EIGHT

1.3K 80 22
                                    

Meerab thinking about Haya then Hadi comes to her and said;

Hadi:Bhai ki soch mein Ghum hai bhabi?
Meerab:Nahi to.
Hadi:Lekin aap pareshaan nazar aa rahe hai.
Meerab:Yeh jo Haya hai yeh aise kyun rehti hai humesha?Na kisi se baat karti hai Aur milti hai.Aisa kyun?
Hadi:Pata nahi.Woh mujhse bhi baat nahi karti.Use apni Duniya mein rehna pasand hai.
Meerab:Woh padti nahi hai kya?
Hadi:Mariyaam ke sath college tak gayi Lekin back to back fail hone ke baad padai chod di.Padai pe Bilkul maan nahi tha uska.Maa begum shaadi ke soche use bhi usko masla hai.Kehti hai use kabhi shaadi nahi karni.
Meerab:Kisi se janne ki koshish nahi ki use akhir masla kiya hai?Kuch to hua hai uske sath jo andar hi andar use khaye jaa rahi hai Lekin woh bata nahi paa rahi.
Hadi:Aisi koi baat nahi hai Bhabi.Aap aaj usse Pehle baar baat ki to aisa laga Lekin humare sath yeh roz aise pesh aate hai siwai murtasim bhai ke.Shayed sab se jyada pasand woh unhe karti hai.Aap ko bhi uski adat pad hi jayegi.

Meerab thinking about something.Hadi left from there.

Meerab collides with Haya inside of the haveli and she ignored her.

Mariyaam comes to Meet Meerab and said;

Mariyaam:Aap ne bulaya bhabi?
Meerab:Ha tumse kuch puchna tha mujhse.
Mariyaam:Ji puche.
Meerab:Haya Aur tum to ek hi umar ki honge.
Mariyaam:Nahi woh mujhse kafi umar choti hai.Kyun?
Meerab:Uske sath masla kiya hai?
Mariyaam:Kiya hua Bilkul thik hai.
Meerab:Nahi woh thik nahi hai Mariyaam.Woh itni dari sehmi hui kyun rehti hai.
Mariyaam:Woh humesha se aisi hi hai.Isme nayi kiya hai.
Meerab:Usne padai kyun chod di?
Mariyaam:Lagatar fail karne ki wajah se.
Meerab:Tum logo ne janne ki koshish nahi ki kyun woh fail ho rahi hai.
Mariyaam:Usko padai ka maan nahi tha.Sare facilities to use mila hi yaha Phir bhi nahi padi.Phir ek din bola usko Aur padai nahi karni Phir maa ne bhi use kuch nahi kaha.Chot gayi uski padai.
Meerab:Aab karti kiya hai?
Mariyaam:Pure din kamre mein padi rehti hai.Maa ne bohot koshish ki uski shaadi karwane ki Lekin woh razi hi nahi hoti.Aab zabardasti koi kisi ke shaadi thodi kara sakte hai.
Meerab:Tumhare sath uski dosti nahi hai?
Mariyaam:Na baba na.Mein usse dur hi rehti hu.Sidhe muh baat thodi na kisi se karti hai.Lekin murtasim bhai se aaj tak koi Baittamizi nahi ki pata nahi kaise.
Meerab:Waise tumhara university nahi hai aaj?
Mariyaam:Ha abhi nikalnewali hu.Aate hai bhabi.

Mariyaam left from the room.

In the evening.

Meerab gets a call from Murtasim and he said come to the terrace.

Meerab goes there and finds whole terrace decorated with flowers and written on the board "HAPPY BIRTHDAY MEERAB."

Meerab surprise to think how can Murtasim know about it.

Meerab:Aap ko kaise pata aaj mera birthday hai?
Murtasim:Aap ki birth certificate se.Lekin aapne bataya hi nahi aaj aap ki birthday hai.

Meerab going to cry and murtasim can't figure out what happened to her.

Murtasim consoles her and asked;

Murtasim:Ro kyun rahi ho?

Meerab control her sorrows and said;

Meerab:Aaj se pehle kisi ne mera birthday celebrate nahi ki.Maa ke ilawa kisi ko yaad bhi nahi rehta.
Murtasim:Kyun?
Meerab:Suna hai beti rehmat leke baap ke ghar paida hoti hai Lekin mein rehmat nahi apni baap ke liye sharmindgi leke aayi thi.Is liye to unhone paidaish ke baad mera shakal dekhna bhi gawara nahi kiya.Puri Zindegi mere sath bad se badtarin tarike se pesh aaye.Puri Bachpan maine unke pyar ke liye tarasti gayi par unhone kabhi Mujhe mud ke bhi nahi dekha.Mere sath yeh saluk sirf is liye hui kyun ki unhe beti nahi beta chahiye tha.

Tears drop off her eyes.

Murtasim touched the tears and said;

Murtasim:Zahil hai woh log bete ko beti se jyada tarji dete hai.Betiyan to rehmat hoti hai.Khuda us baap ko jannat ki khushkabri sunai hai jo beti ko mohabbat degi izzat Aur tahaffuz ke sath tarbiyat karegi.Kabhi bhi bete ko beti ke upar tarji nahi dege.Betiyan to khushali leke aate hai Zindegi mein.Humare paigambar bhi to betiyon ke baap the.Aur aaj ke dour mein kon beta Aur beti mein fark karta hai.
Meerab:Mera baap.

Murtasim holds her hand and said;

Murtasim:Pata hai mein khuda se kiya dua karta hu.
Meerab:Kiya?
Murtasim:Meri Pehle aulad beti ho.Kyun ki meerab jo pyar jo ihteram ek beti apne waldain ko dete hai na woh ek beta chahke bhi nahi de pata.

Meerab hugs him tight and said;

Meerab:Aap mere Zindegi mein Pehle kyun nahi aaye Murtasim.Aap jaise shaks se Pehle meri mulakat kyun nahi hui.
Murtasim:Kismat mein milna aise hi likha tha.Allah ne humare sath likhe hui the is liye hum mile.Allah kare humara yeh sath Jannat tak jai.Aur haa aaj ke baad rona maat.Tum mere liye Allah se mile hui sabse khubsurat Aur aziz tohfa ho.Is tohfe ke liye mein har waqt Allah ka shukar ada karta hu.

Murtasim kissed on her forehead and Meerab smiles.

In the mid night.

Meerab feels thirsty and go to take water in the kitchen.

She see some shadow go infront of her eyes.She goes to find out then someone touched her shoulder and she gets scared.

Meerab turned around and sees Murtasim.

Murtasim:Adhi raat ko yaha kiya kar rahe ho?
Meerab:Maine ek saya dekha yaha.
Murtasim:Neend mein Kuch dekh liya hoga.Saya kaha se ayega sab Filhal gehri neend mein hai.Chalo kamre mein.

Meerab also thinks maybe she mistaken something.They go to the room.

In the next day.

Meerab setting her closets and finds a letter in middle of her clothes.

"Jaisa dekh raha hai waisa hai nahi.Kuch chehra farebi hai yaha.Mukhote ki andar ki januwar se dur rehna.Woh kisi ko nahi bakshta.Bheriya hai woh.Bachke rehna tum."

                                                          ~Well wisher.

Meerab didn't know who sent it to her and who can be hide the true face in the behind of mask.

Author's note:How you like the chapter?

It's a humble request don't come to the conclusion before unfold the truth.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now