Meet

5 4 1
                                    

Continued...
3 Months later...

Rishabh- smriti 3 mahine ho gye hai uss hadse ko lekin tum abhi bhi vhi ho jha teen mahine pehle thi beta tumhe move on Krna hoga apne liye nhi Rudra ke liye, apne patients k liye jinko tumhari jarurat hai.
Smriti- papa mujhse nhi hoga mujhe kuch samajh nhi aa rha main kya karu.
Ariv- Di aapko un logo k baare mein sochna hoga jo aap pe dependent hai, please di.
Nisha- agar tum nhi Krna chahti toh koi baat nhi lekin kya pta kaam mein busy rehne se thoda tumhe pehle se thik lge.
Smriti- thik hai maa.
Anushka- Aditya mujhe samajh nhi aa rha mein apni pehle waali Smriti kaise vapas lau.
Aditya- dekho use time do vo khud samajh jayegi tum khud socho vo kis condition mein hai  she lost her boyfriend  agar tum usko jagah hoti toh shayad kbhi bahar hi nikal paati shock se, vo toh phir bhi khud ko sambhal rhi hai.
Anushka- vaise Aditya tumhare Bhai ki problems ka kya hua matlab uske night mares Kam hue kya.
Aditya- Aryan ka gussa control Krna jyada jaruri hai aur smriti abhi kaam shuru nhi ki hai tu maine khi aur consult nhi kiya.
Anushka- accha ek minute ruko I will call you later. Haa smriti bol tu thik hai.
Smriti- haa pehle se thik hun yrr ek bta main logo ki baatein samjhne ki condition mein hun ya nhi kyunki sab keh rhe ki main clinic jaana shuru krdu.
Anushka- haa bilkul aur Teri jarurat hai logo ko toh tu kaam shuru krde aur haa main kal Aditya aur uske bhai ko leke aaungi thik hai.
Smriti- haa ok.

Malhotra mansion

Ashish- avinash aaj board of directors ki meeting mein jo baatein Hui hai unko dhyan mein rakhke hi ye partnership krni hogi.
Aditya- papa par aapko nhi lagta conditions kuch jyada hi hai aur haa vo kal Aryan ke liye appointment Li hai maine psychiatrist k pass.
Nitya- haa jaruri bhi hai, bade papa uske night mares toh thik hai lekin gussa , gusse mein vo khud ko hi hurt kar le rha kal usne apna cabin ka vase tod diya sirf gusse mein.
Avinash- haa bhai ye log thik keh rhe hai.
Aryan- good evening everyone!
Aditya- kal tujhe mere saath khi chalna hai.
Aryan- kha kal itni mehnat se toh off liya hai aisa mat kro na please.🥺
Ruhi- Aryan Shanti se kal bhai k saath chle Jaan samjhe.
Aryan- ooook!!!

Next morning
Aditya- hello Smriti toh aaj hum aaye yaa nhi.
Smriti- haa aaj kaam continue kar rhi hun but pta nhi kyu aaj trust nhi ho rha.
Aditya-  hum sabko especially Rudra ko tum pe trust hai.
Smriti- I hope so.
Anushka- namaste uncle, aunty Smriti kha hai.
Rishabh- apne kmre mein anushka khyal rakhna uska.
Anushka- uncle main hun na.

At the clinic.
Aryan- Bhai kha le aao ho aap bhabhi se milane.
Aditya- tu kitna bolta hai teri shant rehne ki dawai lene aaye hai aur kal ka antique vase toda hai na man kar rha hai tujhe tod ke rakh dun.
Anushka- hi guys.
Aditya- Aryan ye hai aapki bhabhi.
Aryan- hi bhabhi kbhi socha nhi tha aap psychiatrist hongi.
Anushka- Hi! Aur main psychiatrist hun meri friend hai aur chaliya vo wait kar rhi hai.
Aryan- par hum toh aapse milne aaye the na.
Aditya- kisne kha hum anushka se milne aaye the, hum psychiatrist se hi milne aaye the chlo jaao.
Aryan- Bhai!!
Aditya- chlo jaao.

