaker lga ke bolu kya (shout)

(Tabhi samrat aata hai)

S- Tum khud loudspeaker ko fail kar dogi

P- jaldi aao our betho car mein

S- haan baba

(Samrat car mein ake bethta hai... Then thay both reach orphanage)

S- pakhi tum bhr ruko mein tumhe bulaunga vo bacche tumhe dekh kar bht khush hoge

P- succhi...... Jaldi jao our bulao mujhe

S- ok 

(Sam go inside.... Sabhi bacche samrat ke paas bhagke aate hai our uske lags ko hug karte hai.... Then samrat unka level match karne ke liye floor par bethta hai)

S- ek surprise hai

All kids- kya

S- Tum sab ki trh ek pyari si bacchi matlab harkate bilkul baccho vali hai par hai vo badi.... Our vo aap sab se milna chahti hai

(Tabhi pakhi andar aati hai)

P- tumne mujhe bacchi kaha

Girl 1- sam bhaiya.... Yehi hai vo didi jinke baare mein aap keh rahe the

S- haan

P- jao ab mein tumse baat nhi karungi tumne mujhe bacchi bola na isliye

(She fold her hands and make cute pout)

(Then saare bacche pakhi ke paas aate hai our uske legs ko hug karte hai)

All kids- didi gussa mat ho na

(Pakhi floor par bethti hai)

P- tum sab kitne pyare ho

(One girl pakhi ke cheeks pull karti hai pyar se)

Girl- aap humse bhi zyada pyari ho

All kids- bilkul sahi kaha

(Saare bacche pakhi ke paas jate hai kuch bacche pakhi ke cheeks pull karte hai our kuch pakhi ke hands pakdte hai our kuch pakhi ke hairs ke saath khelte hai..... Pakhi ke face par bht cute si smile aa jati hai... Tabhi one kid pakhi ke stomach par tikle karta hai..... Pakhi bht tez hasti hai.... Ye dekh kar baki kids bhi pakhi ko tickling karne lagte hai.... Pakhi ko itna khush dekhkar samrat was smiling madly...... Tabhi pakhi un sab mein se ek kid ko pakad leti hai our apne lap mein bithati hai.... Our apni fingers se gun bnati hai (samajh lo yaar matlab kaisi baat kar rahi hu mein dimag ka use kro thoda sab)

P- ab koi gudgudi nhi karega mujhe.... Kyuki.... Ab mein gudgudi krungi sabko.... Hamla

(Pakhi jaldi se uss bacche ko apne lap se utarti hai our sab baccho ko tickling karne lagti hai.... Like this sab khelte hai.... Our vo bacche pakhi ko ekdum bacche ki trh treet karte hai 😁)
.
.
.
Bye
See you soon 🔜🔜
Love you all 😘💟😊😊😊





Hello pakhi Where stories live. Discover now