4. ASKING FOR HELP

224 44 12
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊
......................................................................
It was sunday and as promised Monami planned the whole day with her daughter but she was immediately called in for an emergency. When Aditi came to know about that, she got really upset. Monami said...

Monami (Holding her ears) - Sorry na bache... Mumma ko maaf kardo magar mumma ko jaana hoga. Mumma naa nahi bol sakti hai na unhe...!!!

Aditi (Almost in tears) - Aap hamesha aisa hi karte ho, Mumma...!!! (In her baby anger) Mujhe aapse baat nahi karni. I'm katti with you, Mumma. Mujhe Bade Papa se baat karni hai. Mujhe unse baat karao, Mumma... Abhi...!!!

Monami (With a smile) - Acha... Acha... Fine, meri tantrum queen. Karvati hu main aapke Bade Papa se baat.
-------------------------------------------------------
Aarav (Excitedly) - Kya aap sach me chhutti le rahe hai, Daddy?

Karan (Caressing his head affectionately) - Haa... Kitna time ho gya hai na hume ek sath time spend kiye hue? To aaj Daddy ne apne buddy ke liye chhutti le li. Jaa ready ho ja, hum kuch plan karte hai.

Aarav (Excitedly) - Yes, Daddy...!!! Magar Adu bhi hoti to kitna acha hota na? Aur Chhoti Maa bhi.

Karan (Nodding his head) - Haa... Ye to hai... (With a big smile) Unhe call kare?

Aarav nodded his head excitedly and he was about to make a call to Monami but at the very same moment, Karan's phone rang and when he saw the Caller ID, he smiled and answered the call...

Karan (With a smile) - Are Monami, main abhi aapko hi call karnewala tha. Acha hua, aap ne hi call kar liya.

Aditi (Almost crying) - Mujhe aapke pass aana hai, Bade Papa. Mumma ko fir se kaam hai. Vo aaj bhi Adu ko chhodkar jaa rahi hai apne office.

Karan (While sitting straight) - Aditi... Aap ro rahe ho, bache? Mumma kaha hai? Mumma ko phone do.

Aditi just gave the phone angrily to Monami and ran towards her room. Monami said...

Monami (While putting the phone near her ear) - Aditi, meri baat to suno beta...!!!

Karan - Kya hua, Monami? All good?

Monami (Taking a deep breath) - Nahi... Sab thik hai bas... Adu mujhse gussa hai. Humne ye sunday sath me bitane ka plan kiya tha but mujhe headquarters jaana pad raha hai urgently. Usi Pacific Mall wale case ke baare me. Agar possible hota, to main mana kar deti but sidha Chief ka call aaya hai. Mujhe to samjh nahi aa raha ke main ab use kaise manau.

Karan (Reassuringly) - It's okay, Monami. Vo abhi chhoti hai, aapki job ki seriousness ko vo abhi nahi samjh sakti. Aap ek kaam kyu nahi karti... Use yaha mere pass chhod dijiye aur jab aapka kaam khatam ho jay, to mere yaha aa jayiyega. Dinner sath me hi kar lege... Aur fir... (A bit hesitantly) Mujhe aapse ek madad bhi chahiye.

Monami (Confusingly) - Mujhse? Mujhse kya madad chahiye aapko, Karan? Kuch serious hai kya?

Karan (Taking a deep breath) - Hai ek baat. Phone pe nahi ho sakti, Monami... Aur main ye bhi nahi chahta hu ke aapke aur aapki team ke alava ye baat kisi aur ko pata chale, to ghar aa jayiye. Milkar baat karte hai.

Monami (Nodding her head) - Thik hai, Karan. Main Adu ko lekar abhi aadhe ghante me pohoch jaugi and Karan... Please use sambhal lijiyega. Aap to jaante hi hai ke mere kaam ki wajah se mujhe sabkuch pichhe chhodna pad sakta hai but Adu vo nahi samjh payegi. Jaise aapne kaha vo abhi bahot chhoti hai.

Karan - Main samjh raha hu, Monami. Aap befikar rahe. Main dekh luga.
-------------------------------------------------------
It was finally 7 in the evening and she was on the way to his place. Aditi and Aarav were excited and were waiting for her to come. When she entered inside his house, both the kids hugged her immediately. She asked...

UNCHAHE RISHTEY KI CHAHAT HO TUM...!!!Where stories live. Discover now