part:- 49

1K 91 8
                                    

Jimin Shreya ko bridal style mein uthakar ander Wale bed pr rakh deta hai....

Shreya:- kya kar rahe ho aap?

Jatin:- wahi jo tumko karna chahiye tha pr afsos vo bhi mai hi kr raha hu...
Ab batao dawaiya kaha hai sari?

Shreya:- arey hum le lenge

Jatin:- dikh Raha hai mujhe kitna le Rahi ho....jaldi batao kaha hai..

Shreya:- waha uper wale shelf mein hai.....rukiye apki shayad height na pohche....waha stool rakha hai uski help le Lena....

Shreya ne jatin ki height or comment Kiya or jatin usse Jane deta Aisa ho skta hai?

Jatin:- acha madam toh tum ab baithe baithe meri height ka majak udaogi??

Shreya anjan bante hue:- majak? Humne toh koi majak nhi udaya...ab sachi baat lag gyi toh hum kya kar sakte hai....

Jatin:- tumhe toh Mai baad dekhunga.....ruk jao bas tum 1 mahina....or rahi baat height ki toh abhi dekhna tum....

Jatin bas dikhne mein Chhota lagta tha kyu tahir or Jay usse lambe Thai pr iska matlab ye nhi ki vo Chhota hai vo bhi kafi lamba tha..... Jatin jata hai or Aram se uper wali shelf se dawaio ka box nikal leta hai or fir Shreya ko smirk 😏 dekr bolta hai.....

Jatin:- asli takat apni hum baad mein dikhayenge apko....

Ye sunkar Shreya bilkul hi Sharma jati hai.....or apne muh pr kambal rakh leti hai....or jatin hasne lagta hai...

Yn's pov.....

Yn ki dance practice lagbhag ho hi gyi thi.... Tabhi uske phone pr hospital se call aata hai.... Jisko sunkar vo Bina kisi ko kuch bataye hospital ki taraf dodh padti hai.....

At hospital...

Yn bhagi bhagi apni maa ke kamre mein jaati jahan uski maa bilkul hosho hawash mein bathi thi or uske sath koi or bhi samne baitha hua tha....

Yn apni maa ko aise dekh rone lagti hai...

Maheshwari ji:- arey meri bachi wahi se roti rahogi yaa mere pass bhi aaogi?

Yn:- bhag kar gale lag jati hai apni maa ke or kuch der rone ke baad yn apne ko maa se alag kr bolti hai..

Yn:- mummy! Kitni der laga di na aapne utne mein? Mujhe kitna akela mehsoos hua hai na...(itna bol yn jor se rone lgti hai)

????:- yn ji ab toh aunty uth gyi hai na kmse Kam iss mauke pr toh hassiya taki unhe or bhi behtar Lage...

Tabhi yn ka dhayan uss awaz pr jati hai or usko realise hota hai ki uske alawa bhi waha koi tha....yn jaise hi uski taraf apna chehra ghumati hai taise hi usse dikhta hai.....

NISHANT.....

yn bilkul chok jati hai.... Or bolti hai

Yn:- aap yaha kya kar rahe hai Nishant ji?

Nishant hasta hai or bolta hai kuch nhi mai toh bas apna farz nibha raha tha....

Tabhi yn ki maa bolti hai...

Maheshwari ji:- arey tum dono pehle se hi jante ho ek dusre ko?

Yn:- ji maa ye mere boss ke cousin Bhai hai...

Maheshwari ji:- acha.... Beta ye khud toh batayenge nhi mai hi batati hu.... Dr ne mujhe btaya hai ki Mera ye injection lgane ke baad ka jitna bhi bill hai sab Nishant ne pay Kiya hai or injection wagera ki bhi sari responsibility Nishant ne apne uper Li hai....Aaj agar mujhe hosh aaya hai toh sirf Nishant ki wajah se..

Yn ye sab sunte hai Nishant ke aage hath jod leti hai....

Yn:- Nishant ji apka bohot bada ahesan raha mujhpe... mujhe samjh hi nhi aa raha mai apka ye ahesan kaise utaru....

Nishant:- aap bas muskurate rahiye yn ji isse badhkar kya hai mere liye?

Yn:- bohot shukriya....

Nishant:- pr ghar par kisi ko mat batana ki ye sab msine...

Yn:- ji thik hai....

Nishant:- toh aap or aunty baatein kijiye mai aunty ke liye kuch acha sa healthy khana le kar aata hu...

Kuch der baat krne ke baad or maheshwari ji ko khana khilane ke baad waha doctor aajate hai....

Dr:- ok yn ji....ab patient ka rest krne ka time hogya hai mai aapse request krunga ki AAP kal aaye inse Milne.... Kuch light food banakar or salad or fruits wagerah ke sath....

Yn:- ji Dr... Itna kehkar vo apni maa ko gale lagti hai or Jane lagti hai...

Kuch der baad....

Nishant:- bohot ache buddhi ji.... Ab jaisa jaisa Mai kehta jau waisa waisa tumhe karna hai smjhi? Wrna ye dikh Rahi hai na Teri dono betiya? Dikhengi nhi.... Tujhse pehle ye bhagwan ko pyari ho jayengi..... Kal ka plan yaad hai na tujhe? Jaisa Maine kaha hai waisa hi karna.....

Tabhi nishant ka call bajta hai....

Nishant:- kya hai.... Kyu bar bar pareshan kr raha hai tu?

???:- sir tahir apne Ghar se nikla hai or shayad hospital hi aa raha hai toh aap jaldi se nikal Jaye....

Nishant:- thik hai smjh gya phone rakho ab....

Nishant wapis se maheshwari ji ke taraf ghumta hai or bolta hai

Nishant:- uss tahir ke samne tune apna muh khola na? Toh tu or Teri dono betio ki khopdi khol dunga..smjhi?

Maheshwari:- tadpega kameene tu tadpega..... Tu or Tera vo ashleel baap..... Dono ek jaise hi ho..... Pr mujhe mere bhagwan pr pura bharosa hai.....krle tujhe Jo krna hai lekin ter ye chehra Jayda din chhupega nhi ..... Bhala sach kabhi chhupa hai?

Nishant uska muh jor se pakad leta hai or apne daat gusse mein peeskar bolta hai ....

Nishant:- ek baar Mera kaam ho Jaye fir tujhe tere ussi bhgwan ke pass bhejunga vo bhi tadpa tadpa kar....

Or itna kehkar waha se chala jata hai....

Yn's pov.....

Yn jaldi se mandir jaati hai bhagwan ko dhanywaad krne......

Or sidha ghar pohchti hai jaha Shreya or aarohi pehle se hi mojood de..

Aarohi:- didi aap kaha chale gye Thai? Sab dhundh rahe Thai aapko....

Yn Khushi se sabko sabkuch bata deti hai...

Shreya:- mai aabhi dekhne Jana chahti hu ma ko...

Yn:- nhi Shreya Dr. Ne kaha hai kal....

Shreya rote hue:- nhi didi mai abhi jaungi....

Aarohi:- didi thik keh rahi hai Shreya kal hum subha uthte hi wahan jayenge thik hai?

Shreya:- thik hai....

Sorry late krne ke liye..... Meri chhutiya padi thi college ki toh Mai Delhi se lucknow wapis apne Ghar aayi Hui hai uper se 3 mahine baad aayi thi toh ghar walo ke sath bhi toh time spend krna Banta hai na? Isslie thoda late hogya.... Baki kaise hai hum sab log? Thand bohot hai toh chai peete rahe or apna dhayan rakhte rahe..... Bye take care all of you 🥰🥰

ISHQBAAZ Where stories live. Discover now