memory

113 4 2
                                    

Aaj dulhan ke lad jode mein
Uski sahiliyo ne usey sajaya hoga
Meri jaan ke ghore hathon par
Sakhiyo ne mehendi lagaya hoga
Bohot gehra charega
Mehendi ka rang
Uss mehendi mein usne kisi or ka
Naam chupaya hoga
Reh rehkar ro padegi jab bhi
Usee mera khayal tho aaya hoga
Khudko dekhegi jab aaine mein
Tho aksh usko mera nazar aaya hoga
Lag rehi hogi ek sundar si bala
Chand bhi usse dekhkar sharmaya hoga
Aaj meri jaan ne apne maa baap ki
Izzat ko bachaya hoga
Usne beti hone ka farz nibhaya hoga
Mazboor hogi woh bohot jada
Kaise khud ko samjhaya hoga
Apne haatho se usne humare
Prem khato ko jalaya hoga
Khud ko mazboor banakar
Usne dil se meri yaadon ko
Mitaya hoga
Bhuki hogi woh mein jaanta hu
Pagli ne kuch na mere
Begair khaya hoga
Kaise sambhala hoga khud ko
Jab fairo ke liye usse bulaya hoga
Kaanpta hoga jism jab pandit ne
Haath uska kisi aur ke haath
Thamaya hoga
Ro rokar bhura haal ho jayega uska
Jab waqt vidaai ka aaya hoga
Ro padegi aatma bhi
Dil bhi chika chillaya hoga
Aaj usne apne maa baap ki izzat
Ke liye usne apni kushiyon ka gala
Dabaya hoga

Finish

Waqt khatam ho jaate hai
Par yaade nehi
Kushi ke yaade fir
Dard ke aasu rulate hai
Waqt ke saath kuch thik nehi hote
Hum bas thik rehna Sikh jaate hai

❤️❤️❤️

love lifeWhere stories live. Discover now