aakhir kyun??

6 1 0
                                    

Abaan ko dekh ahaniya bilkul sakte mein reh gyi. Usse bilkul bhi samjh mein nahi araha tha k yeh sab ho kya raha hai. Na woh abaan say pehlay kabhi mili na unmein kabhi koi baat toh aakhir kyun abaan nay usse kidnap kiya hai. Woh abhi issi kashmakash mein hi thi k abaan muskurate huay bola
"Kesi ho ahaniya? Aakhir kaar tum mujhay mil hi gyi bohut waqt say mein is moqay ki talaash mein tha"
Ahaniya yeh sun ker aur bhi hairaan ho gyi. Usne abaan say hairani mein poocha
Kya matlab hai tumhara haan? Mein tumhay jaanti hi nhi hun. Meine to tumhe pehli baar kal raat ko dekha aur tum keh rahay ho k tum mujhay jaantay ho?ahaniya bilkul confuse thi woh samajh hi nahi paa rahi thi k uske saath yeh kya ho raha hai.
Abaan ko muskurata dekh ahaniya ko gussa aa gya aur woh chilatay hue boli
Tumhara masla kya hai aakhir haan?
Kyun laaye ho mujhay yahan?
Mere baba ko jab pata chal ga to woh tumhe zinda zameen mein dafan ker dein. Tum ab bacho gay nahi.
Aesa lag raha tha jaise ahaniya ko pura yakeen tha k abaan k saath uske baba yahi kerne walay hein
Abaan uski baat sun ker muskurane laga aur jhuk ker ahaniya k qareeb hua aur bola
Kisi ki itni himmat nahi jo mujhay nuksaan pohancha sakay. Tumhare baap ko ab pata chalay ga k jab koi apna door hota hai to kesa mehsoos hota hai.tumhare baap ko bhi wesa hi feel hona chahiye jesa mujhay aur meri family ko hua tha tumhare baap ki wajah say...
Ahaniya yeh sun ker sakte mein reh gyi usse samajh hi nahi aa raha tha k abaan uske baba k baare mein aese kyun keh raha hai.......

INTEQAM E ISHQ - A STORY OF LOVE AND REVENGE             (CAN I BE YOURS Abaan?)Where stories live. Discover now