Jammanat

117 16 39
                                    

Suppa ke to honsh hi udd jate hain. Kya kah rahi hai uski meetho . Use pata hai usne zid pakad li to pakad li . Par yeh theek nahin hai . Thanedaar ata hai uth ke unke pass .

Inspector - Chand ib jaan ki tayari kar le . Shaam ho gayi hai. Main 15 minutes se jyada kissi ne milan na deta kaidi te . Par tere khatir manne itne ghante de diye tum dono te batlan ke . Ib ghar chala jaa babu . Tere mummy daddy chinta karenge. Manne pata tu chori chippe aya is bulad te milan ladoo . Yaa jagah theek na hai tere liye. Masoom hai tu bacche bargi. Ja aur kawe to main chod aunga tanne . akeli na jaiye.

Suppa - Thanedar theek kawe hai. Ja mera babu . Sham hogi . Sasur ji chinta karenge. Plss Jaa gulu ki maa .

Kanna - Hum nahin jayenge app dono sun lo aur baar baar bola to chanta lagga denge aap dono ko. Hum chote baby nahin hain jo aap aise lecture de rahe ho. Hum 20 years ke big boy hain ab . Dada ko hone do pareshan gulu daddy. Aap bhi to pareshan ho unki wajah se. He should know his mistake. Ab aap log chup raho kanna feels angry on both of uuu.....
Dono ek dusre ka muh dekhte hain. Kya karen is jiddi lugai ka. Inspector apna matha pakad leta hai. Suppa apne baal nochta hai. Kanna is looking tension free. He is just feeding gulu chocolate and Playing song in his mobile.

Dono ko pata hai wo dono ki hi kamjoori hai or shayad hamari kattoooo ko bhi yeh baat pata hai ke nobody from them can deny his wish. So he is chilling and the two muscular strongest men are feeling helpless in front of this fragile little baby.

Thanedar Suppa ko kone me bulata hai.

Thanedaar - Re bulad kitni jiddi hai teri lugai. Par main isne yahan na rakh sakta . Meri naukri pe danger hand jenge .( my job can be in danger) Par iste manna karn ki himmat koni mere me . Ro pada to ladoo. Mera to jee nikal jega iske ansoo dekh ke. Itni sunder ankhon me ansoo na na iska gora mukhada laal ho jawe rowe jub. Tu manna le dant de thoda . Bhej isne ghar.

Suppa - Ohh dant de . ....ek be jor te bol padda tha itne din baat na kari. Ro ro ke bura haal kar diya tha . Sara college sir pe tha liya. Bukhar ho gaya tha 2 din . Jub marne ki koshish kari manne tub mani . Ib tu chawe isne dant ke pher apni jindagi jhand kar loon. Na na meri itni himmat na hai bhai dar lagge apni lugai te manne.

Ab kya karen dono soch rahe the . Tabhi kanna ka phone bajata hai. Kanna ke dada ki 37 calls aayi hui thi uspe. Par he is not responding. Suppa bar bar phone uthane ko kehta hai. Par kanna ignore him and keep playing with gulu. Suppa aur inspector preshan ho rahe hote hain . tabhi Ruhi ka phone ata hai . kana pick the call and put on speaker.

Ruhi - Kanna baby aap uncle ka phone kyun nahin utha rahe. Rajje aap thik ho na. Kuch kaha to nahi wahan kissi ne. Dar lag raha hai mujhe. Maine galt
Kiya baby ko akele bhej ke. I am sorry honey. .....kuch bolo na baby ....Uncle apko lene aye hain .

Kanna - kanna is good ruhi. Don't worry. Humme dada se baat nahin karni. Aap bata to unhe ki hum jail me hain. Hum gande bacche hain or inspector ji ne humme bund kar diya hai. Humme phone nahin karen. Hum yahin rahenge apne gulu daddy pass . Gulu baby says he likes the jail. Ab hum teeno yahin rahenge han.

Dada - Are mere chand kya kah rahe ho aap. Kiss Haramjyade ne band kiya mere princess ko. Us inspector se baat karao meri. Iss sale ki naukri na hatwai to kehna. Itne innocent bacche ko koi jail me dalta hai. Kya kiya hai meri princess ne. Karao baat us kamine se.

Inspector - Re bulad tere susra to ghanna ghant ( mean ) hai. Meri issi tissi karn pe tulrah . Saale harami Lugai ke hath te khawe tu laad kare tu nokari jawe Ramphal ki. Kamin tu pakka Rahu banke aya meri kundali me . Hey bhole baba baccha meri nokari.

Suppa laugh.

Kanna - Dada Inspector ji ne kuch nahin kiya .Aap unhe kuch nahin karna . Humne hi galati ki hai to jail me to dalenge hi naa.....Aap unhe kuch mat karo. Or hum yahin rahenge nahin jayenge ghar. Gande bacche yahin rehte hain na dada. Aap hi to kah rahe the gulu daddy gande bacche hain. Hum bhi hain dada ..

Desi Chora Vilayti Maim (beauty)Where stories live. Discover now