Chapter 4:

1.6K 80 7
                                    

Teri Arzo Na Mitta Sakay
Na Hi Jaan Tuj Pe Luta Sakay
Youn Tarap Tarap Kar
Jalay Magar Na Hi Aggan
Ko Dill Se Bhuja Sakay
Khamoshiyun Ki Zubaa
Samaj Mera Haal Kiya
Mein Bayaan Kro…
Mere Dill Mein Tuhi
Basaa Rahay Yehi Har Ghari Mein Dua Kroon

Meerab!!!!
Meerab gets out of the trance hearing her voice.
Meerab: Haan
Sarah: Kya haan kb se Bula rhi hoon. Video call pe bhi aisi stucked ho jese screenshot Laga ho.
Meerab: Nhi woh bs...
Sarah: Kya woh bs. Kb se Puch rhi hoon Kya hua aaj meeting mein aur tm ho k statue bani hui.
Meerab: Woh Murtasim..
Sarah: Mein tmse Rohail ka Puch rhi hoon aur tm Murtasim Bhai ki baat kr rhi ho. Hua Kya hai tmhen. Aur tmhaari aankhen red kyun hai. Royi ho Kya. Meerab what's wrong with you. Mjhe pareshani ho rhi hai ab.
Meerab: Sarah Murtasim wapis aa gya hai Pakistan.
Meerab iss waqt apne room mein bethi Sarah se video call pe baat kr rhi thi.
Sarah: Oh My God. Really!! Tou phir Tou problem set hai naa. Rohail k proposal ko ab Kaun entertain krega.
Meerab slowly takes her hand up to show her the engagement ring.
Sarah: Yeh Kya hai.
Meerab: I am engaged to Rohail now.
Sarah: But kyun. Ab Tou Murtasim wapis aa gya hai naa. Tm kyun Kisi AUR se Shaadi kr rhi ho.
Meerab: Haan woh wapis aa gya hai magar kch nhi badla. Meri Rohail se engagement ki BAAT sun k bhi usne koi reaction nhi dia. He was just shocked because nobody told him.
Sarah: Meerab maybe usse react krne ka time hi nhi Mila ho.
Meerab: Nahi Sarah. Mera andaza Galat tha. Murtasim k liye mein Sirf uski dost thi aur kch nhi. Itne Saal meine iss umeed pe guzaar diye k shayad woh wapis aaye ga. Mere liye. Magar woh nhi aaya. He never even thought of me during this whole time and I was stupid enough to believe he might also have feelings for me. But now it's enough. She wipes off her tears.
Meerab: It's high time that I should move on. Ab uske Samnay mein mazeed apna tamasha nhi bannay dungi. I am going to marry Rohail now so Murtasim ka chapter khatam ab.
Sarah: But Meerab tmhaari feelings ka Kya. Tm ek dafa usse baat Tou kro.
Meerab: Sarah please. Baba Jaan boht khush the Aaj. Meine unhen itna khush pehle kbhi nhi dekha. Sab ki Khushi aur bhalayi issi mein hai k mein Rohail se Shaadi krlun.
Sarah: Aur tmhaari Khushi! Tmhaari bhalayi! Tmhaari mohabbat! Woh Tou Murtasim hai naa.
Meerab: Nhi Meri khushi iss Ghar k logon se juri hai. Agar woh khush honge Tou mein bhi khush rahungi.
Sarah: Tm ek mushkil faisla kr rhi ho magar mein Dua krti hoon k yeh tmhaare Haq mein behtar ho.
Meerab nods and ends the call.
Itne saalon mein usse Laga tha k ab usse farq nhi parta. Ab shayad mohabbat nhi rhi magar Murtasim pe prne wali pehli nazar ne usse yeh bta diya tha k mohabbat aaj bhi utni hi jaan lewa hai. Aur ab zindagi mein pehli dafa usse apne hi jazbaat se khauf aaya tha. Agar yeh raaz aashkaar hogya Tou kitne log hurt hongy. Baba Jaan, Maa Begum, and Rohail ki family. Baba Jaan ko uski wajah se sharminda hona parega. Rishta toot Jayega.
Nhi Meerab!! Dil ka Dard sehna asaan hai magar mohabbat mein ruswai qubool nhi. Agar yehi qismat mein likha hai Tou ab koi aah koi aansoo nhi. She gets up from her bed and walks towards the dressing table. Looking at the mirror she wipes her tears. I am strong. She assured herself.
Dimagh ne Tou faisla suna diya tha magar Dil mehboob ki judai pe khoon k aansoo ro rha tha.

At Ansari' s House:
Rohail: Baba aap ne kaha tha k Sirf milna hai aaj. Tou phir yeh mangni. Aur aap ne Shaadi ki dates bhi de di. WTH. Meri life k decisions mjhse puche baghair aap kese le skty Hain.
Burhan Ansari: Tm ek intehai bewaqoof insaan ho. Smjhte nhi ho k woh koi aam larki nhi hai. Anwar Khan ki ekloti beti hai. Uske Naam pe jitni property hai tmhaari saat naslen bhi khayen Tou khatam na ho.
Rohail: Oh really. Aap ko paisay k elawa Kuch dikhta bhi hai. Aap jantay Hain k mein aur Saba....
Burhan Ansari: Khabardar Jo ab tmne uss larki ka Naam bhi Liya Tou. Jb tk tmhaari aur Meerab ki Shaadi nhi ho jati tm usse koi raabta nhi rkho gy.
Rohail: Aur yeh decide krne Walay aap Kaun hote hain.
Burhan Ansari: Mat bhoolo apne baap se mukhatib ho tm.
Rohail: Haan woh baap jisse apne bete se zyada daulat pyari hai. Aap kyun nhi smjhte. Mein Meerab se Shaadi nhi kr skta. Mein kbhi usse khush nhi rkh skta.
Burhan Ansari: Tm bs Shaadi krlo. Baad mein bhalay hi jaise chahay rkho usse Meri bala se. Ek dafa nikkah ho jaye bs phir dekhna Anwar Khan kesi gulaami krega hamari.
Rohail: Magar Sach jannay k Baad woh talaq dilwa dengy apni beti ko balkay mjhe maar k bewa krdengy usse.
Burhan Ansari laughs evilly.
Burhan Ansari: Yehi Tou asal point hai. Khan Haveli mein talaq nhi hoti. Aur apni beti ko bewa kr k saari zindaga Ghar Bethany se behtar Anwar Khan k liye yahi hai woh hamari baat maan le. Tm bs dekhty jao. Ek dafa yeh Shaadi ho jaye phir tm Jo Marzi chahay kro mjhe koi aitraaz nhi hoga.
Rohail: Aur agar mein inkaar krdun Tou.
Burhan Ansari: Tou phir tm paalna apne khandaan ko akele. Kyun k Meri property ka ek rupiya bhi nhi milega tmhen. Chaar din khaak chano gy Tou khud pta chal Jayega k paisa kya cheez hai. Yeh Jo doctor banay phirte ho mat bhoolo tmhen license kese Mila hai.
He left the hall leaving Rohail behind.
I am sorry Meerab. Kash tm Anwar Khan ki beti na hoti Tou shayad tmhaare Sath yeh Sab na hota. Magar Meri liye Meri family zyada important hai. I can't see them suffer so I can't help you. Rohail mumbled to himself.

Zilhaal e Miskeen Where stories live. Discover now