YAAD AAYENGE YE PAL

233 29 15
                                    

"Areh areh ruk mein batati hu tujhe!! Oyee meri phone wapas kar yaar kirti!! Ekbar tu hath a jaye mere!! Tera bharta bana dungi mein" - a girl in her mid twenties was shouting while running in the Sabherwal mansions hall room.

"Badi dadi.. badi dadi please mujhe bacha lo is ladki se" - the girl named kirti said while hiding behind none other than our badi mumma and her badi dadi Devi Sabherwal.

"Badi dadi ise kaho mera phone wapas kare mujhe. Chup chap mera phone wapas kar kirti warna teri khair nahi aj. Mein kanchan chachi se complain kar dungi teri" - the first girl said while trying to catch her naughty sister.

"Bas karo.. bas karo tum dono. Kya bacho ki tarah lad rahi ho tum dono. Kirti didi ko phone wapas karo. Aur kya anorya tu bhi kitna chilla rahi hae. Kuch din bad shadi hae teri. Aur tu yeh kya dour rahi hae iske piche"- badi ma said in a scolding tone.

"Kya badi dadi meine kya kiya. Ap mujhe kiu dant rahi ho is bandar ne mera phone le liya tha. To mein kya karu"- Anorya said with a pout.

A/N i know mere readers kafi smart hae unhe pata hae anorya kaun hae🤭
Aur jinhe nahi pata unko bata du ki anorya shaurya aur anokhi ki pyaari si beti hae.

"Badi dadi apne anu didi ko jewelleries diye the na try karne ke liye. Wo try kiye bina phone pe jiju se baat kar rahi thi. To isiliye meine phone le liya" kirti said to her badi dadi.

" Kirti tu mujhe bata sakti thi uska phone kiu liya ar yeh kya hae anu tumhe kaha tha na ki try karlo ekbr jewelleries. Kiu nahi kiya. Haye bhagban ji is ladki ko thori ki akal dedo. Koi to kaam karle beta. Ab sasural jake tera kya hoga pata nahi" Devi said.

" Are bhabhi hamari anu bohot smart hae. Wo sab kuch sambhal legi" shaan said while entering the hall room.

" Dadu ap best ho. I love you itna saraaa" Anorya said while hugging her grandfather.

"Ha bigad do ise aur. Abhi yeh sab choro anu yeh lo tumhara phone aur jao ab try karlo beta jewelleries and dresses" Devi said.

"Ohkkkkk abhi ja rahi hu mein. Waise papa kaha hae badi dadi. Meine subha se ek bar bhi nahi mili papa se" Anorya asked to Devi.

" Wo to apne kamre mein hoga. Abhi kuch pehle hi lauta hae venue ka decoration final karke. Next week uske ladli ki shadi hae. Sab kuch perfect to hona hi hona hae" Devi said while smiling.

"Acha mein unse mil lungi" Anorya said and went to her room to try the jewelleries.

In Anorya's room

She opened a box full of jewelleries with a heavy heart. She doesn't want to do this. She was just running away from all of her emotions. She doesn't want to break down mentally. With shivering hands she slowly put on all the jewelleries and all of her mental strength gone when she saw herself in the mirror and she started crying.

After gathering little bit of the mental strength she went to her father's room.

She was about to open the door when she heard that her father was talking to someone.
She waited outside to hear what her father was saying.

Inside Shaurya's room

Shaurya's conversation:

Gudiya kitni badi ho gayi dekhte dekhte pata hi nahi chala. Uski shadi hone wali hae. Wo bhi mujhe chod ke jane wali hae.

-Par ladka bada acha choose kiya hae tumhari beti ne. Gaurav naam hae uska. Bohot intelligent ladka hae. Waise meri beti bhi kaam nahi hae. SIAC ko itna uchai me le jane me meri itni madad ki hae na usne ki mein bohot proud feel karta hu uspe. Aj SIAC ka 10 branches hae pure India mein.

-Wo na bilkul tumhari jaisi dikhti hae pata hae. Bilkul ditto anokhi nazar ati hae usme mujhe har roz. Wohi pyaari si hasi aur wo hi zid. Bilkul same to same. Gudiya bas khush rahe Gaurav ke sath. Pata hae ladka acha hae family achi hae par daar sa laga rehta hae hamesa mujhe. Ki kya pata kuch ho gaya to. Daar lagta hae bohot tumhare bina. Kya karu samajh hi nahi ata hae mujhe.

-Uski shadi ke itne intezaam karte karte na mujhe hamari shadi yaad a gaya. Jitna anokha hamara pyaar tha usse bhi anokha hamari shadi tha. Kaise SIAC ke campus ke andar tumhare exam ke bad humne shadi kiya tha. Aur wo din jis din tum graduate hui thi aur din bhi jis din tumne bataya tha ki tum pregnant ho. Sab yaad hae mujhe. Sab kuch har ek details yaad hae mujhe. Usko pehli baar godi mein uthana.. uska pehli baar papa bolna, uske school ka pehla din. Kitna roya tha wo. Time kaise nikal gaya na.

-Tum bhi chali gayi mujhe akela chod ke. 10 saal ho gaye. Ek din bhi aisa nahi gaya jis din meine tumhe yaad nahi. Bohot jaldi thi tumhe jane ki. Khud to chali gayi apni beti sa sara zamedari mujhe de diya. Ek ma ki bohot zarurat thi anorya ko tab mujhe pata hae. 15 saal ki thi tab bas anu par mein nahi kar paya yaar shadi aur kisise. Nahi ho paya mujhse. I love you anokhi. I genuinely do love you so so much. Bohot log kehte hae ki mein selfish hu kya anorya bhi yehi sochti hogi?
- Kuch to bolo na yaar. Hamesa chup rehti ho.

And he started crying while holding Anokhi's photo.

Anorya can't able to see her father on that state anymore. She just opened the door. She went to her father and hugged him tightly and said, "Papa ap selfish nahi ho. Apne mujhe dono ka pyaar diya hae. Ap aisa bilkul mat sochna..kabhi bhi mat sochna. Mumma hamare pas hi hae. Hamare dil mein wo hamesa hi rahegi. Abhi please papa ap mat ro. " she wiped the tears from Shaurya's face and cutely said, "papa dekho meine aj mumma ki jewelleries pehni hae. Lag rahi hu na mein bilkul mummy jaisi ?"

"Ha bilkul meri choti anokhi lag rahi hae" Shaurya pecked her forehead with lots of emotion and side hugged her.

And on that time a gush of wind lightly embrace both of them like a warm hug. As if Anokhi also joined them in their family hug....
.
.
.
.
.
.
Hum, rahen ya na rahen kal..
Kal yaad aayenge ke ye pal..
Pal, ye hain pyar ke pal..
Chal, aa mere sang chal..
Chal, soche kya Chhoti si, hai zindagi..
Kal, mil jaaye to hogi khush-naseebi..
Hum rahen ya na rahen yaad aayenge ye pal Hum rahen ya na rahen kal Kal, yaad aayenge ye pal.......
.
.
.
.
.
A/N
Phew! It was a very emotional chapter 😭. Please koi gaali mat dena please 🤧🥲 You Can Send send me you story request for this one shot series.
IF YOU LIKE THIS STORY DON'T FORGET TO GIVE A VOTE TO THIS STORY. PLEASE IGNORE MY GRAMMATICAL MISTAKES. LOVE YOU ALL.
( SHAKHI ROMANCE ANE WALA HAE🤭🙈❤️)




You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 25, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

SHAKHI FAIRYTALE- A ONE SHOT SERIESWhere stories live. Discover now