Smriti was sitting on her chair facing towards the wall Aryan enters but couldn't see her that she is sitting on the chair as she was facing the other side and ne says Good morning koi hai yaa main jau listening the voice she turns and our Aryan is just starstruck looking at smriti well anyone would be as our girl is an beautiful angel well it's a love at first sight for Aryan.

Aryan- wow!!!
Smriti- sorry 😐
Aryan-I mean are you seriously a psychiatrist.
Smriti- kyu aapko proof Dene k liye apni degree saath leke Bethun.
Aryan- I am sorry but I did not mean that.
Smriti- Aditya mujhe bta rha tha ki aapko night mares aate hai aur aap kaphi short tempered hai.
Aryan- haa.  mujhe samajh nhi aata jab gussa aata hai toh main kya karu main kisi ko hurt bhi nhi Krna chahta.
Smriti- kya main aapke night mares k baare mein jaan sakti hun.
Aryan- haa mujhe like humesha ek hi night mare nhi aata it's like mujhe kuch cheezo se related bhi nhi aata but ek cheez common hoti hai ki I am running main kisi se bhaag rha hun.
Smriti- aapko sabse jyada gussa kis cheez se aata hai.
Aryan- papa jab compare krte hai mujhe, bhai aur Nitya ko tab, jab main fail ho jata hun apne plans mein tab aur jab mujhe khud pe hu believe nhi hota tab.
Smriti- ok so hum aapki therapy start karenge kal se so I will need your time .
Aryan- no problem at all waise aapki jaisi khubsurat psychiatrist k liye time kya main kehta hun main aapke Ghar hi chalte hai.
Smriti- excuse me.
Aryan- mera matlab baar baar aane se toh accha hi hai.
Smriti- iski koi jarurat nhi hai hum aapki cognitive therapy ke sessions hum aapke sham mein karenge jab aap office se free ho jayenge tab.
Aryan- waise ek baat bolu??
Smriti- nhi. Mujhe bolne dijiye usually anger issues childhood traumas yaa apke disturbing past ki vajah se hota hai iske usually 5-20 weekly sessions hote hai 45 min each toh hum aapke sessions start karenge kal se I hope I am clear aur ek baar aapke anger issues thik ho jaaye aapke night mares khud ba khud thik ho jayenge.
Aryan- thank you. Well kya main Jaan sakta hun ki aap single hai kya??
Smriti- kya aap mujhse flirt kar rhe hai??
Aryan- are aapse main kaun hota hun flirt karne waala meri toh saari pick up line hi khatam ho gyi hai but phir bhi main ek try Krna chatha hun.
Smriti- excuse me.
Aryan- listen... Smriti you are so cute that you made me forget my pick up line.
Smriti- hello Aditya tumhare Bhai ka session complete ho gya hai le jaao ise yha se.
Aditya- accha ok.
Aryan- well smriti aapko pta hai mai jab aaya toh aapko dhundh rha tha par aap toh yhi thi bas fark itna hai ki aap mujhe dikh nhi rhi thi toh iss situation pe aapke liye mere paas kuch hai dikhu.
Anushka- kya dikhana hai bhai.
Aditya- hume bhi toh dikhao.
Aryan- accha ruko

Aryan- ye aapki situation pe bilkul match krti hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aryan- ye aapki situation pe bilkul match krti hai.
Anushka- haa saachi ( dies in laugh).
Smriti & Aditya- are you guys serious 🙄
Aryan & Anushka- yes we are 🤣
Smriti- Aditya tum sure ho ise hi night mares aate hai ye night mares ko nhi aata mujhe lgta hai kuch dino mein mere pass iske night mares aayenge apna ilaj Krane.
Aditya- I am sorry ye aisa hi hai but ye sach mein bohot pareshan bas dikhata nhi hai.
Smriti- I know.
Aditya- chle.
Aryan- haa..ek minute.. smriti waise main aapko ek baat btana bhul gya ki aapki aankhein bohot sundar hai ❤️.

And they left but Smriti she is just lost ,lost in thoughts of what happened today, lost in thoughts of Rudra and lost in thoughts of her first meet.

What do you think would have been the reason of Aaryan's night mares??
What childhood traumas did Aryan face??
What do you think of their first meet??

To be continued....

Miss Brain & Mr love Where stories live. Discover now