chapter 54

88 26 7
                                    

Raaj ki pagdi bandh rahi hai or fir uski mummy use khandani har pahnati hai jo ki shadi ke din har dulhe ko pahnaya jata hai or iske baad sab dulhe ke sath pics lene lagte hai tab raj k papa aate hai

Raaj dad: arey bas bas jab dekho tab photo lete rehte ho chalo ab bas karo pahle sari rasme to puri hone do
Munna: uncle jee ab konsi rasam hai ? Iske baad to dulhe ko ghodi par hi baithana hai na?
Raaj dad: nahi beta abhi do raame baki hai or🤚🏻🤚🏻
Sameer: ha munna tu dulha nahi bana hai na isly nahi pata hai jab banega na toh hamesha yaad rahegi har ek rasam😃
Raaj dad: ha beta dekho sameer ko pata hai
Sameer: ha abhi raaj ko sab bade noto ke haar pahnayenge taki use najar na lage... ( raaj k kaan m kehta hai.. bhai tera band bajne wala hai ab)
Raaj: shadi hai toh band toh bajega hi na😃😃
Sameer; yeh band ni🤦🏼‍♀️

Sab ek ek family aate hai or raaj ko noto ke haar pahnate hai jise dekh kar pandit bada khush hota hai,,,

pandit:arey wah bhai teri to badi aish hai itne sare note mil gaye tujhe,,

raaj:to tu bhi karle na shadi ... tujhe bhi mil jayenge itne sare note..

pandit:na bhai sirf noto ke liye mujhe nahi karni shadi waadi.. pagal samjha hai kya jo thode se noto ke liye apni ajaadi chod du?

sameer:or tujhe kisne kaha ki sadhi karne se ajaadi chin jati hai? 

pandit:sab kehte hai yaar

sameer:sab jhutth kehte hai asal me ajadi to ladkio ki chinti thi kyuki vo log hai jo apne ghar ko chod kar apne comfort ko chod kar, sare rishte or dost sab chod kar hamare ghar hamare beech rehne aati hai.. u kne uske liye bahot gutts chaiye hote  hai jo hum ladko me nahi hote.

munna:yeh kya bol raha hai tu bhai ? tere kehne ka kya matlab hai ki hum ladko me gutts nahi hai ki hum apni family se dur reh sake??

sameer:nahi bhai mere kehne ka vo matlab nahi tha.. me bas itna keh raha hu ki agar hume kaha jaye ki apne ghar, apni family, apne sare dost chod kar ek alag pariwar me rehna hai or unhi ko apna sab kuch mn kar unki dil se sewa karni hai,, or itna hi nahi ghar ke sare kaam karne hai, ghar me sabse pahle uthna hai or sabse akhir me sona hai ,,,,,, toh tujhr kese lagega ? tu ker payega kyaaa/

munna:me samjhata hu bhai jo tu keh raha hai par yeh bhi to sach hai na bhagwan ne sab aisa hi banaya hai ghar to ladki ko hi chodna padta hai hum ladke sasural jaakar kya karenge ?

sameer :vah to me bhi keh rha hu muuna mere bahi.. ki bhagwan ne aisa kyu kia hoga?  

munna : vo mujh kya pata?

sameer:mujhe pata hai kyuki bhagwan bhi janta hai ki itna sahan shakti sirf ladki me hi hoti hai kyuki vo banana janti hai or hum sab bakherna..

raaj:arey bhai bas karo kya gyaan dene baith gya tum loggg meri shadi hai yaar or tum logg...

sameer:arey ha bhai chal tere noto ka kaam pura ho gaya ab tujhe ghodi par baithate hai chal.

raaj ko lakar sameer or munna pandit bahar ki taraf jate hai jaha sab khade hote hai or sameer raaj ko ghodi par chada deta hai or fir raaj ki dono bahane aakar ghodi ko chane ki daak khilati hai jo ki ek rasam hoti hai or uske baad sab ghodi ke paas khade hoakr rraj ki balaye lete hai or use ashirwad dete hai or thodi der me dhol bajane lagta hai or raj ki bahne dance karne lagti hai or munna pandit bhi nachne lagte hai apne ajeeb se dhang se.. tabhi raj ki bahan mrunu sameer ko dance ke iye kheech leti hai or sameer bhi nachne lagta hai par use nahi pata ki yeh sab naina dekh rahai hai or bahot gusse me hai or jaise hi sameer ki najar naina par padhti hai vo ruk jata hai or naina ko ishara karta hai ki vo hi uske sath aakar dance kare or naina smile karti hai par jaise hi vo jane lagti hai sadhvi ki mom use rok leti hai

sadhvi mom:naina beti baarat aa gayi hai jara jakar dekho to sadhvi tyaar hai ya nahi plsss.

