Meri Shokiyan

36 3 0
                                    

Meri shokiyan meri be abru zanjeer ban gayi,
Bekhayali mera manzar ban gayi.

Mujhme leher ki halchal bani thi,
Usime sazish ki daladal bani thi.

Meri har chahat ki himayat thi himakat;
Sukhe shaakh ki tarah jhulas rahi hai qayamat.

Kinza ki awaaz hi meri pehchaan hai;
Mashre ki dhul ab har zarre ka mukaam hai.

Sunayi deti hai mujhe qayamat ki sargoshi;
Bas dikh rahi hai diye ke jalne ki faramoshi.

Tajalli-e- Muqadar jaane hai kahan?
Fanaa ho gaya mera kekashan.

Meri ShokhiyanWhere stories live. Discover now