Hai ..
Hello ..
Happy reading ..
*************
At party venue ..Sabhi log party mein aajathey except monu and faizi , karan toh bus ussi keliye wait kar raha hotha kyu ki monu saari mein kaise dikhthi hai yeh dekhne keliye woh wait kar raha hai , lekin ayisa kyu wait kar raha hai woh khud karan ko bhi nahi patha ..
Tabhi sooraj karan ko dekhtha hai ..
Sooraj : hello young man welcome ...
Karan : thank you sir ...
Sooraj : kaise ho , ghar mein sab kaisa hai ??
Karan : sab badiya hai sir ..
Sooraj : suna ki khurana industries join karliya hai , aur aaj kal khurana industries ki kafhi acchi progress horahi hai , tum Sherghil industries mein hona chahiye tha beta , uss din toh maine offer bhi kiya tha ..
Karan : woh toh mein nahi kar saktha sir ,, aapka company number one company hai , usmein mujhe karnekeliye kuch miltha hi nahi , ekin khurana company mein mujhe apna talent dikhane ka mouka milthi hai isiliye uss company mein join karliya sir ..
Sooraj : tumhe patha hai karan kabhi kabhi na tumhe dekh ke mujhe apni jawaani yaad ajathi hai , jab mein Mumbai aaya tha Rajkot se yehi jasba tha mere ander , aur mein din raat mehnat karne ke baad iss place par pahungaya tha , ab same passion mein tum mein dekh raha hunn ..
Karan : dekh lijiye ga sir ek din mere bhi Mumbai mein ayisa hi ek company hogi ..
Sooraj : ohh toh mere saamney rehkar mujhse compitition lene ki baath kar rahe ho .
Karan : hahaha ayisa nahi hai sir , mein toh khud ka dream bol raha hunn , mein bus apni company ko start karna chahta hoon kisi ko bina nuksaan pahunchaye .
Sooraj : i know mein bus mazaak kar raha hunn..
Tabhi sooraj dekh tha hai Radha ji waha aathi hai ..
Sooraj : chalo karan maa se milwatha hunn ..
Sooraj takes karan towards radhaji ..
Sooraj : maa yeh hai karan , us din yehi Mera jaan bachaya tha ..
Radhaji : woh toh tum ho beta , bahut dhanyawad beta ..
Karan : arey ma'am thank you math boliye bus ashirvaad dedijiye ..
Karan ashirvaad keliye Radha ji ki phair ke pass jatha hai , woh bhi pyaar se sar pein haath rak kar , ashirvaad dedethi hai
Radhaji : beta humesha kush raho , duniya ki sari Kushi aur kamyabhi tumhe mile ,, aur ma'am nahi dadi bhulav mujhe ..
Karan smiles by seeing her ..
Sooraj : ohk young man party enjoy karo kaha hum budde logon ke saath bore hore ho ..
Karan smiles and left from there ..
Radhaji : sooraj jab karan ki hastha huva chehra dekh rahi thi mujhe tumhari bachpan yaad agayi hai ..
Sooraj : sirf smile nahi maa balki bahut sare similarities hai hum dono , mein passion dekh raha hunn iss ladke mein jab mein jawaan tha , dekhna ek din yeh ladka apna khud naam banayega ..
Radhaji bhi muskhurane lagi aur party ke ander chali gayi ..
Kuch hi dher mein monu aur faizi bhi agaye , monu ko ekh kar sirf karan ka hi nahi sab ki dil thamsa gaye hai , woh sab ki atteion grab kardi , Sanju toh uski nazar bhi uthati ..
Mo : kya kar rahe ho Sanju ..
Sanju : arey dekho sabhi log kaise ghoor rahe hai , thujhe nazar lag gayi toh ??
YOU ARE READING
🦋𝕰𝖐 𝖑𝖆𝖉𝖐𝖎 𝖐𝖔 𝖉𝖊𝖐𝖍𝖆 𝖙𝖔𝖍 𝖆𝖞𝖎𝖘𝖆 𝖑𝖆𝖌𝖆🦋 (Weekly Updates)
FanfictionEk kadki hai jo Mumbai mein rehthi hai , woh ek fhool jaisi chehek wali mehekne wali , komal chanchal swabhav ki thi , woh jaha bhi jathi hai bus love ko spread karthi hai ,, unki family se behad pyaar karthi hai .. Ek ladka tha jo Mumbai aatha hai...