Surya nagari ka paryatan

271 37 17
                                    

Hai ..

Hello..

Happy reading..

****************

Rajendra ji ka darbaar ..

Sabhi log wahi par maujood the, kuwar rajveer Raja rajendra ji ke saamney ek doshi ki tarah khade the ,,

Rajendra ji : aapke himmat kaise huyi kuvar rajveer , bina izazat ke humare rajya mein pravesh karne ka ??

Rajveer : maaf kariye hukumsa , hum yaha kuch galat irada se nahi aaye hai ..

Rajendra ji: iske liye aapko khadi ki kadi saza mol saktha hai , aapko pata hai na ..

Rajveer : lekin Marne walon ka bhi akhari iksha puri kardiya jatha humare Puri baat toh suniye hukumsa ..

Rajendra ji bolne ka ishara karte hai ..

Rajveer : hum yaha kisi galat maksat se nahi aaye hukum sa , hum yaha mitratha ke haat badane aaye hai , hum dono rajyon ki satrutha ke wajese , masoom logon ki nuksaan horaha hai , isiliye mitrata ke haat badane aaye hai hum yaha ..

Yeh kehkar ek chitti ko rajendra ke pass rak dethe hai ,, rajendra ji chitti utakar pad lete hai ..

Rajveer : Raja giriraj yani ki humara pita sa ko bhi yeh mitrata manjoor hai , woh bhi nahi chahte ki humare shatritha ki wajese , sainikon ki nuksaan ho .

Sare log heraan hokar ek dusre ko dekhne lage kyuki Raja giriraj ek swardhi insaan hai , unke faide keliye kisi ka bhi jaan le sakte hai , achanak Mitra ke haath badana unke Mann mein Shanka paida kar rahi thi ..

Rajendra ji: teek hai , hum bhi yehi chahte hai , aapke pita sa Raja giri Raj ko adesh dedijiye kuwar , kuch dinon baad hone wale gangoor utsav mein hum Raja giri Raj ji se milengey aur humari taraf se yeh amantran hai ki aap aapke pariwar walon ke saath humare Raj mahel ajaye ..

Rajveer bahut kush hojate hai , aur Rajendra ji ko pranaam karke waha se chale jate hai , sabha samapth hothi hai aur sabhi log apne apne kaksh mein chale jate hai ..

**************

Rajendra ji ki kaksh mein ..

Gayatri : aap ayisa kyu kiya hukum sa aap jaante hai Raja giri Raj kithna nirday hai , aur swardi bhi , fhir bhi aapne amantran kyu Diya hai ??

Rajendra ji: hum parakna chahte hai rani sa , aur hum kuwar rajveer ke aankhon mein sacchayi dekh liye the isiliye hum aamantran diya hai , aap chintha math kare , hum sari bandobast karwa lengey ..

Tabhi ek dasi ander aayi ..

Dashi : ( sar neeche karte huye ) hukum sa aapse Milne raj Kumari Geethanjali aagaye hai ..

Rajendra ji isharon mein ander bhajne keliye bolte hai rani Geethanjali ander aathi hai. 

Geethanjali: pranaam pitasa , pranaam maasa ..

Rajendra ji: kush rahe Raj Kumari , bathayiye aap iss wakth yaha ..

Ge : pita sa hum aap se ek vinathi karne aaye hai , hum rajya paryatan keliye jana chahthe hai , hone wali Rani ko sab ata hona chahiye , aapke anumati keliye agaye hai hum pitasa ..

Gayatri : nahi Raj Kumari yeh nahi hosakta , aap ab ek mamuli ladki nahi jo jaha chahe ja sake , aap hone wali Rani hai ..

Ge : hum hone wali rahi sa ki hetiyat se nahi balki ek mamuli ladki ki tarah pura rajya ko dekhna chahthi hunn. Kuch baatein hum tak nahi puchungey maasa , yaha se sab kuch teek hi nazar aata hai , lekin sacchayi kuch aur hothi hai ..

Rajendra ji: teek hai Raj Kumari sa , lekin humare ek sarth hai ,, aapko gangoor Puja se pehle wapas aane padega , gangoor Puja mein Durga maa ka puja  iss saal aapko bhi karna hoga ..

koi laut ke aaya hai ( ziddi dil maane na ) Where stories live. Discover now