Chapter 8

109 10 6
                                    

Y/n room mein aati hai aur samne ka nazara dekhke usski aankhein phat jaati hain aur nazara yeh tha ki..................... armaan................. bathroom se bahar aaya tha nahake aur ussne sirf ek towel baandhke rakkha hua tha apne waist pe yeh dekhke y/n jaldi se doosri taraf ghoom jaati hai

Y/n- I-i am really sorry m-mujhe knock karke aana c-chahiye tha.

Armaan- K-koi baat nahi hai haan par a-aayinda se khayal rakhna.

Y/n- J-ji.

Aur y/n light ki speed se wahan se bhaag gayi aur iss hi wajha se pata nahi par kyun armaan ke chehre pe ek smile aa jaati hai

Time skip
Next day

Armaan ki neend noor ke giggle karne aur hasne se khulti hai aur woh dekhta hai ki y/n usse tel laga rahi hai phir woh usse nehlane ke liye le jaati hai thodi der baad woh aati hai aur dekhti hai armaan uthke baith gaya hai

Y/n- Jaaiye jaake naha lijiye.

Armaan- Hmm.

Aur armaan apne kapde aur towel leke nahane chala jaata hai y/n noor ko taiyar karne ke baad darishta ke paas deke aa jaati hai kyun ki usse bhi toh nahana tha na thodi der baad armaan bathroom se nikalta hai aur phir y/n apne kapde leke chali jaati hai nahane

30 minutes later

Y/n bathroom se bahar aati hai aur dekhti hai armaan mirror mein dekhke apne back aur neck pe balm lagane ki koshish kar raha hai y/n usske paas jaati hai

Y/n- Dijiye main laga deti hoon.

Armaan- Arre nahi nahi main-

Y/n- Dijiye bola na.....

Aur armaan phir balm y/n ko deta hai aur y/n usske gardan pe aur kamar pe laga deti hai

Armaan- Thank you.

Y/n- Arre koi baat nahi, waise ek baat bolun?

Armaan- Bolo.

Y/n- Aap ab se please bed pe hi soiye couch pe sone ki wajha se hi aapke gardan aur kamar mein dard ho raha hai, aur mera mat sochiye main couch pe so jaungi.

Armaan- Couch pe sone se ager mere kamar aur gardan mein dard ho sakta hai toh tumhe nahi hoga.

Y/n- W-woh baad mein dekh lenge-

Armaan- Tum bhi bed pe hi sougi.

Y/n- Par-

Armaan- Koi problem hai tumhe?!

Y/n- J-ji nahi.

Next scene

Armaan office aa jaata hai par usska dimaag kahin aur hi tha

Armaan in mind- Woh mere liye noor ke liye aur mere ghar ke liye kitna kuch kar rahi hai kya main usse usska haq- Nahi nahi nahi yeh kya soch raha hoon main aisa nahi ho sakta kabhi.

On other side

Y/n noor ke sath khel rahi thi kyun ki saara kaam toh ussne kar hi liya tha ghar ka

Y/n- Baccha aap kitne lucky ho aapke zindagi mein sirf 3 hi hain eat sleep repeat par jab aap bade ho jaoge na toh aapko bhi bohot saara kaam karna padega par uss mein abhi bohot time hai.

Noor bas y/n ko apne bade aur cute eyes se dekh rahi thi phir doorbell bajti hai toh y/n noor ko leke hi darwaza kholne jaati hai

Y/n- Arre aaj aap itni jaldi aa gaye?

Armaan- Haan woh....tu-tum se kuch baat karni thi room mein aa jaana.

Y/n- Oh.

Y/n jaake noor ko darishta ke paas deke aati hai

Y/n- Ji kahiye.

Armaan- Y/n......... dekho i-i am sorry ke maine itne dino tak tumhare sath itna bura behave kiya please mujhe maaf kardo (sob).

Y/n- A-arre aisa mat boliye m-mujhe aapki baaton ka bura nahi lagta tha.

Armaan- Jhooth, tum mujhe khush karne ke liye bol rahi ho na?

Y/n- A-aisi baat nahi hai bas- (sigh) haan mujhe thoda bura l-lagta tha (sob) Pa-

Armaan y/n ko aage kuch kehne nahi deta hai aur usse hug karta hai aur rone lagta hai

Armaan- I am r-(sob) really s-sorry y/n (sob) maine tumhe bohot takleef di hai.

Y/n- Please chup ho jaaiye, dekhiye warna phir hum bhi rone lagenge (sob).

Aur yeh sunke armaan rona band karta hai

Armaan- Tum mujhse gussa nahi ho na?

Y/n- Bilkul bhi nahi.

Woh armaan ke aansoo ponchte hue kehti hai

Y/n- Ab rona bandh kijiye warna aapki behen mujhe marne ko aa jaayegi.

Yeh sunke woh dono hi thoda haste hain

To be continue

Pata nahi kaisa hua hai comment mein batana please

Bye bye~~😊💜❤️

FanaaWhere stories live. Discover now