PART# 11

893 129 55
                                    

KS: aaen bhabhi hum apko ap k room tak lay chaltay hain, bhaiya ki chinta na Karen abhi unhain buhat Kam hai, woh 4 bjay se pehlay nahi sotay hain.

Maa: kyun tang kar rhi hai tu dono ko. Anu ja bahu ko kamray mei lay k ja.

AS: ji maa.

KS: aaisay kaisay maa? Humara naigh dyn phir apko ijazat milay gi janay ki.

AS: maa ap nay isay woh uphar nahi diya  Jo hum nay is k liey liya tha.

KS: Kaun sa gift woh toh humari shadi ka gift tha? Humain apki shadi ka uphar chaheay.

AS: aray behna ap k liay hum itni Sundar bhabhi lay k aaey hain apko abhi gift chaheay.

Maa: Kashi tang mat kar janay dyn na.

KS: theek hai abhi jaen par bad mei hum ap ko nahi chorain gay... Sab batein gay bhabhi ko Mrs Singh k baray mei.

Anuseena enters their room which is beautifully decorated with flowers and candles.

AS: haseena ji andar aaen. Aaj say yeh apka room hai.

Haseena sits on bed and Anubhav sits next to her.

AS: haseena ji aaj say hum apni zindagi ka ek naya safar shru karnay ja rhy hain. hum nahi chahtay k hum koi bhi baat ap say chupain. Ek baat hai Jo apko hum batana chahtay hain. Warna humain hamesha guilt rhy ga hum apni zindagi mei chah k bhi aap k Sath aagay nahi barh paen gay, humain yahi lagay ga k hum nay apko dhoka daynay ki koshish ki or yeh baat ap say chupa kar k bhi apko dhoka day rhy hain. Hum aasha kartay hain k humari baat sunnay k bad ap humain maaf kar dyn gi kyun k hum nay khud ko buhat roknay ki koshish ki par hum nahi rok paey.

HM: aaisi kiyà baat hai Anubhav ji? Ap humain Dara rhy hain.

AS: haseena ji baat darasal yeh hai k bachapan say lay k aaj tak kisi bhi istiri nay humain apni aur aakarshak nahi kiyà tha par pichlay dino hum ek aaisi mahila say milay jisay deekhtay hi hum khud ko rook nahi paey or unki aur khichtay chalay gay. Hum mantay thy k yeh ghalat hai yeh ap k Sath dhoka hoga par pata nahi jab bhi hum un say miltay thy sab kuch bhool jatay thy. Unki batoon nay unki aadaton nay hum par ek sehar sa kar diya tha. Ek jadu sa hum par chehrah gaya tha...hum na chahtay huay bhi un k baray mei sochnay lagay.

HM:kiya ap ko un say pyar ho gaya hai? ( With heavy voice)

AS: shaid.. par bad mei pata chala k woh married hain phir.....

HM: ap abhi bhi un k baray mei sochtay hain? Mrs Singh k naam hai na unka jis k baray mei Kashi keh rhi thi?

AS:  ha Mrs Singh hi hain woh. aray hum bhi pagal hai kiyà beech say apko batana shru kar diya or apko pareshan kar diya,hum sirf ap k hain or ap k hi rahen gay apko chor k kahen nahi jaen gay hum. Hum shru say shru kartay hain

He takes her hand on his hand and look into her eyes.

AS: ap shaid nahi janti k hum shadi Karna hi nahi chahtay thy. Par kehtay hain na Jo naseeb mei likha hota hai woh kahen say bhi apko mil k rehta hai. Maa nay humain shadi k liey emotionally blackmail kiyà or buhat sari larkiyun ki tasveerain dyn k hum un mei say kisi ek ko choose karen.

HM: par us mei toh humari tasveer thi hi nahi.

AS: ha nahi thi par us uppar walay nay humara naseeb Sath likh k bheeja tha. Hua yun k itefaq say ap k award function wali tasveer in tasveeron k Sath mix ho gae. Maa nay jab hum say poocha k hum nay kisay chunna hai par hum nay toh ek bhi tasveer nahi deekhi thi toh unhain Kiya Jawab daytay phir us nay humain ek ishara diya jald Bazi mei hum say woh tasveeron wala lifafa gir gaya hum nay sari tasveerain toh wapis dal di par apki tasveer wahen Zameen par giri reh gae or hum nay jaldi mei usay utha k usay bina dekhay envelope k uppar rakh diya or maa say keh diya k hum say tasveer alag kar k rakh di hai yeh sooch kar k larki koi bhi ho kiya farq parta hai waisay bhi humari shart sun k koi bhi hum say shadi k liay raazi nahi hogi. Hum nay toh maa ka dil rakhnay k liay Kaha tha. Par jab humain pata chala k ap Kashi ki friend hain toh humain buhat Khushi hui k atleast ap humari ghair mojodgi mei maa or Kashi k Sath mil jul k rahen gi or apka bhi dil laga rhy ga. Or jab hum rishta lay k ap k ghar gay toh humari us roz bhi mulaqat nahi hui ha magar ap k khayalat or batein sun k humain buhat Khushi hui phir hum nay is rishtay ko Dil say nibhanay ka faisala kiyà, apko bina dekhay hi apna sab kuch maan liya tha.

DHAI AKSHAR PREM KAY:Where stories live. Discover now