Chapter 8

90 12 3
                                    



Raat ke waqt woh apne bed pe bethi hui thi aur samne TV pe choti awaaz pe koi drama chal raha tha jisme kisi saas aur nand ki kii jane wali koi sazish dikhayi jaa rahi thi aur woh bagair kisi gehri soch ke TV ko dekhi jaa rahi thi jab ke uska dimaag poori tarah apni zindagi ki baaki ki aur baato me uljha para tha.

Kabhi kabar woh beth ke socha karti ke kaash uske paas koi itni achi dost hoti jisse woh apne dil ki har baat kar paati magar uski khuwaish sirf khuwaish hi thi shayad. Uske paas Oma thi jinse kabhi kabar woh baat kar liya karti thi magar phir bhi woh humesha bura mehsoos karti thi.

Najane kis soch ke tehet uska haath apne mobile pe gaya aur usi gair haazir dimaag se usne number mila diya tha magar phir jab teen bell gayin tab use yakdam ehsaas hua tha ke usne kya kiya tha? Usne foran call kaati thi aur apna maatha thaam liya aur uth bethi. USke khule baal uske kamar pe khule hue the aur 27 saala chehre pe is kadar mushkilaat aur tension ke asaraat zahir the ke woh us lamhe me bas thakawat mehsoos kar paa rahi thi.

Jab uska mobile kuch hi lamho baad bajna shuru hua to usne thithak ke apne mobile ko dekha aur ek gehra saans le ke baalo ko kaan ke peethey arste hue call utha li magar khamosh bethi rahi. Khamoshi kuch lamho ke liye chayi rahi phir dusri taraf se awaaz aayi.

"Eyila?"

"um..jee?"

Usne us bhaari awaaz ka jawab hichkicha ke diya tha.

"Kuch hua hai?"

Usne puch to awaaz me Eyila ko fikar mehsoor hui aur jese woh shayad is fikar ke intezar me bethi thi. Use kahin se bhi mil jaati kisi se bhi mil jaati. Ankhe is raftaar se bheegi aur kab ankho se gaalon ka saafar khamoshi se teh kar gayin use maloom hi na hua tha.

"N..nahi"

Rundhi awaaz me woh boli to agli taraf khamoshi chaa chuki thi aur Eyila ab dabi siskion ke saath rona shuru ho chuki thi. Kaafi lamhe guzar gaye aur Dheemi magar sanjeeda awaaz dusri taraf se aayi thi.

"Kisi ne kuch kaha hai ya kiya hai?"

Zalaan Alamgir ki sard awaaz me aane wale do touk sawaal ka jawab uske dene se pehle hi Eyila ko ghar ke darwaze ke bahir se kisi ke darwaza kholne ki awaaz aayi jis pe uska dil uske halak me aa gaya tha. Chehre pe khouf ki leher ubhri thi. Darwaza zor se kholne ki koshish dubara ki gayi thi. Eyila apni jagah se uth khari hui.

"Z..Zalaan..koi...ghar me ghusne ki..koshish kar raha hai.."

Usne kampti hui awaaz me haath me pakre phone ko kan pe laga ke kaha tha.

"Main aa raha hun. Bacho ke paas jao Eyila bahir mat nikalna jab tak main wahan na aa jaun"

Usne use hidayat ki hi thi tabhi dubara darwaza zor se baja to Eyila kitchen ki taraf bhaagi aur kaamte haatho se khaane khol ke unme se churi nikali aur haath me pakar ke Bacho ke kamre tak gayi aur dheere se unke paas khari ho gayi magar khamoshi se taake bachey na uthen.

Uska poora jisam us waqt kaamp raha tha aur jese use Khawaar ki baat yaad aayi thi jab usne kaha tha ke kuch log uske baare me puchte phir rahe the. Woh sheeshe ki taraf gayi aur apni building ke bahir nazar aane wale mazar ko dekha jahan use mu ko chupar khare do unche siyah kapro me malboos log nazar aaye jo idhar udhar nazar rakhe hue the. Woh dono ankhey aur maathey ki rangat se bahir ke hi lagte the. Unme se ek ki nazar upar ko hui aur use dekhte hi unho ne apni jaib se kuch nikala tha Eyila foran neechey beth chuki thi.

Apna dil thaame woh ek haath ko apne mu pe rakhe apne khouf ko kisi tareeke se dabane ki koshish me thi. Najane woh kitni der tak waise hi bethi rahi thi aur use maloom na tha kab bahir ki awaazen khatam huin thi. Uske hawaas tak kaabu me aaye the jab use bahir se pukarne wali shanasa si awaaz aayi thi. Woh uthi aur bahir ko Dheeme kadmo se bhari aur darwaze me se bahir dekha to Zalaan ko dekh ke usne darwaze ko khol diya.

Marham e ishqWhere stories live. Discover now