little movement

7 0 0
                                    

Ranbir chhat me pareshan hoke idhar se udhar ghum raha tha.

Ranbir: kya karu mai? Kaise kahunga kratika se ki mom uske liye sautan  dhundh rahi hai... No mai nii bol sakta use kuch warna wo mujhe isi chhat se niche fek degi.... 😨 lekin agar nii bataya to bad me to mera gala hi daba degi... Oh god kya karu use batau ya nii... 😟

Tabhi waha kratika aa jati hai.

Kratika: kise kya batana hai?

Ranbir apne hi jagah par murti jaisa khada ho jata hai or aankhe wide ho jati hai.

Kratika:bolo na kya batana hai?

Ranbir: wo.. Wo kuch bhi to nii mai to bas apne aap se bat kar raha tha... Waise tum abhi tak soyi nahi? 😅

KRATIKA: nii mujhe nind ni aa rahi thi fir mujhe yad aaya ab tak to tum mahima aunty se bat karke aa hi gaye hoge na... Kya kaha unhone?

Ranbir: ab.. Ah.. Haa.. Mai.. Wo gaya... To tha par.. Mmm....mai na wo....

Kratika:samajh gayi mai, tum bat hi ni kr paye na, maine pehle hi kaha tha tumse kuch nii hoga bas badi badi nate karte ho tum...

Ranbir: oye.. Maine bat ki ok..

Ranbir ko realise hua ki usne fir se apne pair par kulhadi mar li... 😂

Ranbir thought: fir se juban par kabu ni rakha tune ranbir, gaya tu to ab ye jane bina mera pichha nahi chhodegi ki kya kaha mom ne 😐

Kratika:really? Kya kaha unhone? 😀

RANBIR: wo unhone kaha ki... Wo na maine unse kaha ki mujhe shadi karni hai fir.... Fir na wo....

Kratika: tum thik se bata rahe ho ya nahi? 🤨

Ranbir aankhe band karta hai or sab kuch bol deta hai jo mahima ne kaha...

Ranbir ne abhi bhi aankhe band kar rakhi hai is dar se ki kratika kaise react karegi?

Ranbir thought: ye kuch bol kyo ni rhi, kahi chali to ni gayi? 🤨

Ranbir apni ak aankh khol ke dekhta hai ki kratika bilkul Calm hokar khadi hai or use bina palke jhapkaye dekh rahi hai....

Ranbir:k..kya hua.. A... Aise kyu khadi ho? K.. Kuch bolo na...

Kratika kuch ni kehti or ranbir ko thodi der calmly dekh rahi thi....

Ranbir:cupcake are you ok.. Kahi sadma to ni lag gaya na meri shadi ki bat sunke... 😟

Kratika ye sunke hasne lagti hai... 😂😂

Ranbir: kya hua has kyu rahi ho? 😟

Kratika: haha... Ye kya hua tumhare sath? Hahahaha 😂😂😂

Ranbir: lagta hai ise sach me sadma lag gaa hai. Itni serious bat sunke bhi has rahi hai.
Kratika or zor se hasne lagti hai....

Ranbir: kratika, kratika meri bat suno dekho tum bilkul chinta mat karo ok, mai tumhare alawa kisi se shadi nii karunga I promise... Lekin please tum pagal mat ho jana 🥺😟😟

Kratika apni hasi control karti hai...

Kratika: oh.. Oh god.. Ahh.. Ye ye kya karke aaye ho tum? 😂 tum aunty ko samjhane gaye the or unhone tumhara hi popat kar diya.. 😂

Ranbir:tumhe gussa nii aa raha? Ak minute tumne sahi se to suna na ki maine kya kaha? Maine kaha ki wo mere liye koi or ladki dhundh rahi hai.....

Kratika giggle karti hai...

Ranbir:yrr tumhe bilkul bhi gussa ni aa raha kya? Itni serious bat par has rahi ho tum...... 🤨

We Are Destined...Where stories live. Discover now