At Singhania Mansion.
dresses finally aa gaye the, aur sabke rooms mai pohcha diye the...
Yn: dadi, yeh aise n??
Karuna yn ko phoko ka haar banana sikha rahi thi aur yn ne bhi bakhubi vaisa hi haar bana diya..
Karuna: aree wah meri bachi, kitna sunder bana hai...
Yn: sachi!!
Karuna: haa, abh mai yahi haar puja ke wakt bhagwan ki murti ko pehnaungi..
Yn smile karti hai...
Yn: dadi, abhi mai n yeshu di ko dekhkar aati hu..
Karuna: haa beta..
Yn uthkar Yesha ke room mai jane lagti hai...aur waha jane ke baad dekhti hai ki Yesha ko do dresses mai confusion ho raha tha..
Yesha: yn, inn dono mai se kaun si achi hai..
Yn: dono hi toh achi hai didi,
Yesha: wahi toh, mujhe abh inn dono mai samjh nahi aa raha hai ki konsa jyada acha lagega..
Yn: hmm, baat toh sahi hai kyuki dono bohot pyari dress hai..
Yesha: ek kaam karte hai, tum dono dress pehenkar mujhe dikhao phir hum decide karenge..
Yn: ma-mai.??
Yesha: haa tum jao jaldi aur pehenkar aao...
Yn: acha thik hai..
Yesha: pehle yeh blue wala..
Yn dress change karne washroom mai jati hai aur yesha uska patiently wait kar rahi thi par Yesha ka phone aata hai aur voh dekhti hai ki call Kabir ka hai...voh smile karti hai aur call pick karti hai..
Yesha call uthane ke baad thoda sa dur chali jati hai...you know privacy😏...voh Pardo ke piche chali jati hai.. unknowingly....
Aur tabhi room mai veer aata hai..
YOU ARE READING
𝐈𝐬𝐡𝐪 𝐊𝐢 𝐊𝐚𝐬𝐡𝐦𝐚𝐤𝐚𝐬𝐡
FanfictionVeer: Mere zindagi mai sirf teen chize mayene rakti hai, mera buisness, meri family aur mera ego. And miss Yn aapne mere Ego ki hurt kiya hai, mai jeete ji tumhe nark ki sair karva duna. Yn: Jab meri koi galti hai hi nahi toh mai kyu maafi mangu. Aa...