part:-47

606 87 13
                                    

Raghav:- jail se bahar aane ka baad mai bhut khush tha ...mai phir se apna ghar ko wapas ja sakta tha... ha es bat ka dukh tha mere ko ki ghar pe mere ko nanna aur Arjun nahi milene wala ...per amma aur kirti ko milne ka liye mai bhut excited tha . Saalo bad wo Jail ka kapda se mere ko mukti mila tha mai dusra  kapda pehen k phir se ek normal insan ka tarah apna life jee sakta tha... Maine jail me kaam kar k jo paise kamaye the unme se kuch paiso se maine Amma ka favourite sweets kaju katli aur kirti ka favourite chocolate liya..... Aur mai apna ghar ko aa gaya...

Lekin waha aa k mere ko apna life ka sabse bada shock mila....mera Amma mere ko abhi bhi mera nanna aur chhota bhai ka maut ka  gunhegar hi manta tha...mere ko laga tha k 3 saal pehla Amma ne gussa me mere ko wo sab keh diya tha lekin usdin mere ko pata chala k Amma aaj bhi mjhe hi galat smjhta h isiliye wo kabhi bhi mere ko jail me milne ko nahi aaya.. mai bhut kosis kiya unko apna sachhai batane ka apna aap ko innocent proof karne ka...per amma na to mera koi bat suna na hi mera pe yakeen kiya.. wo mere ko ghar se aisa nikal diya ..jaisa ki mai kabhi us ghar ka hissa hi nahi tha...mera se her rishta tod diya.... Yaha tak k mera chhota behen kirti bhi mera ko galat smjha wo bhi mera sath nahi diya....

Kitna ummeed se mai ghar ko wapas aaya tha ....lekin mera sara ummeed ek jhatka me tut gaya.... Mai pura 3 sal bad ghar lauta tha aur mera Amma mere ko ye tak nahi pucha k mai kaisa h....kis tarah se mai jail me 3 sal kaata ...... Balki wo to mere ko ghar se beizzat kar k nikal diya....

Jab mai apna agal bagal dekha to pata chal k sab padosi log mera beizzati ka khada ho k  majja le rha tha ...mai waha se uth k chala  gaya ...

Mere ko aisa lagne lag gaya k esse achha to mai jail me hi tha ... Kam se kam waha mera pas rehne ka thikana to tha ..ek ummeed to thi k ek din sab kuch thik ho jayega ...mera Amma mera ko phir se gaale lagayega

Kanoon ka hisab se to mai apna hisse ka saza kaat chuka tha ..per mere ko nahi pata tha k mera Amma ka diya hua saza kaatna abhi baaki h......ab to mera pass kuch bhi nahi bacha tha....na ghar...na Amma...na behen... isiliye mai wapas se jail chala gaya....

Mere ko aaj bhi wo din achha se yaad h....

7 yrs back

20yrs old raghav n 38yrs old Laxmi Singh conversation.....

L:- arey raghav tum yaha wapas kyu aa gaye... tumhara koi samaan reh gaya tha kya....

R:- folded his hands n comes on his knees n  says mere ko phir se jail me daal do akka....

L:-ye tum kya keh rahe ho
..aur kya ho gaya...achha pehle utho....chalo utho... N she makes him stands up n asks him to sit on the chair...
Ab batao kya baat h..

R:- mera amma mere ko ghar se nikal diya ...ab mai kaha jaaye ..kya kare mera ko kuch smjh nahi aa raha h ... isiliye mai yaha wapas aa gaya. 

L:-acha bhul gaye tumhara nanna aur Amma ka sapna tha tumko ek businessman banane ka ...jiske liye tumne yaha jail me reh k 3 saal padhai ki apna bcom complete kiya aur MBA ka entrance exam bhi diya h...jiska result kuch dino me aane wala h....

Aur mjhe pura yakeen h ki tumhara naam merit list me jarur ayega...phir bas group discussion aur interview round ..uske bad tumhe ek achhe se  college me admission mil jayega.... Aur phir 2 sal ka course karne k bad tum apna sapna pura karne k liye taiyar ho jaoge....

R:- lekin en sab ka ab koi fayda nahi h.....

L:- mjhe to lagta h tum me himmat aur kabiliyat  hi nahi kuch bada karne ki... isiliye tum bahane dhundh rahe ho bas ...ek baat hmesa yaad rakhna  raghav life me aur kaam me hmesa aisi difficult situations aati rehti h..lekin kamyab wahi hota h jo aisi situations se fight back karta h na ki wo jo pehle hi haar maan leta h... Ab decision tumhara h ki tum haar maan k peeche hatoge ya fight back kar k apne aim ko pura karoge...

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now