Naitik Meets Akshara

1.7K 90 5
                                    

Naitik comes to Akshara's house. Akshara and Abhimanyu are happy to meet him. Naitik spends time with Akshara by cooking pan cake with her while telling het the stories of his princess Naira.

He tells both Akshara and Abhimanyu how he and his Akshara always been for each other and crossed all hurdles. And Naira was a lioness. He also tells them his meeting with Harsh and tells Abhimanyu to give his father a chance.

Naitik takes Abhimanyu and Akshara to Birla House. Goenkas Krish, Kirti and Naksh also come there.

Aarohi : Yeh Akshara toh puri sena hi leke aagayi

Manjiri: Abhi? tu ise yaha kyu leke aagaya?

Abhimanyu: Maa, kyunki yeh iska bhi ghar hai

Manjiri : Nahi Abhi, yeh yaha nahi aayegi. Anand Bhaisahab ise yaha se jaane ke liye keh dijiye

Anand: Nahi Manjiri, mai aisa nahi keh sakta. Tum bhi janti ho ki yeh galat hai. Par Abhimanyu iss waqt tumhe Akshara ko yaha leke nahi aana chahiye tha

Mahima : Ha Abhimanyu. Aur Akshara tumhe bhi toh samajhna chahiye jaanti ho na ghar ke halaat kya hai? phir bhi tum chali aayi

Akshara: Toh kya karti Taiji? Apne hi ghar se dur kaise rehti? Taiji kya aap aur Tauji bhi mujhe iss sab ka zimmedar mante hai?

Anand and Mahima look at Manjiri and become quiet

Naitik: Please jawab dijiye.
Manish : Ha, jawab dijiye

Aarohi : Bade Papa.. aap bhi iski side le rahe hai? jaante hai na aap isne mere saath kya kiya hai. iski wajah se aaj mera pati...
she starts shedding tears

Manish: Ha acchi tarah se jaanta hu ki us din waha kya hua tha. Neil khud Akshara ko car mai lock karke akele un gundo se bhidne gaya tha

Manjiri : Par Akshara use rok sakti thi na? kyu jaane diya use akele?

Abhimanyu: Maa aapko kya lagta hai Akshara ne nahi roka hoga? bilkul roka hoga. isiliye Neil ne use lock kar diya taaki woh use bachane aakar khud ki jaan khatre mai na daalde

Kairav: Aur Aaru tu, har baat ka blame Akshu pe dalna band kar.

Vansh : Aaru jara soch Neil ko agar yeh pata chala ki tune uski wajah se Akshu ko kitni taklif di hai toh kya woh tujhe kabhi maaf karega?

Krish : Maaf toh ise iski Maa ne bhi nahi kiya hoga, jo itna jhuta ilzaam isne unki maut ka apni behen pe lagaya. Har baar apni maa ke maut ki dhaal banake isne Akshara pe vaar kiye hai. Ab pati ke haalat ka bahana leke Akshara se bair bana rahi hai

Aarohi : Aap mere matter mai bich mai mat boliye.

Swarna: AAROHI

Aarohi : Badi Mumma please aap apni chahiti Akshu ko yaha se le jayiye.

Mahima : Ha Swarnaji please aap Akshara ko lejaiye iske yaha rehne se Aarohi aur Manjiri ki tabiyat kharab hojayegi

Naksh: Kyu? Kya humari beti koi bimari hai? jiske hone se tabiyat kharab hojayegi

Kirti: Inlogo ka toh dimag hi kharab hai Naksh.

Krish: Aur mai kyu na bich mai bolu? baat meri behen ki hai.

Naitik : Manishji agar inlogo humari bacchi se itni hi takleef hai toh use bahu banake laaye hi kyu yeh log?
socha tha samjha bujha ke sab thik kardenge. Par yeh log toh padhe likhe hoke bhi gawaro jaisi thinking wale hai. Akshu, chal beta.

Abhimanyu: Agar Akshu yaha nahi rahegi toh mai bhi nahi rahunga. Mai bhi jaa raha hu

Manjiri : Nahi Abhi. Tu kahi nahi jaayega

Abhimanyu: Sorry Maa. Mai aapki yeh baat nahi maan sakta

Everyone is about to leave. Meanwhile Nurse comes running from upstairs

Kahani Abhira Ki Where stories live. Discover now