chapter-22.

2 1 0
                                    

Asad:- sab theek ho jayega ok mai chal raha hoon bye.....

Saad:- tu kahan ja raha hai mujhe chodh ke.....

Asad:- actually!!! Uncle auntie ne mujhe ghar bulaya hai....

Saad:- mom and dad ne tujhe ghar kyun bulaya hai.....

Asad:- teri mehendi ceremony ki tyyari karne ke liye abhi kuchh din hi bacche hain na aur shaam ko mehendi hai na teri.....

Saad:- what!!! Itni jaldi din guzar gaye kuchh pata nahi chala huh.... Aaj hi mehendi hai.... Abey mehendi uski hai mai thodi na laga raha hoon Aaj raat ko mai ghar Aaunga mom and dad ko inform kar dena....

Asad:- hanste hue!!! Tere chehre ka rang hi udh gaya hai ha ha ha ha!!!!

Saad:- tu ja yahan se mujhe Pareshan mat kar please get out bye..... Ya Allah mai kis musibat mein phans gaya hoon..... Ab future mein kya hoga ye sirf aap ko Pata hai.....

Sheema:- Hey bro!!! What's up kaise ho.....

Saad:- hi!!! Tu yahan kaise kuchh kaam tha kya.....

Sheema:- Haan!!! Actually mom aap se milna chahti hain aap ko ghar aana hoga.....

Saad:- ab kya hai yaar!!! Dekh mai pehle se Pareshan hoon iss shaadi ko lekar aur tu mujhe aur pareshan kar rahi hai.....

Sheema:- I'm serious bro!!! Sachh mein mom ne aap ko bulaya hai ab ghar chalo please....

Saad:- ok fyn!!!! Tu chal mai aata hoon.... Kahan phans gaya...

Shehnaz:- tu aagaya!!! Chal lunch kar le.....

Saad:- kya lunch karne ke liye mujhe bulaya hai....

Shehnaz:- Aur haan uske baad mere room mein aana tujhse kuchh baat karni hai....

Saad:- theek hai ab chalo aagaya hoon toh lunch kar lete hain.....

Imran:- beta tu khush toh hai na iss shaadi se.....

Saad:- aap dono khush ho na....

Imran:- hum bahut khush hain....

Saad:- haan agar aap sab khush hain toh mai bhi khush hoon.....

Shehnaz:- bas teri Khushiyon ko kisi ki nazar na lage.....

Saad:- mera hogaya ab kahiye aap ko Mujhse kya baat karni hai....

Shehnaz:- ye le....

Saad:- iss boxes mein kya hai mom....

Shehnaz:- actually!!! Ye kuchh jewellery hain jo maine apni bahu ke liye kharide the tu ab office ja raha hai na....

Saad:- Haan ja raha hoon kyun kya kaam hai....

Shehnaz:- jaate jaate ye boxes rifah ke ghar pahuncha dena taaki shaadi ke waqt kaam aajaye.... Maana ki woh middle class family se hain lekin saare kapde wagaira hum ne pehle se hi select Karke rakha hai....

Saad:- wow.... Shaadi hui nahi abhi se uski taraf daari ho rahi hai itne gifts wagaira wagaira....

MOHABBATEIN....Where stories live. Discover now