JUNOON : CHAPTER 1

7 1 0
                                    

Ek ldki thi masoom si uski masoomiyat uska bholapan uski kamzori thi lekin usko yeh nhi pata tha ki uski zindagi ki kahani ek Naya mod lene wali thi jo usko lg rha tha ki uski zindagi mein kuch nhi bacha sb khtm ho chuka hai vo glt lgta tha kyuki uski kahani khtm Hui thi lekin puri nhi hui thi uski kismat ab bhagwan nhi koi aur likhne wala tha

Shivya , vo masoom ldki thi jiski dastaan ab mein btaungi aaj vo din hai jiske bare mein usne kbhi nhi socha tha uske ghr mein sb kuch sahi tha sb khush the prr jo uske sath aaj hone wala tha uska usse andaza tk nhi tha vo apne bade se ghr ke bade se chhat pe khadi apni pariyon ki kahani ko soch rhi thi usse lgta tha ki sb kuch uske sapno k hisaab se ho skta tha

Lekin kismat ne aaj tk kiska saath Diya tha jo uska deta vo apne khyalo mein dubi upr se apne bhaiyon ko nachte gaate khushi manate dekh rhi thi peeche se ek esa insaan aata hai jiske bare mein soch ke hi uski rooh kaap jati hai jiski aahat se uska sapna tut k bikhar jata hai jiska drr uski rooh k andar tk bas chuka hai vo ghabrate drte hue peeche ghumti hai toh vo apne sbse bade drr ko apne saamne pati hai

Uska baap uska drr hai vo insaan kehlane k layak tk nhi hai usne uske sath kya nhi Kiya usse mara Peeta usko torcher kiya iss hadd tk ki vo jeene ka mtlb bhul Jaye usko ek zinda laash bana Diya usne sirf isliye ki vo uski zindagi mein aayi uski zindagi kharab ho gyi jb ki usko pata tk nhi ki usne Kiya kya hai uski glti bss itni thi uska baap ek janwar tha ek esa janwar jise na toh kisi ka drd dikhta hai na toh uske sath uska rishta ki vo kiske sath esa kr rha tha beti hai vo uski lekin ab vo nafrat krti hai usse , usse aur hrr admi se

Jb vo piche ghumti hai toh ghabrati hai drti hai kaapne lgti hai ki usse ab kaun bachaega kyuki vo itna sehem chuki thi usse lekin phir vo vhi krta hai Jo vo krta aaya hai usko maarna peetna uske baal se ghaseet te hue usko neeche Lana aur dobara sbke saamne usko drana vo vha peet ti rhi aur uske ghr Wale tamasha dekhte rhe vha khade kisi insaan mein itni himmat ya itni takat nhi thi ki usko bacha ske aur usme bhi ab himmat aur nhi bacchi thi lekin vo vha se bhaagti hai chupke nikal jati hai vha se ek sunsaan raaste pe Andheri raat mein akele jaha kuch dikhayi nhi de rha tha aur usko toh pata bhi nhi tha ki usne jo kadam uthaya hai uska nateeza kya niklega lekin phir bhi ek baar phir apni kismat ko aazmane nikli thi vo

Chalte chalte vo apne ghr se itna dur aa chuki thi ki lautna mushkil tha vo chup chap chalti gyi lekin itne drd mein vo chlti bhi kitna jb thak k drd se gir gyi toh vha ruk ke sochne k alawa koi aur dusra raasta nhi tha uske paas

Vo tay krti hai ki usko rehna toh issi sheher mein hai kyuki usko uska badla chahiye tha vo vha se uth ke itni dur aa jati hai ki uske ghr Wale uss tk pohoch na paye

Aur yaha aakar usne rehne k liye jagah dhoondna shuru kar Diya kyuki agr ese hi vo sadkon pe ghumti rhi toh koi na koi usse pehchan lega kyuki vo dur aayi thi apne ghr se sheher se nhi apna vo purana wajud mitane apni nayi pehchan bnane taki usse koi dhoond na paye mushkil tha prr jo uske sath hua usse zyada toh nhi

Chalte chalte subah ho jati hai usko nhi pata tha ki vo jis raaste aa chuki thi vaha se lautna namumkin tha uski Puri zindagi likhne wala uska intezar kr rha tha aur uss likhne wale ko pata tk nhi tha ki vo kisi ka bhagwan bann jaega vo toh pyaar ke naam se bhi nafrat krta tha lekin ab vo ek nafrat ki daastan mein Ishq ka rang milaega "Nafrat aur badla uska , pyaar aur badla lene ka chehra yeh bnega"........

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 26, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

JUNOON : MAAN LO TOH SACH , JAAN LO TOH JUNOONWhere stories live. Discover now