Hm(hasti hui) :- acha to mat kariyega koi galati
As:- jo hukum shehzadi...
Awaaz:- agli prathah shehzadi apne kaksh mein apni dasiyon ki sahayta se tyaar ho rahi hoti hai ki tabhi wahan shehzada aata hai. Unhe dekh saari dasiyan kaksh se bahar chali jati hai.
Awaaz:- shehzada khud shehzadi ko tyaar karne lagta hai. Hathon mein chudiyan aur kangan pehna, sar pe mang tika aur kanon mein jhumke. Shehzadi ke chehre se muskurahat mitne ka naam nahi le rahi thi.
Hm:- aap yahan
As:- ji aap se kuch zaroori baat karni hai.
Hm:- kya
As:- is rishte ke liye humari kuch shartein hai jinhe aapke dwara manzoor kiye bina hum yeh sagai nahi kar sakte
Awaaz:- yeh sunke shehzadi chaunk jati hai aur khadi hojati hai
Hm:- kaisi shartein
As:- dekhiye shehzadi aksar shaadi ke baad kya hota hai ki ladki ka mehal se nikalna mana ho jata hai, unka kaam rasoi tak seemat hojata hai kisi se milna milana band har samay sirf parday ya ghungat ke peeche.
Awaaz:- shehzadi ke pairon tale mano zameen khisak gayi ho. Unhe apne kanon par vishwas nahi ho raha tha.
As:- par yadi aapne inmese koi bhi ek cheez karne ki koshish ki to hum yeh rishta tod denge.
Awaaz:- shehzadi phir ek baar chaunk jati hai
As:- hum chahte hai ki humari patni ki shan chudiyon ki khankanaht se nahi unki talwaar ki dhar se ho. Unke bas naam se hi dushman thar thar kanpe. Unki jagah rasoi mein nahi yudh ke maidan mein ho. Sar uthake chale jo aur agar koi batameezi karne ki koshish kare to uska sar kalam karde. Teer aaisa Chal ye ki nishana ek ho par do dushman logon ko cheer ke nikale. Hath mein har samay phool nahi khanjar ho, ghode ki lagam ko. Sar pe kafan ho.
Awaaz:- shehzadi ke mooh se shabd nikalna mushkil ho gaye the. Unki aankhon se khushi ke ansu behne lage. Unhone bina kuch kahe shehzade ko gale laga liya. Shehzada ek pal ke liye chaunk gaya par usi shan shehzadi ko apni bahon mein samet liya.
As:- kya hua shehzadi aapki aankhon mein ansu.
Hm:- khushi ke ansu hai yeh
As:- to humari shartein manzoor hai.
Hm:- bilkul manzoor hai
Hm(man mein) :- abbu aapne sachme kohinoor chuna hai humare liye 😊
As:- kohinoor hum nahi balki mein aap hai haseena ji!!
Awaaz:- shehzade ke haseena ji bulane pe shehzadi unki taraf dekhti hai.
As:- maaf kijiyega woh
Hm:- maafi kyun hone waale shauhar hai aap humare humein naam se bulana haq hai aapka.
Awaaz:- shehzada unhe aur kaske pakad leta hai.
As:- to phir aap bhi humein humare naam se bulayengi
Hm:- jaisa Aap kahe anubhav ji
Awaaz:- shehzada unhe phir ek baar gale laga leta hai. Kuch der baad unse alag hoke woh bistar par jaake baith jate hai. Shehzadi bhi unke pass jake baith jati hai
As:- waise shaadi ke baad aap jaya karna jang ladne hum aaram se mehal mein baithke angur khaya karenge aur jeet ke jashan ki tyaari karaya karenge.
Hm:- acha aur agar kabhi humare upar koi mushkil aagayi to
As:- to aap humein humesha aapke sath khada payengi
Awaaz:- shehzadi apna sar unke kandhe pe rakh deti hai.
Hm:- hum bohot khush hai
As:- aur woh kyun
Hm:- aap jaisa humsafar paake.
As;- tab to humari khushi satven Aasmaan pe hai.
Awaaz:- shehzadi muskurati hai.
___________________________________________
Awaaz:- dono pariwar ek guptachar ke sath ek kamre mein maujood hai. Kamre mein ek mez ke upar rajya ka naksha hai.
Guptachar:- maharaj humari jaankari anusaar dushman desh ke sipaahiyon ki halchal in pahadi ilakon mein zyada payi gayi hai yadi humla hoga to in ilakon mein hone ke avsar zyada hai
SM:- in ilakon mein suraksha dungi kardo aur dhayan rahe Koi chook nahi honi chahiye
Pavitra:- kal humare bacchon ki saggai hai koi vign nahi aana chahiye usme
Guptachar:- ji. Khuda hafiz
Awaaz:- guptachar wahan se chala jata hai
Ps:- bhagwaan kare kal sagai bina kisi vign ke sampan hojaye
AM:- tum dono yahan khade hum sabka mooh kya dekh rahe ho jaake tyaari karo
As/hm:- ji
Awaaz:- shehzadi apne kaksh mein apne liye zewaron ka chayan kar rahi hoti hai aur shehzada unhe nihar rahe hote hai.
Hm:- batayie na kaunsa zyada acha hai
As:- aap par to kuch bhi acha lagta hai haseena ji
Hm:- kya aap bhi
As:- idhar aayi humare pass
Awaaz:- shehzadi shehzade ke paas jake baith jati hai. Shehzade unke kandhe pe hath daalke unhe gale laga leta hai(side hug) apne doosre hath se shehzadi ka hath pakadke unki mehandi sehlate hue muskurata hai.
Hm:- kya dekh rahe hai aap
As:- kuch nahi bas aapki mehndi ko mihar rahe hai
Hm:- kal koi mushkil to nahi aayegi na.
As:- bilkul nahi aayegi aur agar aayi bhi to hum dono haina ek doosre ke sath
Hm:- hmm
Awaaz:- shehzadi apna sar shehzade ki god pe rakh deti hai aur shehzada unka balon ko sehlane lagta hai
As:- aap chinta mat kijiye sab theek hoga
Hm;- ji
Lekhika:- to isi prakaar yeh adhyay bhi samapt milenge agle adhyay mein
Aur tab tak ke liye anumaan lagaye ki humare shehzadi aur shehzade ki sagai sampan ho paygi.Atiwak ab dijiye shiksha prashansak pustak likhne ki😜

YOU ARE READING
Sandhi:- Rajya Ki Ya Dil Ki?
FanfictionHui ek aaisi sandhi ki ithehas dekhta reh jayega Kya yeh naya mehmaan Dil se dil ka rishta jod jayega A historic based ff on our anuseena