In a big mansion, two couples are going here to there and checking the arrangements of the function that is held today evening at their mantion. They are TM, KM, TP, KP. And they are preparing for the birthday celebration for Kavya.
Yes, today is Kavya's 2nd birthday.
In a room, a lady is trying to wake up a person who is sleeping peacefully with a baby. Yes they are TK, KK and Kavya.
TK : Sunny tum abhi ke abhi uth rahe ho ya main Kavu ke birthday party cancel kar du? 😡 Yeh acha lagta hai kya ki Mumma Papa log sab arrangements kar rahe hai aur tum inha so rahe ho?
KK : (in sleepy voice) Chill mera Laddoo.. Tu itni pareshan maat ho aur Mumma Papa Aai Baba sabko bol de ki, tension na le. Maine sab kuch achi tarah se arrange kar dena hai.
TK : Jo mazi wo karo. Meri toh sunni hi nahi hai.
Teju thoda gussa karke wahan se chali gayi niche.
In the hall,
KM : Sunny utha ki nahi Teju?
TK : Jag toh gaye hai but usko bed se uthne mein alas aa raha hai 😏
TM : Koi baat nahi na. Sone de usse. Kyun pareshan kar rahi hai?
TP : Kal bhi office se kitna late aya tha bechara.
TK : Haan aap aur Aai toh bas rahene hi do. Main hi hu jo bas use pareshan karti hu. Woh toh bhola bhala hai na. Apni beti ke birthday pe kaun 10 baje tak sota raheta hai? Aur aap log mujhe bhi kuch karne nahi de rahe ho. Main agar thoda bohot help kar dungi toh kya ho jayega? Meri bhi beti hai wo. Mujhe bhi arrangements karne hai apni haaton se. Aahh.. Aap logo ko jo karna hai karo.. Meri baat to kisiko sunni hi nahi.
Aisa kaheke Teju wahan se uthke garden mein chali gayi.
(Aap log soch rahe honge ki itni choti si baat ke liye Teja itni kyu bharak gayi!! Baad mein pata chalega Teju ke itne gusse ka raaz)
KP : Aap log bhi na bhabi, meri bacchi ko dukhi jar diya. Main jaake dekhta hu usse. Aur Suneeta, tum jaake iss khotyea ko uthao. Iss halat mein usko meri beti ki khayal rakhna chahiye naki ghore bechke sona chahiye. Aap logo ko pata hai na dictor ne Teju ko stress lene ke liye mana kiya hai. Agar wo itni choti choti baat pe woh stress lene lagi toh uska tabiyat aur kharab ho jayega.
KM : Haanji aap sahi kahe rahe ho. Aap jaake Teju samhalo. Main Sunny ko bhejti hu Teju ke paas.
KP : Koi zaroorat nahi hai usko meri beti ke paas abhi bhejne ki. Aabhi wo bas bed se uthe aur apne kaam pe lage. Meri bachi ko main dekh lunga.
In TejRan bedroom,
KK woke up fully and set Kavya in bed properly with pillows so that she doesn't fall down from bed in her sleep. He was about to step in into the bathroom, he heard KM calling his name.
KM : Sunny, Sunny, abhi uth bhi jaa beta. Kitni saari taiyari karni baaki hai.
KK : Mumma, aap itna tension kyun le rahe ho. Sab ho jayega aramse. Aur Laddoo ne bola ki aaplog kuch arrangements kar rahe ho? Kya kar rahe ho? Party toh ghar pe nahi hogi na. Aap logo ko kuch kaam na karna pare isliye to venue book kiya hai.
KM : Haan par, venue pe bhi sab thik hai ki nahi wo dekhne jana hai. Mana ki function humne ghar pe nahi rakkha but kuch toh decorate karenge na inha bhi.
KK : hmm.. yeh bhi thik hai. Thik hai Mumma, aap mujhe 10 minutes do. Main ready hoke niche aake breakfast karta hu then kaam pe lag jata hu. Mumma, Laddoo ne breakfast kar liya na?
TK : Haan khula toh diya use aur medicine bhi de di hai. But..
KK : But kya Mumma? Woh thik toh hai na?
KM : Haan waise tabiyat toh thik hai par..
Phir KM told everything that happened in the hall. How Teju reacted.
KK : Mumma main to gaya aaj 🥴
KM chuckles and said : Aisa kaam karta hi kyun hai?
KK : Sorry na Mumma. Bohot alas aa raha tha. Isliye bas leta raha. Uthne ka mann nahi kiya. Par wo zyada stressed toh nahi thi na? Usko kuch uneasy toh feel nahi hua na? Uske gale mein rashes toh nahi aa gaye the?
Tabhi TM bhi aati hai and said : Don't panick beta. Abhi main dekh ke aayi bhaisaab aur wo gardening mein lage hai.
KK : Aai lekin abhi Laddoo ko kaise manau?
TM : Maan jayegi wo. Tu tension maat ke. Kuch der baad dekhna phir Sunny Sunny karte hue ayegi.
KK : acha main jaldi ready ho jata hu.
Saying this he went to bathroom.
TM and KM thought to take Kavya with them downstairs so they can look after her while Teju and Karan are not there in the room.
They took Kavya to downstairs and here KK got ready jaldise and sidha garden mein haazir. 😅
He saw Teju and KP were talking about something and laughing loudly in between their talks. He felt relieved seeing her happy. He started going towards them. When he was nearby he heard them talking.
TK : Dekha na Papa abhi tak janab ka uthne ka waqt nahi hua. Abhi sabkuch kaise hoga?
KP : Tu kyun tension le rahi hai puttar. Main hu na. Uss khotyea ko main aaj princess ka aas paas bhi nahi jane dunga. Yehi hoga uska punishment.
TK : Han yeh acha idea hai. (Laughs loudly)
KK in mind : Acha bachu mere khilaf planning plotting. Abhi batata hu.
He thought about pulling their legs.
KK in fake anger : Aaah kitna zor se hasti hai re. Mere kaan ke parde phatt jayenge. Aur yeh sab kya chal raha hai? Mere khilaf planning ho rahi hai? Aur Papa aap mere Laddoo ko yeh kaisi kaisi bekar ke ideas de raho haan?
Teju's eyes filled with tears. KP saw that and he glared at KK and went inside thinking to give some space to husband and wife.
Teju also started to go inside.
KK thought to pull their leg but here he got glare from KP and silent treatment from his Laddoo. Seeing her tears KK panicked again. Then he called her
KK : Laddoo rukh
Aab Teju rukhti hai ki nahi kuch bolti hai ki nahi janne ke liye stay connected.
Toh kaisa laga first chapter comments mein zarror bataiyega. Agar aapko aaj ka chapter acha laga toh vote, comment and mujhe follow karna na bhule.
----------------------------------------------------------------------
Disclaimer : This is a work of fiction. Any businesses or places, events or incidents, are fictitious. Any resemblance to actual incidents or actual events is purely coincidental.
----------------------------------------------------------------------
Target : 50 votes, 20 comments
YOU ARE READING
Yeh pyaar naa hoga kam (On Hold)
Fanfiction#TejRan, a happily married couple. They have one 2 years old daughter Kavya. They live with both of their parents all together. KK is a businessman, Teja also helps with family business. Both KK and Teja have soft nature, care to everybody. They wer...