The Invitation

292 32 10
                                    


Passing through the corridor of the royal palace there it was a beautiful big royal garden full of flowers mostly roses and the air enchanted mixed with the flower sweet fragrance all over the palace making the sunset and the atmosphere magical the orange yellow painted sky with the sweet fragrance of flowers and a figure was seen of a man in his mid twenties to thirties looking at the sky enjoying the view and soon a commotion was heard someone moving with attentive steps there stood a person near the man bowing to him 

Man- kahiye Senapati ji ap achanak yaha 

Senapati- Rajkumar ji apke liye Rajasthan se sandesh aya hai 

Man- Senapati ji hamne apse kaha hai ki hame Rajkumar ji na kaha kare hamare naam se bulaya kare ap hamse bade hai kya ham apke putr ke saman nahi hai ya ap hame apna putr nahi mante

Prataprao ji (Senapati)- Rajkumar Karan ap hamare putr jaise hi hai par yeh hamara kartavya hai hamari maryada hamare liye yeh gaurav ki bat hai isiliye ham apko apke naam se sambodhit nahi karte hai yeh hame shobha nahi deta *while smiling* 

Karan- Apse koi nahi jit sakta kaka par hamne keh diya so keh diya ap hame Karan ya Karan beta keh kar hi bulayenge nahi toh ham apse bat nahi karenge or apko kaka nahi senapati ji kehke hi bulayenge *turning head to other side*

Prataprao ji- Thik hai jaisi apki iccha ham apko Karan beta kar kar hi bulayenge ap bilkul ziddi hai bilkul apne pita ji pe gaye hai hame abhi bhi yad hai woh samay jab ham saath mein gurukul jaya karte the woh bhi hame aise hi kehte the abhi tk nahi mante apne ap ko raja ji nahi bulane dete hame *while smiling at the father son behaviour*

Karan- kaka ji kon sa sandesh dikhaiye na 

Prataprao ji- Apke param mitr ka sandesh hai Rajasthan se 

Karan- Kya Rajveer ka sandesh aya hai dikhayiye na *while being excited*

(Please imagine royal aesthetic roll guys I couldn't find the pic)

And after reading the roll Karan's happiness knew no bound he was smiling and immediately left from through the corridors he reached a huge room's door where 2 Pehredar were standing guarding the door and bowed to Karan as soon as he appeared into his site and made a loud announcement that Rajkumar Karan is going to appear into the room and inside the huge room there were sitting a couple in their late sixties and they were confused seeing Karan there at this time when he was nowhere to be found everyday except for the royal garden enjoying the scenery and the nature's beauty 

Man- Karan putr tum achanak yaha kaise woh bhi is samay is samay toh tum kisi se milna bhi nahi pasand karte 

Woman- Haan putr kya hua tum achanak yaha tum kushal ho na

Karan- Pita ji Maa hame hamare param mitr Rajveer ki or se Sandesha aya hai unke vivah ka jo ki agle mah mein hone wala hai unhone ham sabko amantrit kiya hai par unhone hame kal hi bulaya hai or Sandesh mein der se ane se kadapi mana kiya hai kya ham ja sakte hai bada samay ho gaya hamari unse bhent nahi hui

{Soryaveer Singh Rajput or Anamika Singh Rajput} [Karan's parents]

Soryaveer ji- Avashya putr jaiye kal hi hame pura bharosa hai Rajveer bhi apse milke utne hi prasan honge jitna ap unse itne samay milne ke bad honge unhe kehna ham or apki maa abhi nahi aa payenge kadachit hame nishchit karna hoga ki rajya ke log prasan hai ki nahi ham Vivah se 2 divas purv hi aa payenge

Anamika ji- Haan or purt Vivah mein jaa rahe ho sirf apne mitr ke saath samay vyatit na karna waha pe Bhai sa or Bhabhi sa {Rajveer's, Monami's and Aditi's parents} ki bhi madad karna vivah ke ayojan mein or hamare liye ek Putrvadhu dhundh lana kya pata prem ke pushp khil jaye Vivah ki taiyariyo ke madhya hi 

Karan- Maa ham wah apne mitr ke Vivah mein ja rahe hai apke liye Putrvadhu dhundhane nahi ye hamari koi aayu hai Vivah karne ki bas ye tay hua ki ham Vivah mein apne mitr ke saath milne ja rhe hai jaise apne kaha ham Rajasahab ki or Maharani Ki madad bhi kar denge bas yaha tak hi uchit hai *he went after saying this happily*

Anamika ji- Putr hame aisa lag raha hai ki prem ke pushp toh khilenge hi *while smiling*


_ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _

Hola!!!! people

hope you like this story and support don't want much votes or follows but 1 thing is necessary smile either after reading the chapter I don't need much votes but your smiles hope you like it

Agar kisi ko aisa laga ki maine english bich mein dal ke part ka or book ka kabada kar diya hai toh bata dena pls honest review dena man mein mat rakhna mai change kar dungi agar lage toh batana jarur

Love you all !!!

_ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ _ 



The Royal Tales (ON HOLD TILL MAY)Where stories live. Discover now