1

10 1 0
                                    

Woh mujhe apne mehndi bhare hath dikha kar royi,

Mai kisi aur ki ho rahi hu, woh mujhe ye bata kar royi,

Aur jab maine pucha ki kon hai wo khushnaseeb,

Wo mujhe mehndi se likha uska nam dikha kar royi,

Jab jana usne mere girte aansuo ka sabab,

Wo mere girte aansu apni hatheli par saja kar royi,

Aur gham-e-judai se kahin fat na jaye mera seena,

Wo khud hanste hanste mujhe hansa kar royi,

Aur sayad waqif thi wo aakhiri mulaqat ki ahmiyat se,

Isiliye faqat aankhiri bar Woh mujhe apne seene se laga kar royi.

                                                                                     - -----------------


Context:- its actually from a interview where a guy told everyone about his breakup from his love after 8 years of togetherness.  

The Shattered PiecesWhere stories live. Discover now