Happy Marriage Anniversary

213 1 3
                                    

Long chapter ahead!!



Riya- to suniye









Riya- college time par yn ek ladke pai puri Pagal thi like seriously crazy thi-

Jay- ek min bo tumhare hi college mai padta tha kya?

Riya- nhi sadly hamare college ka nhi tha par hamare college kai samne sai roj jata tha , or jante ho yn uspar pagal kab Hui thi...

Riya puri kahani bade aaram sai bata rhi thi or yn usse ek straight face kai sath dekh rhi

Sabko wedding sai jaida is kahani mai maja aa raha tha or especially tahir ko

Riya- jab us ladke ne khuch logo ko Peeta tha kyuki vo yn ko tang kar rahe the , hayee kya scene tha yn to mano us ladke sai ussi wakt sadi kar leti-

Yn- bas bas ha itna galat bhi mat bata

Riya flow flow mai apni feelings flow kar rhi thi itne yn ne uspar break laga diya

Bhoomi- are yaar yn sunne do na kitna to maja aa rha hai , Riya tum aage batao

Tahir's mind

Sadi kar leti my foot
Aise kaise kar leti *scoff*

Riya- ha to tabhi sai yn ko or bhi pasand aane laga waise ladka handsome to tha bu unfortunately maine uski sakal kabhi nhi dekhi thi hamesha mask laga kai rakhta hai ,or pata hai sirf yn nai uska chera dekha tha or dekhne kai baad to pucho hi mat pure din uska muh band nhi hua tha *smiling*
Mujhe Aaj bhi yaad hai bo din

Jay- par tahir sai handsome nhi hoga bhale hi tahir kitna bhi sada hua kyu na ho handsome hone mai to usne sabko fail kar raha hai

Jay tahir ki side lete hue kehta hai ek minute kai tahir ko bhi apne par proud feel hota hai but suddenly usse realisation hit hoti hai or bo Jay kai sar pai peeche ek ghuma kai Marta hai

Tahir- tu meri tarif na hi kare bo hi theek hai

Bhoomi- to story continue?

Riya-   ek baar apne birthday Wale din yn nai us ladke ka ussi raste par bohot dair tak wait Kiya tha lekin ,yn us special din apni feelings confess karna chati thi par wo kabhi aaya hi nhi beechari yn ko High fever bhi ho gya tha phir bhi usne uska wait Kiya hafto mahino tak kiya par bo kabhi bhi nhi aaya bohot royi thi beechari us din

Riya- mujhe uske baad Paris aana padha tha or hamre connections bhi cut ho gye the sadly to aage kya hua bo to yn hi janti hai par

Tahir's mind
Aacha hua nhi aaya , aaya bada meri yn cheene wala but yn uske liye royi kya itna especial tha bo......

Ab ye kahani sun kai sab sad sad ho gye

Yn- mai ek min Mai aati hu mujhe washroom Jana hai

Yn Aisa keh kar waha sai chali jati hai but uski aankhon Mai Jo aasu hote hai bo tahir notice kar leta hai










Time skip againnnn~~~~

Sab apne apne hotel room Mai hote hai or so rahe hote hai khuch logo ko chod kai

In tahir and yn's room

Tahir abhi bhi us hi baat kai baare mai soch raha hota hai ki yn kyu ro rhi thi kahi yn ki bo ladka abhi bhi to nhi pasand and all

But his thoughts gets intrupted because of someone's whimpering

Jaise tahir yn ki taraf dekhta hai usse bo floor par bethi Hui milti hai or uske pair sai hath sai blood nikal Raha hota hai tahir yn ko aise dekhkar turant uske paas jata hai or usse bridal style mai utha kar bed par bitha deta hai or uski careless kai liye datne lagta hai

arranged marrige |thv BtsWhere stories live. Discover now