naina:aunty jee aap tention mat lo me dekhti hu

[naina preeti ke kaan me kuch bolti hai ]

preeti:bahan tu pareshan mat ho tera sajna kahi nahi jeyega .. vo tera hai tera hi rahega samjhii..

naina:me janti hu preeti sameer aisa kuch nahi karenge par unn madhumakhhio ka kya karu jo kabse sameer ke ird gird hi mandra rahi hai?

preeti: chal theek hai me dekhti hu tu ja or sadhvi ko dekh.

naina chali jati hai or sameer ko dekhti hui jati hai sameer soctha hai ki achanak kya ha jo naina aise gussa hokar chali gayi

muuna: bhai tu kya kar rha hai ?

sameer: mene kya kia bhai me to bas naina ko pyaar se dekh rha tha or use dance karne ke liye bula raha tha par vo gussa hokar kyu chali gayi pata nahi

munna:arey bhai tujhe sach me samjh nahai aaya ki kya hua hai?

sameer:nahi

munna :hey bhagwan kya hoga iska?yaar tujhe pati kisne bana dia yarar??

sameer:ab bataega bhi kia kya hua hai ya me jau?

munna:arey yaar bhabhi ko jealousy ki bimaari hui hai jo ki har patni ko hoti hai jab vo apne pati ko kisi desri ladki ke sath dekhti hai isly bhabhi b gussa hokar chali gayi..

sameer:par mene kya kia me to use hi bula rha tha na dance karne ke liye?

munna:ha par usse pahle tu mrunu ke sath dance bhi to kar rha tha na?

sameer:to kya ho gaya yaar me akele thodi dance kar rha tha uske sath tum dono bhi to the na sath me

munna:abey yaar isko samjhana bekaar hai tu ja bhabhi ko mana or unhe yeh jarur bolna ki tujhe mrunu me koi intrest nahi hai samjhaaa???

sameer:ok me jata hu

lekin jaise hi sameer jane lagta hai mrunu use fir se kheech leti hai tab munna sameer ko kheech kar dusri taraf le jata hai

munna:sameer ek min aa raaj ke papa ne bulaya hai

sameer:ha chal

munna:yeh kya ka rha tha tu vaha? pagal ho gya hai kya ?

sameer:me kya karu usne mujhe pakad kar khicha tha

munna:dekh bhai agar bhabhi ne yeh sab dekh lia na to tujhe vo khich kar lamba kar degi samjha... ab ja or jakar bhabhi ko dhundh.

sameer:theek hai vese kaha hai vo?

munna:mujhe kya pata biwi teri hai meri nahi...

sameer ander jata hai or naina ko dhundhne lagta hai or vaha use preeti milti hai

sameer:preeti .. naina ko dekha kya?

preeti:ha dekha hai na kai baar dekha hai bachpan se dekh rahi hu..

sameer:aye sali sahiba shaitani nahi.. batao jaldi? kaha hai meri biwi?

preeti:sadhvi ke room me.. jaiye

sameer:bahot gussa hai kya vo?

preeti:bahooooot

sameer:mar gya... ab kya karu me?

preeti:aap na yeh phool leke jaiye naina ko bahot pasand hai gulaab..

sameer:thank u sali sahiba..

sameer andar jata hai or naina samne se aa rahi hoti hai or sameer use dekh kar chip jata hai side me or jab naina bilkul same point par hoti hai tab sameer use ek room me kheech leta hai or naina ekdum chauk jati hai

naina:sameeeer aap ?? yeh kya kar rahe the aap?  mujhe dara dia na?

sameer: i am sorry naina.. plsss mujhe maaf kar do naa..

naina:aap kyu mafi mang rahe hai me hoti kon hu aapki ? aap na jakar uss madhumakkhi ke sath dance kare.
Sameer:😧😧

Thank u
Bhawna❤️❤️

Kismat connection Where stories live. Discover now