A man in royal attire was pacing to and fro outside a room from where struggling and sounds of chains could be heard. Tears rolled down his cheeks. He felt a hand on his shoulder and turned to see a woman, basically his wife. Both were in tears.
“Humein apne betay ke saath ye sab hota dekh kar bilkul achha nahi lagta Padmaavati, hum itne lachaar hain, roz apne betay ko aise tadapta dekhna parta hai, kab ho ga humara beta theek? Kab khatam ho ga ye shraapt? Kab milay gi humare betay ko shraapt se mukti? Kab ho ga wo shraaptmukt?”
P~himmat se kaam lijiye Thakur jee, dekhna bohat jald wo shraaptmukt ho ga, bohat jald us ki ye tadap mit jaaye gi
T~magar kab Padmaavati? Ab aur nahi dekha jaata
P~Bhagwan par bharosa rakhiye. Jahan shaitaan hota hai wahan Bhagwan bhi hota hai.
They shed tears.
*******
On the other side, a cries of a girl who's face looked somewhat burnt, could be heard. A man was banging on the door.
“Rajkumari, beta Preeta, darwaza kholiye, humari jaan nahi hain aap? Humein bhi ye sab karna achha nahi lagta, hum jo kar rahay hain aap ki bhalaai ke liye kar rahay hain bachay, aise udaas mat hoiye.”
Pr~hum nahi kholengay darwaza, aap hum se bilkul prem nahi kartay baba, bilkul prem nahi kartay. Kya achha nahi lagta aap ko? Aap ko bohat achha lagta hai humein aise kaid mein rakhna, hum par niyam laagu karna ke raat se pehle ghar aa jana, raat mein kaheen bahar mat jaana, ghutan hoti hai, aakhir hum bhi insaan hain, kab tak jhelengay ye sab? Aap aur maa dono hum se bohat prem kartay hain, bas humein apni kaid mein rakhtay hain, humare aansuo’n ki koi parwah nahi aap ko.
“Aisi baat nahi hai betay. Hum baba hain aap ke. Aap humari iklauti aulaad hain, aap se prem nahi karengay kya hum? Humari jaan basti hai aap mein. In sab ki ek wajah hai mere bachay, aap roti hain toh hum bhi rotay hain, darwaza kholiye meri jaan.”
A woman came.
“Preeta bacha, darwaza kholiye, darwaza kholiye beta.”
Pr~jaiye yahan se, kam se kam rone par niyam na lagaiye, jaiye
The duo backed off sadly.
“Lakshmi, humari beti ke ye aansoo hum se nahi dekhay jaate, jald se jald kuchh kijiye, hum bhi chahtay hain wo aazad ho kar jiye, humari rooh kaanpti hai us ki roti aawaz sun kar, aaj tak us ke kamre mein hum ne aaina nahi rakha, agar wo khud ko dekh lengi toh un ka dil toot jaye ga.”
L~Shankar jee, chahte toh hum bhi hain wo aazad rahay, doosre bacho’n ki tarah, kya karein magar? Humari bachi ko jo shraapt hai, kaise bataein usay is ke baare mein?
The duo hugged each other while crying.
Coming soon on 5 October 2023
Cover page
YOU ARE READING
Shaapit (Completed)
FanfictionWith prince Karan and princess Preeta being cursed since birth, Karan is to be tied in chains every night as he becomes bloodthirsty and Preeta's face turns ugly after dawn. What may happen when their paths will cross with each other? How will the c...